AHADEES E MUBARAKA
Phir mujhper yaomjiya 50 namaze farz ki
gayi.
IMAM MUSLIM رحمة
الله عليه HAZRAT SAABIT BANNAANI se naqal kiya wo
HAZRAT ANAS رضي الله عنه se naqal karte hain k AAP
ﷺ
ne farmaya, pas ALLAH TA’ALA ne mujper din raat me 50 namaze farz farmayi.
IMAM BUKHARI رحمة الله عليه ne
HAZRAT MALIK BIN SA’ASA’A رضي الله عنه se
is jaesi riwayat naqal ki hai.
Ye baat bhi kahi ja sakti hai k AAP ﷺ
per farziyat ka lafz ummat per farziyat ko mustalzim hai aur iskey bar’aks bhi
ho sakta hai, yaani jo ummat per farz hai wo AAP ﷺ per
bhi farz hai albatta AAP ﷺ k khasaes is (zaabte) se mustashna hain.
SAHIH MUSLIM mein hai HAZRAT SAABIT رضي الله عنه
ne HAZRAT ANAS رضي
الله عنه se riwayat kiya k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ
ne farmaya pas main HAZRAT MOOSA عليه السلام ki
taraf utra to unhone pucha AAP k rab ne AAPKI ummat per kya farz kiya...???
MAINE arz kiya 50 namaze, unhone kaha AAP apne
rab ki taraf laot jaaye aur takhfeef ka sawaal karey kyun k AAP ﷺ
ki ummat iski taaqat nahi rakhti maine BANI ISRAEEL ko azmaaya aur unka tajruba
kiya hai.
AAP ﷺ
farmate hain main apne rab ki taraf laot gaya aur arz kiya aye mere rab, meri
ummat k liye asaani farmade to usne 5 namaze kam kardi phir main HAZRAT MOOSA عليه السلام
k paas aaya aur kaha k mujhse 5 namaze kam kardi gayi hain.
Unhone kaha AAP ﷺ ki
ummat ko uski taaqat bhi nahi hai AAP apne rab ki taraf laot jaaye aur use
takhfeef ka sawaal karey.
HUZOOR NABI KAREEM ﷺ
farmate hain main baar baar apne rab aur HAZRAT MOOSA عليه السلام k
paas aata jaata raha hata k ALLAH TA’ALA ne farmaya, AYE MUHAMMAD (ﷺ)
ye din aur raat mein 5 namaze farz hain aur har namaz ka sawaab 10 k barabar
hoga is tarah ye 5 namaze hojayengi.
Pas jo shaks neki ka iraada karey lekin isper
amal na kar skaey uske liye ek neki likhi jaati hai pas agar wo amal kare to
uske liye 10 nekiyaan likhi jaati hain aur jo aadmi kisi burayi ka irada kare
lekin usper amal na kare usper koi gunaah nahi likha jaata, agar wo amal kare
to ek gunaah likha jaata hai.
AAP ﷺ
farmate hain main utra hata k HAZRAT MOOSA علييه السلام se
mulaqaat huyi to maine unko khabar di unhone farmaya apne rab ki taraf laot
jaaye aur takhfeef ka sawaal kare maine kaha main apne rab ki taraf itni baar
gaya hoon k ab mujhe use sharam aati hai.
IMAM NISAYI رحمة الله عليه ne
HAZRAT ANAS رضي
الله عنه se riwayat kiya wo farmate hain, HUZOOR
NABI KAREEM ﷺ
ne farmaya k ALLAH TA’ALA ne mujhse farmaya maine jis din asmaano aur zameen ko
paeda kiya (us din) AAP per aur AAP ki ummat per 50 namaze farz ki hain pas AAP
aur AAP ki ummat in namazo k sath qiyaam karey.
AAP ﷺ ne
HAZRAT MOOSA عليه
السلام ki taraf aane ka bhi zikar kiya aur is
hadees mein ye bhi hai k ALLAH TA’ALA ne BANI ISRAEEL per do namaze farz
farmayi to wo inko ada na kar sake aur is hadees k aakhir mein farmaya k ye 5
namaze 50 ki jaga hain pas AAP aur AAP ki ummat inko qaayem karey.
HUZOOR NABI KAREEM ﷺ
farmate hain main samajh gaya k ALLAH TA’ALA ka hatami faesla hai pas main
HAZRAT MOOSA عليه
السلام ki taraf aaya to unhone kaha waapas jaaye
to main waapas na gaya.
SAWAAL
HAZRAT MOOSA عليه السلام ne
hamare NABI ﷺ
se kyun farmaya k AAP (ﷺ)
ki ummat iski taaqat nahi rakhti ye kyun nahi farmaya k AAP aur AAP ki ummat ko
iski taaqat nahi...???
JAWAAB
Ajaz aur kamzori ummat k saath makhsoos hai
HUZOOR NABI KAREEM ﷺ
tak mutaaddi nahi hoti ALLAH TA’ALA ne AAP ﷺ ko
jabse kamala ata farmaya AAP ﷺ ko uski balke use badhkar ibaadat ki
taaqal haasil thi aur aesa kyun na hota jab k AAP ﷺ ki
aankhon ki thandak namaz mein rakhi gayi hai.
SHAB E MERAAJ MEIN NAMAZ KI FARZIYAT MEIN
HIKMAT
Aarif ibne abi jamra رحمة الله عليه
farmate hain SHAB E MERAAJ k saath namaz k farz hone ki takhsees isliye hai k
jab AAP ﷺ
ko meraaj karaya gaya aur AAP ﷺ ne is raat farishton ko ibadat karte huye
dekha aur dekha k inme se baaz khade hain baethe nahi, kuch ruku mein hain
sajda nahi karte, kuch sajde reyz hain qaeda nahi karte to ALLAH TA’ALA ne AAP ﷺ
k liye aur AAP ﷺ
ki ummat k liye in tamaam baton ko ek rakaat mein jama kardiya k banda inki
sharaet yaani itmenaan aur ikhlaas k sath ada karta hai.
HAZRAT MOOSA عليه السلام AUR
NAMAZ KI FARZIYAT
Namaz k maamle mein HAZRAT MOOSA عليه السلام
ki jo inayat is ummat per hai wo kisi dusre ki nahi, HAZRAT ABU HURAERA رضي الله عنه
ki riwayat mein jise IMAM TABRANI aur IMAM BIZAAR رحمهم الله ne
naqal kiya is baat ki taraf ishara hai.
HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne
farmaya, jab main guzra to HAZRAT MOOSA عليه السلام
mujhper in sabse zyada sakht the aur jab waapas aaya to HAZRAT MOOSA عليه السلام
mere liye sabse behtar the.
HAZRAT ABU SAYEED رضي الله عنه ki
riwayat mein hai AAP ﷺ
ne farmaya main waapasi per aaya aur HAZRAT MOOSA عليه السلام k
paas se guzra to wo tumhare liye behtareen saathi the unhone pucha AAP k rab ne
AAP per kitni namaze farz ki hain...???
HAZRAT IMAM SAHEELI رحمة الله عليه
farmate hain HAZRAT MOOSA عليه السلام ka
is ummat ki taraf tawajja karna aur HUZOOR NABI KAREEM ﷺ se
ummat ki sifarish k liye ilteja karna aur unper takhfeef ka sawaal karna isliye
tha (aur haqeeqat ALLAH TA’ALA hi jaanta hai) k jab toor ki maghribi jaanib
unke liye risaalat ka faesla hua aur unhone takhtiyon mein HAZRAT MUHHAMAD
MUSTAFA ﷺ
ki ummat ki sifaat dekhi.
Aur kehne lage k main takhtiyon mein ek ummat (ka zikr) dekhta hoon jinki ye ye sifaat hain to YA ALLAH, unko meri ummat banade, AAP (yaani hazrat moosa عليه السلام) se kaha gaya wo to HAZRAT MUHAMMAD ﷺ ki ummat hai.
Ye mash’hoor hadees hai aur is ummat k khasaes
k bayaan mein iska zikr aata hai jo humne pehle hi is topic per post kardiya
hai (Alhamdulillah) to aapne is ummat ka is tarah khayaal rakha jis tarah kisi
qaom ka koi fard aesa karta hai.
Kyunke AAP عليه السلام ne
ye dua maangi, YA ALLAH mujhe unme se karde, to goya HAZRAT MOOSA عليه السلام
ne apne aapko UMMAT E MUHAMMADIYA ﷺ mein
se samajhkar namazon k hawale se takhfeef ka mashwara diya.
IMAM QARTABI رحمة الله عليه
farmate hain HAZRAT MOOSA عليه السلام k
NABI KAREEM ﷺ
ko namazo k maamle mein baar baar wapasi ka mashwara dene mein is baat ka
ehtemaal hai k HAZRAT MOOSA عليه السلام ki
ummat ko namaz k maamle mein is qadar mukallaf banaya gaya k unse pehle kisi
ummat ko iska mukallaf nahi banaya gaya.
To HAZRAT MOOSA عليه السلام ko
HUZOOR NABI KAREEM ﷺ
ki ummat k bare mein bhi yahi khaof tha, aur unka ye qaol k main AAP se pehle
logon ka tajruba kar chukka hoon usi baat ki taraf ishara karta hai.
HAZRAT MOOSA عليه السلام K
MAOQAF MEIN ISHARAAT
Baaz ahle ishara k kalaam mein hai k jab HAZRAT
MOOSA عليه
السلام k dil mein mohabbat ki aag teher gayi to
AAP per noor e toor k anwaar raoshan huye to unhone unko lene k liye jaldi ki
to rok diya gaya pas jab manadi ki taraf se nida huyi to AAP manadi (nida karne
wale) k mushtaaq hogaye.
Chunanche AAP BANI ISRAEEL mein chakkar lagate
k kaon mera paeghaam mere rab tak pahonchaayega aur AAP ki muraad ye thi k
HABEEB k sath taweel munajaat ho pas jab HAMARE NABI ﷺ
MERAAJ ki raat AAP عليه
السلام k paas se guzre to namaz k maamle mein
baar baar waapas kiya taake MEHBOOB (ALLAH AZWAJAL) K MEHBOOB ki ziyarat se
sa’adat haasil karey.
Ek shayad ne kya khoob kaha hai jiska mafhoom
hai, aur MOOSA عليه
السلام k (NABI KAREEM ﷺ KO
MERAAJ KI RAAT) laotaane mein raaz ye tha k meri raat khoobsurat hojaye jab wo
(NABI ﷺ)
jalwa figan ho.
FARZIYAT E NAMAZ KI HADEES SE ISTEDLAAL
HADEES E MUBARAKA mein jo aaya hai k “ye din
raat mein 5 namaze hain har namaz 10 k barabar hai to kul 50 huye” to isse
ULLAMA E KIRAAM ne yun istedlaal kiya hia.
1. Paanch namazo se zaayed farz nahi jaese
witar (farz nahi).
2. Feyl se pehle iska mansookh hona jayez hai.
IBNE BATAAL رحمة الله عليه o
degar ne farmaya k kyat um nahi dekhte k ALLAH TA’ALA ne 50 namazo ko unke
padhe jaane se pehle 5 namazo k sath mansookh kardiya phir inper fazal farmaya
k unke liye sawaab ko mukammal kiya.
Lekin IBNE MUNEER ne unka taaqub karte huye
farmaya k ye baat usulon k ek girwah aur sharah karne waalon ne zikr ki hai aur
ye un logon k liye mushkil hai jo feyl se pehle nuskh saabit karte hain jis
tarah ashayera ya uska inkaar karte hain, jaese muazzila (matlab ye hai k 50
namazon ka hukum diya gaya phir mansookh karte karte 5 reh gayi halaanke 5 se
zyada per amal nahi hua).
Kyun k ye log is baat per mutaffiq hogaye k
tableegh se pehle nuskh jayez nahi aur HADEES E MERAAJ mein nuskh, tableegh se
pehle waqey huya pas in sab k liye ye mushkil hai.
Agar hare k tak pahonchna muraad ho to ye baat
tasleem nahi aur ummat k baaz afraad tak pahonchna muraad ho to ye baat tasleem
hai lekin kaha jaayega k ye unki nisbat se nuskh nahi balke HUZOOR NABI KAREEM ﷺ
ki nisbat se nuskh hai kyun k qatayi taor per AAP ﷺ hi
uske mukallif banaye gaye phir jab AAP tak ye hukum pahoncha to AAP k amal se
pehle ye hukum mansookh hogaya pas aap k haq mein is masle ki tasweer sahih
hai.
REFERENCE:
MAWAHIB LADUNIYA, JILD 2
REFERENCE:
MAWAHIB LADUNIYA, JILD 2
POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ"
Ishq e Nabi ﷺ
JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY