Tuesday, June 7, 2016

FAZAIL E QURAAN

AHADEES E MUBARAKA

HADEES 1:
HAZRAT SHADDAAD BIN OOS رضي الله عنه se riwayat hai k jo musalman leyt’te huye (yaani sone se pehle) kitaab ullah ki koi surah padh leta hai to ALLAH TA’ALA usper ek farishta muhafiz muqarrar kar deta hai wo farishta kisi aziyat dene waali cheez ko uske paas nahi aane deta yahaan tak k jab tak wo musalmaan bedaar hota hai us waqt wo farishta bhi apni khidmat se sabakdosh hojata hai.
(Daarimi)

HADEES 2:
HAZRAT ABDULLAH BIN OMER رضي الله عنه se riwayat hai k jis shaks ne QURAN ko padha to beshak uske dono pehluon k maabeen nabuwat ka istedraaj hogaya magar faraq ye hai k usper wahi nahi bheji jaati, SAHIB UL QURAAN ko ye baat shayaan shaan nahi k wo jadd karey aur jahalat karne waale k sath jahalat karey halaanke uska seena QURAN se munawar ho.
(Haakim)

HADEES 3:
HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat hai k jis ghar mein QURAN padha jaata hai us mein khaer o barker ki kasrat hoti hai aur jis ghar mein QURAN nahi padha jaata uski khaer o barkat ghat jaati hai.
(Jizaar)

HADEES 4:
HAZRAT IBNE OMER رضي الله عنه ki hades naqal ki gayi hai k 3 shaks ko sakht khaof (qayamat k hungame) ka kuch dar na hoga aur na usse hisaab pucha jaayega balke wo makhlooq ka hisaab hone se faraghat k waqt take k mushk k teley par khade rahenge, minjumla unkey ek wo shaks jisne mehez khuda k waastey QURAN E MAJEED padha hai aur us qiraat ki haalat mein aesi qaom ki imamat ki hai jo usse raazi hai.
(Tirmizi)

HADEES 5:
HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه se riwayat hai k QURAN E KAREEM aesi tawangiri hai k iskey baad hota hi nahi aur na iskey barabar koi aur tawangiri hai.
(Tabrani)

FAEDA:
Yahaan khaal se momin ka qalb aur uska baatin muraad hai jisme usne QURAN ko bhar liya ho, ek aur aalim ka qaol hai k jis shaks ne QURAN ko jama kiya aur phir bhi dozakh mein gaya to wo khinreyz se bhi badtar hai.

IBNE AL AMBAARI ne kaha k iskey ye maayine hain k aag usko baatil na karegi aur na usko un kaano se mehroom karegi jinhone QURAN ko apne andar bhar liya hai aur na un haafezon aur zehno se mehroom kar sakegi jinhone QURAN ko haasil kiya hai.

HADEES 6:
IMAM TABRANI ne HAZRAT ANAS BIN MAALIK رضي الله عنه se riwayat ki hai k jis shaks ne QURAN ko is tarah padha k wo raat din usey padhta rehta hai uske halaal ko halaal aur uske haram ko haram samajhta hai to ALLAH TA’ALA uske gosht aur khoon ko aag per haram kardegi (yaani aag usey jala na sakegi) aur us shaks ko buzrug aur nek likhne waalon k hamraah rakhega yahaan tak k jab qayamat ka din aayega to us din QURAN uske liye hujjat hoga.

HADEES 7:
IMAM TABRANI ne HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat ki hai k QURAN E MAJEED k hamileen ahle jannat k (mash’hoor o maroof log) honge.

HADEES 8:
IMAM NISAYI, IBNE MAAJA aur IMAM HAAKIM ne HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat ki hai k ahle quran hi ALLAH TA’ALA k khaas bande hain.

HADEES 9:
IMAM MUSLIM ne HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه se riwayat ki hai k RASOOL ALLAH ne irshad farmaya, kya tum me se koi shaks is baat ko pasand karta hai k jis waqt wo apne ghar waalon k paas aaye to us waqt wo 3 badi badi aur moti taazi haamela oontniyaan laaye…???

Hum logon ne arz ki BESHAK RASOOL ALLAH ne farmaya 3 aayate hain inko tum me se koi shaks namaz mein padhe to wo uske liye 3 haamela oontniyon se behtar hain.

HADEES 10:
IMAM MUSLIM ne HAZRAT JAABIR BIN ABDULLAH رضي الله عنه se riwayat ki hai k behtareen guftagu kitaab ullah hai.

HADEES 11:
IMAM AHMED ne HAZRAT MA’AZ BIN ANAS رضي الله عنه se riwayat ki hai k jis shaks ne QURAN ko ALLAH TA’ALA k liye padha wo siddiqeen, shohada aur saliheen k saath likh diya gaya aur ye log kya hi ache rafeeq hain.

HADEES 12:
IMAM TABRANI ne AL AOSATH mein HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه se riwayat ki hai k jo shaks apne bête ko QURAN ki taleem dega usko qayamat k din ek jannat ka TAAJ pehnaya jaayega.

HADEES 13:
IMAM ABU DAWOOD, AHMED WA HAKIM ne HAZRAT MA’AZ BIN ANAS رضي الله عنه se riwayat ki hai k jis shaks ne QURAN ko padha aur usko pura yaad kiya aur usper amal bhi kiya to uske baap to qayamat k din ek TAAJ pehnaya jaayega jiski raoshni duniya mein aaye huye aftaab ki raoshni se behtar hogi to phir tumhara khud apna us shaks ki nisbat kya hai jo k usper amal karey.

HADEES 14:
IMAM TIRMIZI, IBNE MAAJA WA IMAM HAAKIM ne HAZRAT ALI رضي الله عنه se riwayat ki hai k jis shaks ne QURAN ko padha aur usey azbar karliya aur uske halaal ko halaal samjha aur uske haraam ko haraam maana ALLAH TA’ALA usey jannat mein daakhil karega aur uske ghar waalon me se 10 aese admiyon k baarey mein uski shafa’at qubool farmayega jinko dozakh hogayi hogi.

HADEES 15:
IMAM TABRANI ne HAZRAT ABU AMAMA رضي الله عنه se riwayat ki hai k jis shaks ne KITAAB ULLAH ki ek aayat seekhli wo aayat qayamat k din khanda peshani se uska isteqbaal karegi.

HADEES 16:
HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما se riwayat hai k QURAN ka maahir buzrug aur nek katibon k hamraah aur jo shaks QURAN ko padhta hai aur usme ladkhadata hai halaanke wo usper giraan hai to uske liye 2 ajar hain.
(Bukhari, Muslim)

HADEES 17:
HAZRAT JABIR رضي الله عنه se riwayat hai k jis shaks ne QURAN ko jama kiya ALLAH TA’ALA uski dua qubool karega chahe wo jald tar duniya hi mein uski du aka asar zaahir karde aur chahe usey aakhirat mein uske liye zakheera rakhey.
(Tabrani)

HADEES 18:
HAZRAT ABU MOOSA رضي الله عنه se riwayat hai k jo momin QURAN padhta hai uski misaal atraj (lemon) ki tarah hai jiska maza bhi acha hai aur khushbo bhi pakeeza aur us momin ki misaal jo k QURAN nahi padhta khajoor ki maanind hai k uska maza khushgawaar hai lekin usme koi khushbo nahi hai aur us faajir ki misaal jo k QURAN padhta hai rehaan ki tarah hai uski bo umdaah hai magar maza talakh aur QURAN na padhne waale faajir ki misaal and’zaayen k phal ki tarah hai jiska maza bhi talakh hai aur koi khushbo bhi nahi.
(Bukhari, Muslim)

HADEES 19:
HAZRAT OSMAN رضي الله عنه se riwayat hai k tum me se acha wo shaks hai jo k QURAN ko seekhe aur usey dusron ko sikhaaye, IMAM BEHAQI ne “AL ASMAA” mein is per itna aur izafa kiya hai k aur QURAN ki buzrugi tamaam kaamon per aesi hai jaesi k khuda ki fazeelat uski tamaam makhlooqaat par hai.
(Bukhari, Muslim)

HADEES 20:
HAZRAT IBNE ABBAS رضي الله عنه se riwayat hai k beshak wo shaks jiske pet mein QURAN ko kuch hissa nahi hai wo us ghar ki tarah hai jo veeran hai.
(Tirmizi)

HADEES 21:
HAZRAT ABU GHAFFARI رضي الله عنه se riwayat hai k beshak ye baat k tu subah ko QURAN ki ek aayat seekhe tere liye NAMAZ ki 100 rakaat ada karne se zyada behtar hai. (100 rakaat namaz se muraad nafeel namaz hai)
(Ibne Maaja)

HADEES 22:
HAZRAT IBNE ABBAS رضي الله عنه se riwayat hai k jis shaks ne KITAAB ULLAH ko seekha aur phir jo kuch usme hai uski paerwi ki to ALLAH TA’ALA usey QURAN k waseeley se gumrahi se bachakar hidayat dega aur qayamat k din usko hisaab mein takleef se mehfooz rakhega.
(Tabrani)

HADEES 23:
HAZRAT ABI SHAREEH KHAZAYI رضي الله عنه se riwayat hai k ye QURAN ek aesi rassi hai jiska ek sira ALLAH TA’ALA k dast e qudrat mein hai aur dusra kinara tumhare haathon mein isliye chahiye k tum usey mazboot thaam lo kyunke uske baad tum kabhi gumrah aur halaak na honge.
(Ibne Abi Shaeyba)

HADEES 24:
IMAM DEYLMI riwayat karte hain k HAZRAT ALI RADI ALLAHU ANHU se riwayat hai k jis din saaya khuda k siwa aur koi saaya na hoga us din hamileen QURAN arsh e ilaahi k saaye taley khade honge.

FAZAEL BAAZ SURTON K
Baaz ehbaab baaz surton (surah) k padhne k shaoqeen hote hain unke kuch mazmoon padhiye…

FAZAEL SUREH FATEHA

1. ABI BIN KAAB رضي الله عنه se marfuan riwayat hai k ALLAH TA’ALA Taoraat, Injeel ya kisi aur kitaab mein “UMM UL QURAAN” ka misl nahi naazil farmaya aur yahi surah SABA’A UL MASAANI hai.
(TIrmizi, Nisayi)

2. HAZRAT ABDULLAH BIN JAABIR رضي الله عنه se riwayat hai k QURAN mein sabse behtar surah SUREH FATEHA hai.
(Ahmed)

3. HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat hai k SUREH FATEHA afzal ul quran hai.

4. IMAM BUKHARI رحمة الله عليه ne ABU SAYEED BIN AL MA’ALI se riwayat ki hai k QURAN mein sabse zyada azmat waali surat “SUREH FATEHA” hai.

FAZAEL SUREH AL BAQARA / AAL E IMRAN

1. IMAM MUSLIM AUR IMAM TIRMIZI ne AN NAWAAS BIN SAM’AAN se riwayat ki hai k qayamat k din QURAN aur un AHLE QURAN ko jo is per amal kiya karte the is shaan se laaya jaayega k SUREH AL BAQARA wa AAL E IMRAN unke aage aage hongi aur RASOOL ALLAH ne un dono surton ki 3 misaaley aesi di hain jinhey main kabhi nahi bhulunga.

AAP ne farmaya goya k ye dono surtey do siyaah rang ki badliyaan hain ya do parde ya do saaye hain k unke darmiyaan ek sharf (buland maqaam) hai ya goya k ye dono surte do saf baandh kar udne waali chudiyon ki qatarey hain jo apne saaheb (rafeeq) k liye daleel pesh karti aur uski taraf se ladti hain.

2. IMAM AHMED BIN HAMBAL ne HAZRAT BURAEDA رضي الله عنه se riwayat ki hai k SUREH AL BAQARA ko seekho isliye k uska seekhna aur padhna barkat hai aur usey chod dena hasrat hai aur kaahil log usko nahi seekh sakte, tumlog SUREH AL BAQARA WA AAL E IMRAN ko zaroor seekho

Kyun k ye dono “ZEHRAWAAN” (chamakti huyi raoshniyaan) hain aur qayamat k din ye apne saaheb per is tarah saaya figan honge k goya wo do halki badliyaan hain ya do ghayabatey yaani parde aur ya do qatarey saf baandh kar udne waali chudiyon ki hain.

3. IMAM IBNE HABBAN رضي الله عنه waghaera ne HAZRAT SAHAL BIN SAAD رضي الله عنه se riwayat ki hai k hare k shae ka ek sannam ubhaar choti aur buland maqaam hua karta hai aur QURAN ka sannam SUREH AL BAQARA hai, jo shaks usey din k waqt apne ghar mein padhega to 3 raatey shaetaan uske ghar mein na aayega.

4. IMAM BEHAQI ne AL SHA’AB mein AL SALSAAL k tareeq se riwayat ki hai k jo shaks SUREH AL BAQARA padhega usko jannat mein ek taaj pehnaya jaayega.

5. IMAM BEHAQI ne MAKHOOL se marsalan riwayat kiya hai k jo shaks JUMA k din SUREH AAL E IMRAAN padhega farishte uske liye raat k waqt tak dua e rahmat karte rahenge.

AYAT UL KURSI KI FAZILAT

1. IMAM MUSLIM ne ABI BIN KAAB رضي الله عنه se riwayat ki hai k KITAAB ULLAH mein sabse badhkar muazzam AAYAT UL KURSI hai.

2. IMAM TIRMIZI aur IMAM HAAKIM ne HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه se riwayat ki hai k har cheez ka ek sannaam (kangoora ubhaar) hua karta hai aur QURAN E MAJEED ka sannaam SUREH AL BAQARA hai aur is surat mein ek AAYAT tamaam AAYAT E QURANI ki sardaar hai wo AAYAT UL KURSI hai.

3. IBNE HABBAN aur IMAM NISAYI ne ABU AMAMA رضي الله عنه se riwayat ki hai k jo shaks har farz namaz k baad AAYAT UL KURSI ko padhe to usko dakhool e jannat se koi cheez maaney nahi siwaye maot k.

4. IMAM AHMED ne HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat ki hai k AAYAT UL KURSI ka ek chaothayi hai (yaani sawaab mein rubaa quran k barabar).

SUREH AL BAQARA K KHATAM KI AAYAT

1. SAHA SITTA mein ABU MASOOD رضي الله عنه se riwayat hai k jo shaks ek raat mein SUREH AL BAQARA k aakhir ki 2 aayatey padhle bas wahi ayatey us k liye kaafi hojayenge.

2. IMAM HAAKIM ne NOMAAN BIN BASHEER رضي الله عنه se riwayat ki hai k ALLAH TA’ALA ne asmaano aur zameen k paeda farmane se 2000 saal qabal ek kitaab likhi thi usi kitaam mein se ALLAH TA’ALA ne 2 ayatey naazil farma kar SUREH AL BAQARA ko unhi k saath khatam farmaya hai, jis ghar mein wo dono aayatey padhi jaayengi shaetaan 3 din tak us ghar k qareeb na jaayega.

KHATAM AAL E IMRAAN

IMAM BEHAQI ne HAZRAT OSMAN BIN AFFAN رضي الله عنه se riwayat ki hai k jo shaks kisi raat mein SUREH AAL E IMRAAN ka aakhir padhega uske haq mein tamaam raat qayaam karne ka sawaab likh diya jaayega.

SUREH AL AN’AAM KI FAZILAT

1. IMAM DAARIMI ne HAZRAT OMER FAROOQ رضي الله عنه se maoqufan riwayat ki hai k SUREH AL AN’AAM QURAN ki bahot umdah aur afzal surton mein se hai.

2. IMAM AHMED AUR IMAM HAAKIN ne HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنه se riwayat ki hai k jis shaks ne SABBA’A AL TOOL (yaani 7 lambi surtey ye kehlaati hain, AL BAQARA, AAL E IMRAN, AN NISAA, AL MAYEDA, AL AN’AAM, AL A’ARAAF AUR AL TAOBA) ko haasil karliya wahi habar (zabardast aalim) hai.

SUREH HOOD KI FAZILAT

IMAM TABRANI ne AL AOSATH mein ek sanad k saat HAZRAT ALI رضي الله عنه se riwayat ki hai k SUREH HOOD, YASEEN, AL DUKHAN, aur AMMA YATASA ALOONA ki surtey koi munafiq hi hoga jo yaad na karega.

SUREH AL KAHAF K FAZAEL

1. IMAM HAAKIM ne ABU SAYEED رضي الله عنه se riwayat ki hai k jis shaks ne baroz jumua SUREH AL KAHAF padhi usko is qadar noor ata kiya jaayega jo jumua aur uske baad aane waale jumua k darmiyaan zamane ko tabaan yaani raoshan rakhega.

2. IMAM MUSLIM ne ABU DARDA رضي الله عنه se riwayat ki hai k jis shaks ne SUREH AL KAHAF ki awwal se 10 ayatey hifz karli ho wo dajjal k fitne se mehfooz hogaya.

3. IMAM AHMED ne HAZRAT MAAZ BIN ANAS رضي الله عنه se riwayat ki k jis shaks ne SUREH AL KAHAF k awwal o aakhir ki qiraat ki to ye uske liye sar ta ba qadam ek noor ban jaayegi aur jis shaks ne ye puri sureh padhi uske haq mein ye asmaan se zameen tak maojab noor hogi.

4. IMAM BIZAAR ne HAZRAT OMRO se riwayat ki hai k jis shaks ne kisi raat ko SUREH KAHAF ki ayat no 110 padhi to usko itna noor milega k madina se makkah tak hoga aur us noor mein farishte bhare honge.

SUREH YASEEN K FAZAEL

1. ABU DAWOOD, NISAYI WA IBNE HABBAN ne MA’AQAL BIN YASAAR se riwayat ki hai k YASEEN quran ka qalb hai jo shaks bhi isko ALLAH TA’ALA se sawaab aur daar e akhirat haasil karne ki niyyat se padhega ye uski maghfirat ka baayis ban jaayegi, tum is surat ko apne murdon per zaroor padho.

2. IMAM TIRMIZI WA DAARIMI ne HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat ki hai k hare k cheez ka ek qalb hota hai aur QURAN ka qalb YASEEN hai aur jo shaks SUREH YASEEN ko padhega ALLAH TA’ALA uske liye 10 martaba QIRAAT E QURAN karne ka sawaab likhdega.

3. IMAM DAARIMI aur IMAM TABRANI ne HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه se riwayat ki hai k jo shaks mehez raza e ilahi ki talab mein raat k waqt SUREH YASEEN ko padhega uski maghfirat kardi jaayegi.

4. IMAM TABRANI ne HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat ki hai k jo shaks har raat ko SUREH YASEEN ki QIRAAT per mudavimat karega aur phir wo marjaayega to SHAHEED hokar marega.

IMAM HAAKIM ne IBNE MASOOD رضي الله عنه se maoqufan riwayat ki hai k “SUREH HAWWAMEEM” quran ki deybaaj hain.

IMAM TIRMIZI ne HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه se riwayat ki hai k jis shaks ne raat mein SUREH AL DUKHAN padhi wo aesi haalat mein subah karega k uske waste sattar hazaar 70,000 farishte astaghfaar karte honge.

IMAM DAARIMI ne IBNE MASOOD رضي الله عنه se riwayat ki hai k har cheez ka ek libaab hota hai aur QURAN ka libaab SUREH MUFASSIL hai.

IMAM BEHAQI ne HAZRAT ALI رضي الله عنه se riwayat ki hai k har shae ki ek uroos (dulhan) hoti hai aur QURAN ki UROOS “SUREH AL RAHMAN” hai.

HADEES K AYEMA ARBA aur IBNE HABBAN wa IMAM HAAKIM ne HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه se riwayat ki hai k minjumla QURAN k 31 aayaton ki surat hai, isne ek shaks ki yahaan tak shafa’at ki k wo bakhsh diya gaya hai, wo SUREH AL MULK hai.

FAZAEL SUREH AL BAYYINA

ABU NAYEEN ne KITAAB UL SAHABA mein ISMAIL BIN ABI HAKEEM AL MAZNI AL SAHABI رضي الله عنه se marfuan riwayat ki hai k beshak ALLAH TA’ALA “SUREH AL BAYYINA” ki qiraat ko suntan hai aur fermata hai k mere bande ko basharat de do qasam hai mujhko apni izzat ki beshak main isko jannat mein makeen banaunga aur aesi qudrat dunga k wo raazi hojayega.

FAZAEL SUREH AL ZILZIL

IMAM TIRMIZI ne HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat ki hai k jis shaks ne SUREH ZILZAAL ko padha ye uske liye NUSF QURAN k barabar hojayegi.

FAZAEL SUREH AL AADIYAAT

ABU JUNAID ne HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat ki hai k SUREH ZILZAAL NUSF QURAN k barabar hai aur SUREH AL AADIYAAT bhi NUSF QURAN k barabar hai.

FAZAEL SUREH AL TAKASUR

IMAM HAAKIM ne IBNE OMAR رضي الله عنه se riwayat ki hai k tum me se koi shaks har roz 1000 ayate nahi padh sakta, SAHABA KIRAAM رضي الله عنهم ne pucha to phir kaon shaks ye quwwat rakhta hai k 1000 ayatey padh sake? Farmaya kya tum me se koi SUREH TAKASUR padhne ki quwwat nahi rakhta.


POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ" 
Ishq e Nabi ﷺ

JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
+966 556 713 059

LIKE OUR FB PAGE
www.facebook.com/ishq.e.nabi1

1 comment: