QANOON E SHARIYATH
TAYMMUM KA BAYAAN
Jiska wazu na ho ya nahane ki zarurat ho aur pani per qudrat na ho to wazu aur ghusul ki jaga taymmum karey paani per qudrat na hone ki chand surtey hain.
Pehli surat ye hai k aesi bimari ho k wazu ya ghusul se iskey badhne ya der me acha hone ka sahih andesha ho chahe isne khud azmaya ho k jab wazu ya ghusul karta hai to bimari badhti hai ya kisi musalman parhezgaar qabil hakeem ne keh diya ho k pani nuqsaan karega to taymmum jayaz hai.
MASLA:
Mehez khayaal hi khayaal bimari badhne ka ho to taymmum jayaz nahi yu hain kafir ya fasiq ya mamuli tabeeb k kehne ka aetbaar nahi.
MASLA:
Bimari me agar thanda paani nuqsaan karta hai aur garam pani nuqsan na karey to garam pani se wazu aur ghusul zaruri hai, taymmum jayaz nahi, haan agar aesi jaga ho k garam pani na mil sakey to taymmum karey.
Yu nahi agar thande waqt wazu ya ghusul nuqsan karta hai aur garam waqt me nuqsan nahi karta to thande waqt taymmum karey phir jab garam aaye to aayinda k liye wazu karlena chahiye jo namaz is taymmum se padhle iskey a'ada ki hajat nahi.
MASLA:
Agar sar per paani daalna nuqsaan karta hai to galey se nahaye aur purey sar ka masah karey.
MASLA:
Agar kisi khaas azu me paani nuqsaan karta hau aur baaqi me nahi to jisme nuqsaan karta hai usper masah karey aur baaqi ko dhoye.
MASLA:
Agar kisi azu per masah bhi nuqsaan karta ho to is me azu per kapda daal kar isper masah karey.
MASLA:
Zakhm k kinarey kinarey jahaan tak paani nuqsaan na karey patti waghaera khol kar dhona farz hai haan agar patti kholne me nuqsaad ho to patti per masah karey.
Dusri surat ye hai k waha charo taraf ek ek meel tak paani ka pata nahi to TAYMMUM jayaz hai.
MASLA:
Agar ye gumaan ho k ek mile k andar paani hoga to talash karlena zaruri hai, baghaer talash k taymmum jayaz nahi. Baghaer talash kiya taymmum karkey namaz padhli aur talash karne per paani milgaya to wazu karkey namaz ka a'ada laazim hai aur agar na mila to hogayi.
MASLA:
Namaz padhte me kisi k paas paani dekha tu gumaan ghalib hai k maangne se de dega to namaz todkey paani maangey.
Teesri surat ye k itni sardi ho k nahane se marjaney ya bimari hone ka qawi andesha ho aur nahane k baad sardi k nuqsaan se bachne ka koi saamaan bhi na ho to taymmum jayaz hai.
Chaothi surat ye k dushman ka khaof ho k agar dekhlega to maar dalega ya maal cheenlega ya is ghareeb naadaar ka kharz khwaah hai k isey qaed karadega ya is taraf saamp hai wo kaatlega ya sher hai k phaad khayega ya koi badkaar shaks hai jo be aabruyi karega to taymmum jaya hai.
Paanchvi surat ye k jungle me dol rassi nahi k paani bharey to taymmum jayaz hai.
Chatti surat ye k pyaasa ka khaof ho yaani paani to hai lekin agar is pani ko wazu ya ghusul mein kharch kardega to ye khud ya dusra musalman ya iska ya dusrey musalman ka jaanwar (chahe jaanwar aesa kutta hi kyu na ho jiska paalna jayaz hai_ pyaasa rehjayega aur ye pyaas khwaah bhi maojood ho ya aagey chal kar hogi k raah aesi hai k dur tak paani ka pata nahi to taymmum jayaz hai.
MASLA:
Pani maojood hai magar aata gondhne ki zarurat hai jab bhi taymmum jayaz hai shorbey ki zarurat k liye taymmum jayaz nahi.
MASLA:
Badan ya kapde per itni najasat hai k jitni najasat k hotey huye namaz jayaz nahi aur pani sirf itna hai k chahe wazu karey ya najasat dur karey to paani se najasat dhoye aur phir dhone k baad taymmum karey, paak karne se pehle taymmum na hoga, agar pehle karliya hai to phir karey.
Saatvi surat ye k paani mehenga ho yaani waha jis bhao bikta hai issey dugna daam maangta hai to taymmum jayaz hai aur agar daam e itna faraq na ho yaani do aaney se kam me miley to taymmum jayaz nahi.
MASLA:
Paani mol milta hai aur iskey paas haajat zaruriyat se zyada daam nahi to bhi taymmum jayaz hai.
CONTINUE...
Aathwi (8vi) surat ye k pani talash karne me khafila nazar se gharab hojayega ya train chu’t jayegi to taymmum jayaz hai.
Nawwi (9vi) surat ye gumaan k wazu ya ghusul karne me eidayen ki namaz jati rahegi to taymmum jayaz hai khwaah yu k imam padh k farigh hojayega ya zawaal ka waqt ajayega dono surto me taymmum jayaz hai.
MASLA:
Agar ye samjhe k wazu karne me zohar ya maghrib ya isha ya jumua ki pichli sunnato ka ya chaasht ki namaz ka waqt jata rahega to taymmum karkey padhle.
Dusvi (10vi) surat ye k aadmi mayyat ka wali na ho aur dar ho k wazu karne me namaz e janaza na milegi to taymmum jayaz hai.
MASLA:
Masjid me sogaya aur nahane ki zarurat hogayi to aankh khulte hi jahan tha wahi faoran taymmum karkey nikal aaye der karna haraam hai.
MASLA:
QURAN MAJEED chooney k liye ya sajda e tilawatt ya sajda e shuk k liye taymmum jayaz nahi jab k pani per qudrat ho.
MASLA:
Waqt itna hogaya k wazu ya ghusul karey to namaz qaza hojayegi to chahiye k taymmum karkey namaz padhle aur phir wazu ya ghusul karkey a’ada karna laazim hai.
MASLA:
Aurat ha’ez ya nafaas se paak huyi aur pani per qadir nahi to taymmum karey.
MASLA:
Itna paani mila jisse wazu ho sakta hai, aur nahane ki zarurat hai to is pani se wazu karlena chahiye aur ghusul k liye taymmum karley.
TAYMMUM KA TARIQA
Taymmum ki niyyat se بسم الله الرحمن الرحيم padhkar kisi aesi paak cheez per jo zameen ki qism se ho dono hath maar kar ulat ley agar zyada gard laggayi ho to hath jhaadey aur issey saarey mu ka masah karey phir dusri martaba yu hi hath maarey aur nakhun se lekar kohniyo samet dono hatho ka masah karey taymmum hogaya.
Taymmum me sar aur paer par masah nahi kiya jata taymmum me sirf 3 baatey farz hain baqi sunnat.
TAYMMUM ME 3 BAATEY FARZ HAIN
Pehla farz niyyat yaani ghusul ya wazu ya dono ki paaki haasil karne ka irada, agar taymmum ki niyyat haath maarne k baad ki to taymmum na hoga, dil me taymmum ka irada farz hai aur sath hi zubaan se bhi kehlena behtar hai maslan yu kahey k taymmum karta hu be ghusuli ya be wazu ki napaki dur hone aur namaz jayaz hone k liye aur BISMILLAH shareef padhkar haath maarey.
Dusra farz ye hai k saarey mu per hath pherna k baal barabar koi jaga baaqi na reh jaye nahi to taymmum na hoga.
Teesra farz dono hath ka kohniyo tak kohniyo samet masah karna agar zarra barabar bhi koi jaga choo’t gayi to taymmum na hoga,
MASLA:
Daadhi, mooch aur bhawo k baalo per hath pherna zaruri hai.
MASLA:
Mu ki yaha bhi wahi had hai jo wazu me hai lekin mu k andar taymmum nahi kiya jata, albatta dono honth per jitna mu band karne k baad khula rehta hai masah zaruri hai.
MASLA:
Haath jhaadne me taali na baje balkey iski Surat ye hai k angothe se angotha takraye zayed gird jhad jayegi.
MASLA:
Agar ungliyo me garden pahochi ho to khilaal karna farz hai nahi to sunnat aur isi tarah daadhi me bhi.
MASLA:
Agar ek hi taymmum me wazu aur ghusul dono ki niyyat karli jab bhi kaafi hai dono ka hojayega.
MASLA:
Ghusul aur wazu dono ka taymmum ek hi tarah hota hai.
KIS CHEEZ SE TAYMMUM JAYAZ HAI AUR KISSE NAHI
Taymmum isi cheez se ho sakta hai jo jins zameen se ho aur jo cheez zameen ki jins se nahi issey taymmum nahi ho sakta.
MASAYEL:
Jo cheez aaag se jalkar na raakh hoti hai na pighalti hai na naram hoti hai wo zameen ki jins se hai issey taymmum jayaz hai lehaza mitti gird, reth, baalu, choona, surma, gandhak, pathar, feroza, aqeeq, zamrud waghaera jawahar se taymmum jayaz hai, agarche inper ghubaar na ho.
Jis mitti se taymmum kiya jaye iska paak hona zaruri hai yaani na isper kisi najasat ka asar ho na ye ho k mehez khashk hone se asar najasat jata raha ho.
Jis cheez per najasat giri aur sookh gayi issey taymmum nahi hoga agarche najasat ka asar baaqi na ho albatta namaz isper padh sakte hain.
Ye wehem k kabhi najas huyi hogi fuzool hai iska aetebaar nahi.
Raakh se taymmum jayaz nahi.
Bheegi mitti se taymmum jayaz hai jabk mitti se taymmum jayaz hai jab k mitti ghalib ho.
Agar kisi lakdi ya kapde waghaera per itni gird hai k hath maarne se ungliyo ka nishaan banjaye to isse taymmum jayaz hai.
Gach ki deewar per taymmum jayaz hai.
Pakki eent se taymmum jayaz hai.
Zameen ya pathar jal kar siyaah hojaye issey taymmum jayaz hai yunhi agar pather jal kar raakh hojaye isse bhi jayaz hai.
CONTINUE...
REFERENCE:-
QANOON E SHARIYATH
Talib e Dua:-
MUHAMMED YOUSUF SHAREEF CHISHTI
+966 556 713 059
FROM:-
"عشقِ نبي ﷺ"
IShq e Nabi ﷺ
https://www.facebook.com/ishq.e.nabi1