Sunday, September 13, 2015

BAHAR E SHARI'AT


PART-1

TAHARAT


Mas'ala:-

Namaz Ke Liye Taharat(Paaki) Aisi Zaruri Chiz Hai Ke Baghair  Uske Namaz Hoti Hi Nahi..

{Bahare Shariyat Hissa.no.2, Safa no.6}

Wazoo Ka Bayan:-

Quraane kareem me Allah Ta'ala Irshad Farmata He:

Aye Imaan Waalo Jab Tum Namaz Padhne Ka Irada Karo (or wuzoo na ho) To Apne Muh Or Kohniyo Tak Hatho Ko Dho Or Saro Ka Masah Karo Or Takhno  Tak Paaon Dho( yaani wuzoo karo )

{Bahare Shariyat Hissa No.2., Safa No.8}

Hadees Shareef:-

Hazrte Abu Huraira رضی اللہ عنہ  Se Marvi Hai Ke Huzoore Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya:

Qayamat Ke Din Meri Ummat Is Halat Mein Bulaayi Jayegi Ke Mooh Or Hath, Paao Aasare Wuzoo(wuzoo ke asar) Se Chamakte Honge To Jis Se Ho Sake Chamak Ziyada Kare..(yaani jahan tak ho sake baa wuzoo rahe)

{Bahare Shariat Hissa no.2 Safa no.8}

Hadees Shareef:-

Hazrate Moula Ali رضي الله عنه  Raawi Hai Ke Huzoor Sayyade Aalam ﷺ  Ne Farmaya:

Jo Sakht Sardi (thandhi) Me Kamil(poora) Wuzoo Kare Uske Liye dunaa Sawab (do gunah) Hai

{Bahare Shariat Hissa No. 2 Safa No.9}

www.facebook.com/ishq.e.nabi1

No comments:

Post a Comment