Sunday, April 17, 2016

IMPORTANT SHARAYI SAWAAL

ISHQ E NABIﷺ PRESENTS....

VERY IMPORTANT SHARAYI SAWAAL AND JAWAAB

Sawaal No.1

Hazrat-agar koi shakhs aisi halat mein hai ki us par gusl waajib hai aur wo jaan boojhkar usi halat mein namaaz padh leta h to use kya karna chahiye ??

Jawaab

  Halat na paaki me jabki gusal wajib ho namaz padhna haram hai aur jaan boojh kar aisa karne wala gunehgaar hai agar kisi namaz ki ihanat ki niyat se aisa kiya to wo kafir ho jayega agar usne namaz ki ihanat ki neeyat se aisa nahi kiya to wo haram ka murtakib huwa lihaza tauba o istighfaar kare aur aayinda kabhi bhi aisa na kare aur agar namaz ki ihanat ki neeyat se aisa kiya to tauba o istighfaar ke saath saath tajdeed imaan karna zaroori hai...

Wallah war rasool a'alam bissawab

Jawaab By
Moulaana Wali Qamar Qadri    Sahab Qibla,
Khaadime Darool Uloom Subhaniya,
Vishakapatnam,
Andhra Pradesh