Tuesday, September 22, 2015

MAAH E ZILHAJJA AUR QURBANI

MAAH E ZILHAJJA AUR QURBANI


NABI KAREEM K ASHRA ZIL HAJJA K ROZE


Isse muraad zilhajja k shuru 9 roze rakhna hai.

Hazrat Haneeda bin Khalid apni biwi se aur wo NABI KAREEM ki ek zaoja mathara se riwayat karti hain, wo farmayi hain NABI KAREEM 9 Zilhajja ka roza rakhte the.
(Sunan Abu Daood)

SAHIH BUKHARI me sabit hai k NABI KAREEM ne farmaya, in (10 dino) se badhkar kisi din me amal ki fazeelat nahi.

Isse Zilhajja ka pehla ashra muraad hai aur is hadees se zilhajja k ashra awwal yaani pehle 9 din me roze ki fazilat per istedlaal kiya gaya hai kyu k roza bhi amal me daakhil hai.

Isper aetraaz hota hai k EID k din roza rakhna haraam hai to iska jawaab yu diya gaya hai k ghalib dino per mahmool hai, yaani 9 dino ko ashra kaha gaya hai.

Hafiz Ibne Hajar رحمة الله عليه farmate hain, k Qasim bin abi ayub رضي الله عنه ki riwayat me aaya hai k ALLAH TA'ALA k haan koi amal zilhajja k dus dino me kiye gaye amal se zyada pakeeza aur azeem nahi hai.
(Sunan Waari, Jild 2 Page 26)
(Al Targheeb Wal Tarteeb, Jild 2, Page 198)
(Kanzul Ummal, Raqam Al Hadees 35187)

SAHIH ABI AWAANA aur SAHIH IBNE HABBAN me Hazrat Jabir رضي الله عنه se marwi hadees hai, koi din ALLAH TA'ALA k nazdeek zilhajja k pehle ashre se zyada fazilat waley nahi hain.

To Zilhajja k pehle ashrey ki fazilat saal k dusre dino per sabit hogayi aur iska faeda yu zaahir hota hai k agar koi shaks afzal dino me roza rakhne ki nazar zamane ya kisi amal ko in dino se mashroot karde aur inme se sirf ek din ka zikr karey to 9 zilhajja ka din mat'yeen hojayega, kyu k sahih qaol k mutabiq yahi din in 10 mazkoora dino me se afzal hai.



HUZOOR NABI KAREEM ne farmaya k ALLAH TA’ALA ki ibadat k liye ashra zilhajja (zilhajja k 10 din) se behtar koi zamana nahi, inmey ek din ka roza ek saal k rozo k barabar aur ek raat me ibadat karna shab e qadar ki ibadat k barabar hai.
(Tirmizi, Ibne Maaja)

Hazrat ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat hai, RASOOL ALLAH ne farmaya, zilhajja k ibtedayi 10 dino k muqaabley me dusrey koi ayyaam aese nahi jinme nek amal ALLAH TA’ALA ko in dino se zyada mehboob ho.

Sahaba Kiraam رضي الله عنهم اجمعين ne arz kiya, YA RASOOL ALLAH , ALLAH ki raah me jihad karna bhi nahi? Aap ne farmaya, ALLAH ki raah me jihad karna bhi nahi, siwaye is mujahid k jo apni jaan aur maal lekar (jihaad k liye) nikla aur phir kisi cheez k sath waapas nahi (yaani shaheed hogaya) ye dusro se yaqeenan afzal hai.
(Sahih Bukhari)

Hazrat Abu Qatada رضي الله عنه bayaan farmate hain k RASOOL ALLAH se arfa k roze ki baabat sawaal kiya gaya, AAP ne farmaya, wo guzishta aur aayinda saal k gunaho ka kafara ban jaata hai.
(Sahih Muslim)

Janaab Hazrat Ayesha SIddiqua رضي الله عنهما se marwi hai ek naojawaan is haal me tha k ZILHAJJA ka chaand namodaar hojata to wo roze rakhna shuru kardeta tha, iskey mutalliq SARWAR E DO ALAM ko malum hua.

Aap ne isko talab farmakar pucha in ayyaam me tu kyu roze rakhta hai, arz kiya YA RASOOL ALLAH aap per mere maa baap nisaar ye imam mashayer (haj ki nishaniyo k din) aur ayaam e hajj hain.

Mumkin hai ALLAH TA’ALA mujhko bhih inki duao me shamil farmale, Aap ne farmaya (agar yu hai to) tere waste har roze k auz ek sad ghulaam ko azaad karne ek sad oonto ko khaeraat karne ek sad ghodey aese jinper jihad (k liye samaan) fi sabilillah rakha ho, k barabar ajar hai.

Aur yaom al tarwiyah (8 zilhajja) ko is din 1000 ghulaam azaad kardene 1000 oont ki qurbani aur 1000 hazaar ghodey samaan jihad fi sabilillah dene k barabar tumhare haq me sawaab hai.

Aur yaom e arfa (9 zilhajja) k roz jab hojayega to tumhare waastey 2000 ghulam azaad karne 2000 oont ki qurbani aur 2000 ghode jinper fi sabilillah sawari karte hain k barabar sawaab hoga.
(Mukashifatul Quloob)

RASOOL ALLAH ka irshad hai arfa k din ka roza do baras k rozo k barabar hota hai aur yaom e ashoora ka roza ek baras rozo k masawi hota hai, ALLAH TA'ALA ne farmaya, ووعدنا موسى ثاثين ليلة و اتممنها بعشر, aur humne waada farmaya moosa k sath 30 raato ka aur iski takmeel dus k sath farmayi.
(Mukashifatul Quloob)

Hazrat Ibne Masood رضي الله عنه raawi hain k ALLAH ayyaam me se 4 ayyam aur mahino me se 4 mahine aur aurto me se 4 aurtey aur jannat me aoliyat karn wale 4 aur jinka ishtiyaaq jannat rakhti hai inmey se bhi 4 ka intekhaab kiya hai,

1. JUMA KA ROZ:
Is din me ek sa'ath wo hai k is daoraan koi musalman ALLAH se jo kuch maangta hai to ALLAH TA'ALA isko ata farmata hai khwaah duniya talab karey ya aakhirat.

2. YAOM ARFA:
Zilhajja ki 9 tareekh arfa ka din hai ye HAJJ ka din hai is din ALLAH TA'ALA malayeka k saamne fakhr farmata hai k aye farishto, dekhlo ye mere bande aaye huye hain, girdey atey huye, bikhrey baalo k sath unhone apne maal sarf kiye, apne badan ko thakaya, ab tum gawah hojao k maine inki maghfirat farmadi hai.

3. YAOM UL NAHER:
(Ye Eid Ul Azha ka Din Hai) ye yaom ul naher hota hai, banda qurbani pesh karta hai, is qurbani k jaanwar k khoon ka aoleen girna wala qatra hi is bande k ma'asi ka kaffara hojata hai.

4. YAOM UL FITR:
(Ye Eid ul Fitr wala roza hai), Log ramadan ul mubarak k roze rakhne k baad namaz eid ada karne k liye nikal aate hain to ALLAH TA'ALA farishto se mukhatib hota hai k har mazdoor apni ujrat talab karta hai.

Mere bande roze rakhte rahe hain aur ab EID padhne k liye nikal pade hain ye apni mazduri chahte hain, tumko main gawaah banakar farmata hoon k inhey maine bakhsh diya hai, ek nida karne wala ye awaaz deta hai AYE UMMAT E MUHAMMED tum ab aesi haalat me laot kar jaao k tumhari buraiyaan maine nekiyo me tabdeel farmadi hain.
(Mukashifatul Quloob)

Janaab e risalat ka irshaad hai, yaom al tarwiyah 8 zilhajja ko jo shaks roza rakhey isko ALLAH TA'ALA Hazrat Ayub عليه السلام k apni ibtela k waqt sabar karne ki manind ajar ata farmayega aur jo arfa k din 9 zilhajja roza rakhley isey ALLAH TA'ALA Hazrat Eesa عليه السلام k sawaab k maanind sawaab ata farmayega.
(Mukashifatul Quloob)


RASOOL ALLAH se riwayat kiya gaya hai k jab yaom arfa aata hai ALLAH TA'ALA apni rehmat ko phaela deta hai, jitne log is roz dozakh se nijaat paate hain inse zyada kisi din bhi log dozakh se azaad nahi hote hain.

Aur jo yaom arfa ka roza rakhley wo pichle saal aur aayinda saal k tamaam gunafo ka kaffara hojayega, (yaha sagheera gunahon ka kaffara hoga, kabeera gunaho se muaafi o taoba karne aur huqooq al ibaad ada karne se hai.
(Mukashifatul Quloob)

Iski waja ye hai k ye din do eido k darmiyaan hai jabke dono hi eidey ahle islaam k liye khushi k din hote hain aur gunah muaaf hojane ki khushi se badi aur koi khushi nahi hoti aur ashoora ka roza eideyn k baad aata hai, to ye ek saal k gunaho ka kaffara hota hai.

Dusri waja ye hai k ye din Hazrat Moosa عليه السلام k waaste tha, jabke yaom arfa hamare NABI KAREEM k waastey hai aur aapki azmat o izzat sabse badhkar hai.
(Mukashifatul Quloob)


QURBANI KI TAREEF

Qurbani ye ek maali ibadat hai jo ghani per wajib hai khaas jaanwar ko khaas din me ALLAH TA'ALA k liye sawaab ki niyyat se zubaah karna qurbani hai, musalmaan, muqeem, malik e nisaab, azaad per wajib hai.

QURBANI KI FAZILAT

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua رضي الله عنهما se marwi hai k NABI E PAK ne irshad farmaya k Yaom neher (10vi zilhajja) me ibne aadam ka koi amal khuda k nazdeek khoon bahane (qurbani karne) se zyada pyaara nahi aur wo jaanwar qayamat k din apne seeng aur baal aur kharo k saath aayega aur qurbani ka khoon zameen per girne se qabl khuda k nazdeek maqaam e qubuliyat me pahonch jata hai lehaza isko khush dili se karo.
(Abu Daood Ba Hawala Bahar e Shariat)

QURBANI KIS PER WAJIB HAI

Qurbani wajib hone ka sabab waqt hai yaani jab wo waqt aaya aur sharayet jo paaye gaye qurbani wajib hogayi aur iska rakan in makhsoos jaanwaro me se kisi ko qurbani ki niyyat se zubah karna hai.
(Bahaar e Shariat)

MASAEL

Qurbani k waqt me qurbani karna hi laazim hai koi dusri cheez iskey qatam maqaam nahi ho sakti.
(Bahar e Shariat)

Jis tarah qurbani mard per wajib hai isi tarah aurat per bhi wajib hai.
(DUR E MUKHTAR)

Musafir per qurbani wajib nahi lekin agar nafeel k taor per karey to kar sakta hai, sawaab paayega.
(DUR E MUKHTAR)

Malik e nisaab hone se muraad itna maal hona hai k jitna maal hone se sadqa fitr wajib hota hai yaani haajat e asliya k alawa 200 dirham (52.5 tola chaandi) ya 20 deenar (7.5 tole sona) ka maalik ho.
(DUR E MUKHTAR, ALAMGIRI)

Jo shaks 200 dirham ya 20 deenaar ka malik ho ya haajat k siwa kisi aesi cheez ka malik ho jiski qeemat 200 dirham ho to wo ghani hai isper qurbani wajib hai.
(ALAMGIRI)

QURBANI K JAANWAR KI UMR

Oont ya oontni 5 saal, gaaye, bayel bhaens do saal, bakra bakri dumba dumbi bheed ek saal.
(Bahar e Shariat)

QURBANI KA WAQT

Daswi zilhajja ki subah sadiq se 12wi k ghuroob aftaab tak hai yaani 3 din aur 2 raatey lekin daswi sabme afzal hai phir 11wi phir 12wi.

MASAEL

Sheher me qurbani ki jaaye to shart ye hai k NAMAZ EID k baad ho aur dehaat me chonkey NAMAZ EID nahi isliye subah sadiq se ho sakti hai.

Qurbani k waqt me qurbani hi karni laazim hai itni qeemat ye itni qeemat ka jaanwar sadqa karne se wajib ada na hoga.
(ALAMGIRI)

Qurbani k din guzarjaane k baad qurbani faot hogayi ab nahi ho sakti lehaza agar koi jaanwar qurbani k liye khareed rakha hai to iska sadqa karey warna ek bakri ki qeemat sadqa karey.
(RAD UL MUKHTAR, ALAMGIRI)

QURBANI ME SHIRKAT K MASAEL

Jab qurbani ki shartey paayi jaye jinka upar bayaan hua to ek bakri ya bheed ka zubah karna ya oont gaaye, ka saatwaan hissa wajib hai, isse kam nahi ho sakta yaha tak k agar kisi shareek ka hissa saatwey se kam hai to kisi ki qurbani sahih na hogi.

Haan saat se kam shareek ho aur hisse bhi kam e besh ho lekin kisi ka hissa saatwey se kam na ho to jayaz hai.

Qurbani k sab shareeko ki niyyat taqreeb (yaani sawaab paana) hona chahiye khaali gosht haasil karna na lehaza aqeeqa karne wala shareek ho sakta hai (k aqeeqa bhi taqreeb ki ek surat hai).
(RAD UL MUKHTAR)

JAANWAR ME AYEB

Qurbani k jaanwar ka in ayebo se paak hona zaruri hai warna qurbani nahi hogi.

1. Itna kamzor k jiski haddiyo me maghz na raha ho.
2. Langda is qadr k chal na sakta ho.
3. Bimaar hona, (jiski bimari zaahir ho).
4. Kaan, dum ya koi aur azu tahayi 1/3rd se zyada kata ho.
5. Seeng tahayi se zyada toota ho.
6. Jiske paedayish daant na ho, jiske than katey ho.
7. Bakri ka ek than aur gaaye k do than khashk hogaye ho.
8. Naak kati hona.
(Bahar e Shariat)

QURBANI KA TARIQA

Qurbani k jaanwar ko zibah se pehle chaara paani dedey pehle se churi tez larkey lekin jaanwar k saamne nahi, jaanwar ko baaye pehlu per is tarah litaye k qible ki taraf iska mu ho aur zibah karne wala apna daahna paau iskey pehlu per rakh kar tez churi se jald zibah kardey aur zibah se pehle ye dua padhe.

انى وجهت وجهى للزى فطر السموات والارض حنيفا وما انا من المشركين ان صلاتى ونسلى ومحياى ومماتى لله رب العالمين لا شريك له وبذالك امرت وانا من المسلمين اللهم لك ومنك يسم الله الله اكبر

Dua Khatam karte hi churi chaladey qurbani apni taraf se ho to zibah k baad ye dua padhe.

الهم تقبل منى كما تقبلت من خليلك ابراهيم عليه السلام و حبيبك محمد صلى الله عليه وسلم

Zibah me chaaro ragey katey ya kam se kam teen isse zyada na kaatey k churi mehra tak pahoch jaaye k ye bewaja ki takleef hai thanda hone per paau kaatey khaal utaarey agar dusrey ki taraf se zibah kiya hai to منى ki jaga من falaan kahey.

Yaani us shaks ka naam ley jiskey naam se qurbani di ja rahi hai, aur agar mushtarak jaanwar ho jaese gaaye, ya oont, ya bhaens, to falaan ki jaga sab shareeko k naam ley.

Agar Dusre se zibaah karaye to behtar hai k khud bhi haazir rahe.

GOSHT AUR KHAAL K MASAEL

Agar jaanwar mushtarik hai to gosht tol kar taqseem kiya jaye atkal se na baatey k agar kisi ko zyada pahonch gaya to dusrey k maaf karne se bhi jayaz na hoga k haq shara hai.
(Rad Ul Mukhtar)

Phir apne hisse k 3 hisse karkey ek hissa faqeero ko dedey aur ek hissa dosto aur azeezo ko dey aur ek hissa apne ghar walo k liye rakhey khud bhi khaaye baal bacho ko bhi khilaye agar ghar waley zyada ho to kul ghar k sarf me la sakta hai aur kul sadqa bhi kar sakta hai agarche ek hissa apne liye behtar hai.

MASAEL

Agar mayyat ki taraf se qurbani ki to iskey gosht ka bhi yahi hukum hai albatta agr mayyat ne kaha tha k meri taraf se qurbani kardena to is surat me kul gosht sadqa kardey.

Qurbani agar mayyat ki hai to iska gosht na khud kha sakta hai balkey isko sadqa karna wajib hai.

Qurbani karne wala baqr'eid k din sabse pehle qurbani ka gosht khaaye ye mustahib hai.
(Beher Al Raayeq)

Qurbani ka gosht kaafir ko na dey k yahaan kuffar harbi hain.

Chamda, jhool, rassi, haar sab sadqa kardey chamde ko khud apne kaam me bhi la sakta hai, maslan dol jae namaz bichona waghaera bana sakta hai lekin bech kar qeemat apne kaam me laana jayaz nahi agar bech diya to is qeemat ko sadqa kardena wajib hai.
(Dur e Mukhtar, Rad Ul Mukhtar)

Aajkal aksar log khaal deeni madarse me diya karte hain ye jayaz hai agar madarse me dene ki niyyat se khaal bechkar qeemat madarse me dedey to ye bhi jayaz hai.
(Alamgiri)

Qurbani ka gosht ya chamda qassab ya zibaah karne waley ko mazdoori me nahi de sakta haan agar dosto ki tarah hadyatan hissa diya to de sakta hai jisey isey ujrat me shumaar na karey.
(Hidaya)

Baaz jaga qurbani ka chamda masjid k imam ko dete hain agar tankhwaah me na diya jaye balkey bataor madad k dey to harj nahi.
(Bahar e Sharait)

KIN JAANWARO KI QURBANI HO SAKTI HAI

Qurbani ka jaanwar gaaye bhaens, bakri, bheed nar o maada qurbani ho sakti hai.
(Alamgiri)

Wehshi jaanwar jaese hiran, neel, gaaye, baara singha waghaera ki qurbani nahi ho sakti.
(Alamgiri)

Dumba bheed hi me daakhil hai.

Oont 5 saal, gaaye 2 saal bheed bakri ek saal ki ho ya zyada ki isseyy kam ki najayaz hai haan agar dumba ya bheed ka 6 maah bacha itna bada ho k dur se dekhne me saal bhar ka malum hota ho to iski qurbani jayaz hai.
(Dur e Mukhtar)

QURBANI KA JAANWAR KAESA HONA CHAHIYE

Tanda jiskey paedayish seeng na ho jayaz hai albatta agar seeng the aur toot gaye aur meng yaani goda tak toot gaye to jayaz nahi isse kam toota hai to jayaz hai.
(Alamgiri)

Andha, langda, kaana, bajd dubla, kaan katta, be daant ka, than katta, than sookha, naak katta, paedayish be kaan ka beemar khansa (jiskey dono nishaniya ho jalala (jo sirf ghaleez khata ho) in sabki qurbani jayaz nahi.
(Dur e Mukhtar)

Bimari agar khafees hai aur langdapan halka hai k chal phir leta hai qurbaan gaah tak ja sakta hai ya kaan naak dum tahayi se zyada nahi kiye to jayaz hai.
(Dur e Mukhtar o Alamgiri)

Qurbani ki aur pet me zinda bacha hai to isey bhi zibah karde aur kaam me la sakta hai aur mara hua to phenk de.
(Bahar e Shariat)

Khareedne k baad qurbani se pehle jaanwar ne bacha dediya to isey bhi zibaah kar daaley aur agar bechdiya to iski qeemat ko sadqa karey aur agar ayaam qurbani me zibah na kiya to zinda sadqa karde.
(Alamgiri)

HAMARE AQA O MAOLA HAZRAT AHMED E MUJTABA MUHAMMED MUSTAFA k karam ameem ko dekho k khud is ummat marhooma ki taraf se qurbani ki aur is maoqe per bhi ummat ka khayaal farmaya lehaza jis musalman se ho sakey wo SARKAR E DO JAHAN k naam ki qurbani karey to kaesi khush naseebi hai.
(Bahar e Shariat)

LIKE COMMENT AND SHARE...



 LIKE OUR FB PAGE

Thursday, September 17, 2015

QASSAS UL AMBIYA POST 01

QISSAS UL AMBIYA

ALIMAM UL HAFIZA IMAAD UDDIN MUHAMMED BIN ISMAIL

AL MAROOF IMAM IBNE KASEER

 

MUTARJUM:

MUHAMMED FAIZ AHMED OWAISI


WAQEYA
HAZRAT ADAM عليه السلام


TARJUMA:

Aur yaad karo jab tumhare rab ne farishto se farmaya main zameen mein apna nayab banane wala hoon boley kya aese ko (nayab) karega jo isme fasaad phaelayega aur khoonreziyan karega aur hum tujhe sarahte huye teri tasbeeh karte aur teri paaki bolte hain farmaya mujhe maloom hai jo tum nahi jaante.

Aur ALLAH TA'ALA ne adam (عليه السلام) ko tamaam ashya k naam sikhaye phir sab ashya ko malayeka per pesh karkey farmaya sache ho to inkey naam to batao.

Boley paaki hai tujhe hamey kuch ilm nahi magar jitna tuney hamey sikhaya beshak tu hi ilm o hikmat wala hai.

Farmaya aye adam batadey inhey sab ashya k naam jab isney (yaani adam عليه السلامne) unhey sab k naam batadiiye farmaya main na kehta tha k main jaanta hoon asmano aur zameen ki sab chupi cheezey aur main jaanta hoon jo kuch tum zahir karte aur jo kuch tum chupate ho.

Aur yaad karo jab humne farishto ko hukum diya k adam (عليه السلام) ko sajda karo to sabne sajda kiya siwaye iblees k k munkir hua aur ghuroor kiya aur kafir hogaya.

Aur humne farmaya aye adam tu aur teri biwi is jannat me raho aur khao ismey se be rok tok jahaan tumhara ji chahe magar is ped k paas na jaana k had se badhne walo me hojaoge.

To shaetaan ne issey (yaani jannat se) unhey laghzish di aur jahaan rehte the waha se inhey alag kardiya aur humne farmaya k niche utro apas me ek tumhara dusrey ka dushman aur tumhey ek waqt tak zameen me teherna aur baratna hai.

Phir seekh liye adam ne apne rab se kuch kalme to ALLAH ne unki taoba qubool ki beshak wahi hai bahot taoba qubool karne wala meherbaan.

Humne na farmaya tum sab jannat se utarjao Phir agar tumhare paas meri taraf se koi hidayat aaye to jo meri hidayat ka paero huya usey na koi andesha na kuch gham.

Aur wo jo kufr karenge aur meri ayatey jhutlayenge wo dozakh waley hain inko hamesha ismey rehna hai.

(SUREH BAQARA, AYAT 29 - 39)

TARJUMA:

Eesa (عليه السلام) ki kahawat ALLAH k nazdeek ADAM عليه السلام ki tarah hai usey mitti se banaya phir farmaya hoja to faoran hojata hai.
(SUREH AL IMRAN, AYAT 59)

TARJUMA:

Aye logo, apne rab se daro jisne tumhey ek jaan se paeda kiya aur isi me se uska joda banaya aur un dono se bahot se mard o aorat phaeladiye aur ALLAH se daro jiskey naam per maangte ho aur rishto ka lehaaz rakho beshak ALLAH har waqt tumhey dekh raha hai.
(SUREH AL NISA, AYAT 01)

TARJUMA:

Aye logo, humne tumhe ek mard aur ek aorat se paeda kiya aur tumhey shakhey aur qabeeley kiya k aapas me pehchaan rakho beshak ALLAH k yaha tum me zyada izzat wala wo jo tum me zyada parhezgaar hai beshak ALLAH jaanne wala khabardaar hai.
(SUREH AL HUJRAT, AYAT 13)

TARJUMA:

Wahi hai jisne tumhey ek jaan se paeda kiya aur isi me se iska joda banaya k issey chaen paaye.
(SUREH AL ARAAF, AYAT 189)

TARJUMA:

Humne zameen hi se tumhe banaya aur isi me tumhey phir le jayenge aur isi se tumhey dubara nikalenge.
(SUREH TAHA, AYAT 55)

ALLAH TA'ALA ne in qurani ayaat me HAZRAT ADAM عليه السلام k zikr ko bayaan kiya hai, ye ayaat quran majeed ki mukhtalif surto me aayi hain, zikr e adam per humne apni tafseer (tafseer ibne kaseer) me tafseelan guftagu ki hai, lekin yaha kuch ayat ki roshni me hum is qisse k mutalliq mazmoon ko bayaan karenge yaani HAZRAT ADAM عليه السلام ka waqeya o qissa bayaan karenge aur iskey sath sath HUZOOR NABI KAREEM RAOOF UR RAHEEM ki wo ahadees jo is qisse me warid hain bayaan karenge.

TARJUMA:

Aur beshak main zameen me ek nayab banane wala hoon.
(SUREH BAQARA)

Is ayat e mubaraka me bataya ja raha hai k ALLAH TA'ALA ne irada farmaya k ADAM عليه السلام aur inki aolaad ki takhleeq k baarey me inhey agah karu jo ekey baad degar zameen me iskey khalifa aur nayab honge.

Farishto ka ALLAH TA'ALA ka HAZRAT ADAM عليه السلام aur unki aolaad ki takhleeq se bakhabar karna ba'gharz tazeem o tehreem tha, jis tarah k kisi amar azeem k hone se pehle iski khabar dedi jaye aur farishto ka bhi kisi aetraaz ki waja se na tha balkey wo chahte the k ADAM عليه السلام ki takhleeq ki waja aur hikmat se malumaat haasil karey.

Farishto ko na to HAZRAT ADAM عليه السلام se hasad tha aur na wo inki shaan k munkir the wo sirf ye jaanna chahte the k iski takhleeq me kaonse raaz chupa hua hai, lekin baaz mufassireen ko ye wehem laahaq hua hai k shayad farishto ye aetraaz tanqees shaan ya hasad ki bina per tha farishto ne arz kiya.

TARJUMA:

Kya isko nayeb banayega jo is zameen me fasaad phaelayega.
(SUREH AL BAQARA, AYAT 29)

Aur ye bhi kaha gaya hai k HAZRAT ADAM عليه السلام se pehle jinnat ki takhleeq ho chuki thi aur wo aapas me ladte jhagadte rehte the aur zameen me fitna fasaad karte rehte the, ye qaol hazrat qatada ka hai.

Hazrat abdullah bin omer رضي الله عنه farmate hain, janaab HAZRAT ADAM عليه السلام ki paedayish se 2000 saal pehle takhleeq ho chukey the aur wo aapas me jung o qattaal ka bazaar garm rakhte the, ALLAH TA'ALA ne farishto ki ek jamaat ko khoonrezi k insdaad k liye bheja farishto ki is jamaat ne inhey samandaro aur jazeero ki taraf bhaga diya.

Hazrat abdullah bin abbas رضي الله عنه se bhi yahi manqool hai lekin hazrat hassan رضي الله عنه farmate hain k farishto ko alhaam hua tha HAZRAT ADAM عليه السلام ki aolaad zameen per khoonrezi karegi isliye unhone arz kiya k aesi makhlooq ko paeda karne me kaonsi hikmat paosheeda hai.

Ibne abi hatim, abu jafar baqar se riwayat karte hain k khoonrezi k mutalliq inki malumaat looh e mehfooz se akhaz shuda thi, ye malumaat inhey haaroot o maaroot farishto ne di thi, aur haaroot o maaroot farishto ne ye malumaat ek aur farishte se li thi, jiska naam sajal tha aur inse agli manzil per qayaam rakhte the.

Ek raaye ye bhi hai k farishte jaante the k mitti k khameer se jo shaks bhi takhleeq hogi wo khoonrezi karega kyu k mitti ki khususiyat hi yahi hai.

"ونحن نسبح بحمد و نقدس لك" yaani hum har lamha teri hamd o sana me lagey rehte hain, koi lamha aesa nahi guzarta k hum teri ibadat se ghafil ho, agar adam aur aolaad e adam ki takhleeq ka maqsad teri ibadat hai to hum ek lamhe k liye bhi ibadat se ghaflat nahi karte, din raat hum teri tasbeeh ham o sana aur ibadat o riyazat ka fareeza sar anjaam dete rehte hain.

"قال انى اعلم ما لا تعلمون" yaani HAZRAT ADAM عليه السلام k raaz ko main khoob jaanta hoon lekin tumko is haqeeqat ka ilm nahi aur anqareeb tum dekhogey k iski aolaad se nihayat hi jaleel ul qadar ambiya عليهم السلام, rasool, siddique, shohada, aur saliheen qayamat tak paeda hote rahenge.

TAMAAM ASH'YA K NAAMO KA ILM


Phir ALLAH TA'ALA ne HAZRAT ADAM عليه السلام k sharf o ilm o ma'arifat ko farishto k saamne bayaan kiya aur farmaya, وعلم آدم الاسماء كلها (SUREH BAQARA).

Hazrat abdullah ibne abbas رضي الله عنه farmate hain, ye wo asma the jinko insaan aaj bhi jaante hain, maslan insaan, jaanwar, zameen, sehra, pahaad, oont, gadhe aur duniya ki dusri tamaam ash'ya k naam.

Hazrat mujahed farmate hain k ALLAH TA'ALA ne HAZRAT ADAM عليه السلام ko tamaam naam sikhadiye the, hata k khaane peeney k bartan, handiya, khambi aur tamaam choti choti cheezo k naam bhi aur duniya me koi aesi cheez na hogi jiska naam HAZRAT ADAM عليه السلام ko na sikhaya gaya ho.

Hazrat mujahed ka ek dusra qaol ye bhi hai k ALLAH TA'ALA ne HAZRAT ADAM عليه السلام ko har jaanwar ka har parinde ka aur har cheez ka naam sikha diya tha.

Hazrat sayeed bin jabeer aur hazrat qatada رضي الله عنهم aur degar mufassireen ki bhi yahi raaye hai, hazrat rabeey رحمة الله عليه farmate hai, ALLAH TA'ALA ne HAZRAT ADAM عليه السلام ko sirf farishto k asmaa taleem farmaye the.

Hazrat abul rehman bin zaid رحمة الله عليه ka qaol hai k ALLAH TA'ALA ne HAZRAT ADAM عليه السلام ko apni tamaam aolaad k naam sikhadiye the, aur sahih baat ye hai k ALLAH TA'ALA ne HAZRAT ADAM عليه السلام ko tamaam zawaat aur inkey af'aal k naam batadiye the aur choti badi koi aesi cheez nahi thi jisse aap la ilm rahey ho, jaesa k Hazrat abudllah ibne abbas رضي الله عنه ne iski taraf ishara kiya hai.

Hazrat hassan busiri رحمة الله عليه farmate hain k jab ALLAH TA'ALA ne HAZRAT ADAM عليه السلام ki takhleeq ka irada farmaya to farishto ne kaha, hamara rab koi makhlooq paeda nahi karega jo ilm me humse zyada ho, to ALLAH ne inse imtehaan liya aur inhey batadiya k HAZRAT ADAM عليه السلام ilm me inse bahot buland hain.

FARISHTO KA AETERAAF


Farishto ne arz ki,

سبحانك لا علم لنا الا ما علمتنا انك انت العليم الحكيم قالوا

TARJUMA:

Boley paaki hai tujhe hamey kuch ilm nahi magar jitna tuney hamey sikhaya beshak tuhi ilm o hikmat wala hai.
(SUREH BAQARA, AYAT 32)

Jaesa k ek aur jaga farmane khudawandi hai.

قال يآدم انبئهم باسمائهم فلما انبأهم باسماء هم قال الم اقل لكم انى اعلم غيب السموت و الارض و اعلم ما تبدون وما كنتم تكتمون

TARJUMA:

Farmaya aye adam batadey inhey sab (ashya k) naam jab isne (yaani adam عليه السلم) ne unhey sab k naam batadiye farmaye main na kehta tha k main jaanta hoon asmaano aur zameen ki sab chupi cheezey aur main jaanta hoon jo kuch tum zahir karte aur jo kuch tum chupate ho.
(SUREH BAQARA, AYAT 33)

Baaz kehte hain k "اعلم ماتبدون" se muraad farishto ka ye kehna hai, "اتجعل فيها من يفسد فيها" aur "وما كنتم تكتمون" se muraad iblees hai jisne HAZRAT ADAM عليه السلام se hasad kiya aur apne dil hi dil me kubr o nakhwat ko chupata raha , ye qaol sayeed bi jabeer, mujahed, sidi, zuhaak aur suri رحمة الله عليهم ka hai aur isi ko allama ibne jareer رحمة الله عليه ne ikhtiyaar kiya hai.

SAJDA KA HUKUM


وإذ قلنا للملائكة اسجدوا لآدم فسجدوا إلا إبليس أبى واستكبر وكان من الكافرين

TARJUMA:

Aur yaad karo jab humne farishto ko hukum diya k ADAM عليه السلام ko sajda karo to sabne sajda kiya siwaye iblees k, k munkir hua aur ghuroor kiya aur kafir hogaya.
(SUREH BAQARA, AYAT 34)

Jab ALLAH TA'ALA ne HAZRAT ADAM عليه السلام ko apne dast e qudrat se takhleeq farmaya aur isme apni rooh phoonki to farishto ko ADAM عليه السلام k saamne sajda karne ka hukum diya, ye hukum HAZRAT ADAM عليه السلام k liye bahot bada aezaaz e akram tha.

ALLAH TA'ALA IRSHAD FARMATA HAI

فإذا سويته ونفخت فيه من روحي فقعوا له ساجدين, فسجد الملئكة كلهم اجمعون

TARJUMA:

To jab main isey theek karlu aur ismey apni taraf se khaas ma'azzaz rooh phoonk du, to iskey liye sajde me gir padna to jitne farishte the sab k sab sajde me girey.
(SUREH AL HAJR, AYAT 29 30)

ALLAH TA'ALA ne yaha per HAZRAT ADAM عليه السلام k liye 4 fazilato ka zikr kiya hai.

Pehli ye k inhey apne dast e qudrat se takhleeq farmaya.
Dusri Ye k inme apni rooh phoonki.
Teesri ye k farishto ko inkey huzoor sajde karne ka hukum diya aur
Chaothi ye k inhey duniya ki tamaam cheezo k naam sikhadiye.

Isliye k jab mulla e aala me HAZRAT ADAM عليه السلام ki mulaqaat HAZRAT MOOSA عليه السلام se huyi aur dono ne ek dusrey ko dekha to HAZRAT MOOSA عليه السلام ne kaha, adam (عليه السلام) nasal insani k baap hain, ALLAH TA'ALA ne aapko apne hath se paeda kiya.

Aapke jism me rooh phoonki, farishto ko aap k saamne sajde ka hukum diya aur aapko tamaam cheezo k naam sikhadiye.

ALLAH TA'ALA IRSHAD FARMATA HAI

TARJUMA:

Aur beshak humne tumhe paeda kiya phir tumhare naqshe bataye phir humne malayeka se farmaya k ADAM عليه السلام ko sajda karo to wo sab sajde me girey magar iblees ye sajda walo me na hua, farmaya kis cheez ne tujhe roka k tuney sajda na kiya jab maine tujhe hukum diya tha bola main isse behtar hoon tuney mujhe aag se banaya aur isey mitti se banaya.
(SUREH AL ARAAF, AYAT 11, 12)

Hazrat hassan busiri رحمة الله عليه farmate hain k iblees ne qiyaas kiya aur wahi sabse pehle qiyaas karne wala hai.

IMAM BUHAMMED BIN SIREEN رحمة الله عليه farmate hain k suraj aur chand ki pursatish bhi mehez qiyaas ki waja se ki jati hai in dono aara ko ibne jareer ne riwayat kiya hai.

Matlab ye hai k jab shaetaan ne ADAM عليه السلام se afzal tasawer kiya, isliye sajda karne se ruk gaya halaankey ALLAH TA'ALA ne ADAM عليه السلام ko sajde ka hukum diya tha, ye hukum farishto ko bhi tha aur iblees ko bhi.

Farishto ne to hukum ki ata'at ki magar iblees ka qiyaas fi nafsa bhi fasid tha kyu k mitti aag se zyada nafa bakhsh aur zyada behtar hai, mitti me halm o bardbaari, aajizi o anksaari aur namu wa zarkheezi jaesi khubiyaan paayi jati hain jabkey aag me tayesh, halkapan, tezi aur jalane jaese aosaaf maojood hain.

HAZRAT ADAM عليه السلام ko ALLAH TA'ALA ne ye sharf bhi ata kiya tha, inki takhleeq apne dast e qudrat se ki thi aur inme apni rooh phoonki thi aur inhey aosaaf hameeda ki waja se farishto ko hukum diya k wo adam (عليه السلام) k saamne sajda karey.

FARMAN E KHUDAWANDI HAI

TARJUMA:

Aur yaad karo jab tumhare rab ne farishto se farmaya k aadmi ko banane wala hoon bahbbi mitti se jo badbodaar siyaah gaarey se hai

To jab main isey theek karlu aur isme apni taraf ki khaas maaz'zaz rooh phoon du to iskey liye sajde me girpadna to jitne farishte the sab k sab sajde me girey

Siwa iblees k isne sajda walo ka sath na maana

Farmaya aye iblees tujhe kya hua k sajda karne walo se alag raha

Bola mujhe zeba nahi k bashar ko sajda karu jisey tuney banaya jo siyaah badbodaar gaarey se thi

Farmaya tu jannat se nikal ja k tu mardood hai aur beshak qayamat tak tujhper laanat hai.

(SUREH AL HIJR, AYAT 27 - 35)

EK AUR JAGA IRSHAD E BAARI TA'ALA HAI

TARJUMA:

Aur yaad karo jab humne farishto ko farmaya k ADAM (عليه السلام) ko sajda karo to sabse sajda kiya siwa iblees k qaom jinse tha to apne rab k hukum se nikal gaya bhala kiya isey aur iski aolaad ko mere siwa dost banate ho.
(SUREH AL KAHAF, AYAT 50)

IN'SHA ALLAH NEXT POST ME FARISHTO, INSANO AUR JINO KI TAKLEEQ KAESE HUYI ISPER POST HOGI...

POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ" 
Ishq e Nabi ﷺ

JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
+966 556 713 059

LIKE OUR FB PAGE