Tuesday, November 17, 2015

PASANDEEDA 3 CHEEZEY

3 PASANDEEDA CHEEZEY Ek roz HUZOOR E AKRAM ﷺ ne apne sahaba ke darmiyaan tashreef aawri ke daoraan HAZRAT ABUBAKAR SIDDIQUE رضي الله عنه se poocha : AYE ABUBAKAR (رضي الله عنه) aap duniya mein kya cheez pasand karte hain? HAZRAT ABUBAKAR SIDDIQUE رضي الله عنه ne jawab mein kaha HUZOOR teen cheeze pasand karta hoon. 1. aap ke darmain betha rahon... 2. aap ko daikhta rahon 3. apne maal ko aap par kharch karoon. PHIR HUZOOR E AKRAM ﷺ ne HAZRAT OMER رضي الله عنه se daryaِaft kiya ke Umar (رضي الله عنه) aap kya pasand karte hain: HAZRAT OMER رضي الله عنه ne jawab mein kaha, HUZOOR teen cheeze pasand karta hoon
1. neki ka hukum dun agarchay ke sri tor par ho 2. burayi se rokta rahoon agarchay sarey aam ho aur 3. haq baat kahoon agarchay suneney walon ko karvi lagey PHIR HUZOOR E AKRAM ﷺ ne HAZRAT OSMAN رضي الله عنه se daryaaft kiya ke OSMAN (رضي الله عنه)! aap kya pasand karte hain: HAZRAT OSMAN رضي الله عنه ne jawab diya, huzoor teen cheeze pasand karta hon: 1. logon ko khana khilaun
2. Isalam ko phaelaau
3. raat mein aisay waqt namaz padhun jab log neend ki aagosh mein hon.
PHIR HUZOOR E AKRAM ﷺ ne HAZRAT ALI رضي الله عنه se daryaft kiya ke Ali (رضي الله عنه) ! aap kya pasand karte hain
HAZRAT ALI رضي الله عنه ne jawab diya ke huzoor teen cheeze pasand karta hoon:
1. mehman nawazi karoon
2. garma ke mausam mein rozay rakhon
3. dushman par talwar se waar karoon.
PHIR HUZOOR E AKRAM ﷺ ne HAZRAT ABUZAR GHAFFARI رضي الله عنه se daryaft farmaya, ABUZAR رضي الله عنه aap kya pasand karte ho?
HAZRAT ABUZAR GHAFFARI رضي الله عنه ne jawaab diya, HUZOOR mein duniya mein teen cheeze pasand karta hoon
1. bhook
2. bemari
3. mout
HUZOOR E AKRAM ﷺ ne un se sabab puchhte huye kaha aap un cheezon ko kyun pasand karte ho..???
HAZRAT ABUZAR GHAFFARI رضي الله عنه jawab diya ke HUZOOR

1. bhook is liye Aziz hai k iske zariye mera dil naram hota hai
2. bemari is liye mehboob hai ke iske zariye mere gunaah maaf hotay hain
3. mout is wajah se Aziz hai ke is ke zariye mein apne parwardigaar milon ga.
Iske baad AAP  ne irshad farmaya, mere liye tumhari duniya se teen cheeze pasand karwayi gayi,

1. khusbhoo
2. neyk aurtain
3. mere aankhon ki thandak namaz mein rakhi gayi hai.
Isi asna HAZRATA JIBRAEEL عليه السلام tashreef laatey hain aur farmatay hain, mujhe duniya se teen cheeze pasand hain:
1. paegham ko pahunchana
2. amanat ko ada karna
3. masakeen se mohabbat karna
Phir HAZRATA JIBRAEEL عليه السلام asmaano ki jaanib laot'tey hain aur dubara zameen par waapas atay hain aur farmatay hain ke HUZOOR ALLAH RABB UL IZZAT aap ko salaam kehte hain aur irshad farmatay hain k,
ALLAH RABB UL IZZAT ko tumhari duniya se teen cheeze pasand hain,
1. aisi zabaan jo Allah ki yaad se tar ho
2. aisa dil jo Allah se darny wala ho
3. aisa jism jo masaaib aur aazmayishon mein sabr karne wala ho.

Reference: (Sahih Islami Waqe'aat, Jamia Al Azhar, Misr, Urdu Tarjuma Page/70)

Saturday, November 7, 2015

TAZKIRA TUL AMBIYA MUKHTASAR WAQEYA HAZRAT IDREES عليه السلام

TAZKIRA TUL AMBIYA

ISHQ E NABI WHATSAPP GROUP
MUKHTASAR WAQEYA HAZRAT IDREES عليه السلام

HAZRAT IDREES عليه السلام aur HAZRAT NOOH عليه السلام k darmiyaan 1000 saal ka faasla hai ye HAZRAT NOOH عليه السلام k walid k dada hain.

HAZRAT IDREES عليه السلام KA NASAB
Akhnookh bin Yard bin Mahlabeel bin Anoosh bin Kheetaan bin Sheysh bin Adam عليه السلام.

HAZRAT NOOH عليه السلام KA NASAB
Nooh bin Lamak bin Matu Shalakh bin Akhnookh (HAZRAT IDREES عليه السلام)

HAZRAT IDREES عليه السلام KI EJADAATH:

Sabse pehle sitaro me nazar karna aur hisaab karna AAP عليه السلام se hi saabit hai lekin ye khayaal rahe k AAP عليه السلام ka sitaro me nazar karna ALLAH ki marzi k mutabiq tha AAP عليه السلامk hisaab me takhmeeney ki koi baat nahi hoti thi.

Balkey ALLAH TA'ALA AAP عليه السلام k dil me jo alqaa karta APP wahi bayaan karte yaani sitaro ka hisaab AAP عليه السلام ko bataor maojaza ata kiya gaya tha, aaj k daor me sitaro ka hisaab aur aane wale waqe'aat ki khabar dena haraam hai inper yaqini aetbaar karna kufr hai.

Qalam k zariye likhno ko sabse pehle AAP عليه السلام ne riwaaj diya, sabse pehle kapde AAP عليه السلام ne hi pehne issey pehle log chamde ka libaas istemaal karte hai.

Sabse pehle cheezo k wazan karna aur kapde waghaera ko naapne ko AAP عليه السلام ne hi riwaaj diya, sabse pehle aslah ki ejaad bhi AAP عليه السلام ne hi farmayi, Hazrat Adam عليه السلام k baad pehle RASOOL AAP عليه السلام hi hain aur AAP عليه السلام per 30 sahifey nazil huye.

(Rooh Al Maani, Jild 9, Page 105)
(Tafseer e Kabeer, Jild 21, Page 233)
(Madarak, Page 420)

HAZRAT IDREES عليه السلام KA ASMANO PER UTHAYA JAANA

ALLAH TA'ALA NE IRSHAD FARMAYA

وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِدْرِيسَ ۚ إِنَّهُ كَانَ صِدِّيقًا نَّبِيًّا (56)
وَرَفَعْنَاهُ مَكَانًا عَلِيًّا (57)

Aur kitaab me Idrees ko yaad karo beshak wo siddique tha ghaeb ki khabrey deta, aur humne usey buland makaan per uthaliya.

(Sureh Maryam, Ayat 56-57)

Is ayat e karima mein buland makaan ki taraf uthaane ka ek matlab ye hai.

Duniya me iney uloom o martabat ata kiya, ye mayine hain k asmaan per uthaliya aur yahi sahih tar hai, BUKHARI O MUSLIM ki hadees me hai k SAYYED E ALAM ne Shab e Meraaj ki raat HAZRAT IDREES عليه السلام ko asmaan chahrum per dekha.

هوشرف النبوة والزلفى عبدالله تعالى

(Rooh Al Mani, Jild 9, Page 105)

AAP عليه السلام ko nabuwat k mansab se musharaf farmakar aur ALLAH TA'ALA ne apna khaas qurb ata farmakar AAP ko rafa'at o bulandi ata farmayi.

Hazrat Kaab Ahbaar رضي الله عنه aur degar se marwi hai k HAZRAT IDREES عليه السلام ne malk ul maot yaani Hazrat Izraeel عليه السلام se farmaya k main maot ka maza chakhna chahta hoon kaesa hota hai?

Tum meri rooh khabz karkey dikhao unhone AAP عليه السلام k hukum ki tameel ki, rooh khabz karkey phir isi waqt laotadi AAP عليه السلام zinda hogaye.

Phir AAP عليه السلام ne farmaya ab mujhe jahannam dikha do taakey khaof e ilahi zyada ho AAP عليه السلام k irshaad ki tameel karte huye AAPKO jahannam k darwaze per le jaaya gaya, AAP عليه السلام ne maalik naami farishta jo jahannam k darogha hai se farmaya k darwaza kholo main isse guzarna chahta hoon.

Chunanche aesa hi kiya gaya aur AAP عليه السلام is per se guzre, phir AAP ne jannat k darwaze kholne ka irshad farmaya to AAP k liye jannat k darwaze khol diye gaye, AAP عليه السلام jannat me tashreef le gaye.

Malk ul Maot ne kuch der intezaar karne k baad farmaya k ab AAP chaley zameen me apne muqaam per tashreef le chale AAP عليه السلام ne farmaya k main to yahaan se kahi nahi jaunga to ALLAH TA'ALA ne farmaya.

كُلُّ نَفْسٍ ذَآئِقَةُ الْمَوْتِ, Har nafs ne maot ka maza chakhna hai, main maot ka maza chakh chuka hoon.

Phir ALLAH TA'ALA ne jannat me dakhil hone ki ye shart rakhi hai, وَإِنْ مِنْكُمْ إِلَّا وَارِدُهَا k har shaks ko jahannam per guzarna hai, main jahannam se bhi guzar chuka hoon, ab main jannat me dakhil ho chuka hoon, jo log jannat me dakhil hojate hain inhey wahaan se nikala nahi ja sakta.

Kyu k ALLAH TA'ALA ka irshad e girami hai, وَمَا هُم مِّنْهَا بِمُخْرَجِينَ jannat wlao ko jannat se nahi nikala jayega, ALLAH TA'ALA k apne irshadat k mutabiq maine yahi rehna hai yahaan se mujhe nahi nikala ja sakta.

HAZRAT IDREES عليه السلام k is kalaam k baad ALLAH TA'ALA ne malk ul mout se farmaya, Aye Izraeel (عليه السلام) mere bande IDREES (عليه السلام) ne sab kaam meri marzi se kiye inhey yahaan hi rehne do, AAL عليه السلام abhi tak asmano me zinda hain.

(Khazaen Ul Irfan)

TAMBEEH

HAZRAT IDREES عليه السلام k dalael me QURAN E PAK k alfaaz mubaraka zikr hain jo is waqt nazil agarhce nahi hua tha lekin ALLAH ka kalaam khadeem hai, looh e mehfooz per is waqt bhi tehreer tha, NABI chonkey GA'IB ka ilm ALLAH TA'ALA ki ata se rakhte hain isliye HAZRAT IDREES عليه السلام ki nazar looh e mehfooz per thi lehaza QURAN E PAK se AAP عليه السلام ka istedlaal durust hai.


 POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ" 
Ishq e Nabi ﷺ

JOIN WHATSAPP GROUP

SEND YOUR NAME AND CITY
+966 556 713 059

LIKE OUR FB PAGE
www.facebook.com/ishq.e.nabi1