Sunday, September 27, 2015

QASSAS UL AMBIYA POST 02

QISSAS UL AMBIYA

ALIMAM UL HAFIZA IMAAD UDDIN MUHAMMED BIN ISMAIL

AL MAROOF IMAM IBNE KASEER

MUTARJUM:

MUHAMMED FAIZ AHMED OWAISI


WAQEYA
HAZRAT ADAM عليه السلام

SAHIH MUSLIM me HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما se riwayat hai NABI KAREEM صلى الله عليه وسلم ne farmaya,
Farishto ko noor se paeda kiya gaya aur jino ko aag k sholey se jabkey HAZRAT ADAM عليه السلام ko is maade se paeda kiya gaya jo tumhey batadiya gaya, yaani mitti se.

Hazrat hassan busiri رحمة الله عليه farmate hain, iblees kabhi bhi farishto me se na tha.

Sheher bin haoshab kehte hain iblees jino me se tha, pas jab jino ne zameen me fasaad barpa kiya to ALLAH TA'ALA ne inki sarkobi k liye farishto ka ek lashkar bheja jinhone inko maara aur samandari jazeero ki taraf maar bhagaya.

Iblees farishto k hatho qaed hogaya tha aur farishte isey apne sath asmaan per le gaye the to wo udhar hi raha pas jab farishto ko ALLAH TA'ALA ne sajde ka hukum diya to iblees ne inkaar kardiya.

Hazrat ibne masood, ibne abbas رضي الله عنهم aur sahaba kiraam رضي الله عنهم ki ek jamaat aur sayeed ibn al maseeb aur degar kaseer mufassireen farmate hain k iblees asmaan duniya per farishto ka rayees tha.

Hazrat ibne abbas رضي الله عنه farmate hain k iska asal naam azazeel hai aur inhi se dusri riwayat hai k iska naam haaris hai.

Hazrat ibne abbas رضي الله عنه farmate hain, iblees ka taalluq farishto k ek qabeeley se hai jiska naam aljin hai, farishto ka ye qabeela jannati nemato k khazaanchi hain aur dusrey farishto se ilm aur ibadat k maedaan me aagey hain aur sab farishto se afzal hain, iblees bhi bahot ashraf o bargazeeda farishta tha aur iskey 4 noorani par the lekin ALLAH TA'ALA ne isey rayenda shaetaan banadiya.

IRSHAD BAARI TA'ALA

قال فبما أغويتني لأقعدن لهم صراطك المستقيم ثم لآتينهم من بين أيديهم ومن خلفهم وعن أيمانهم وعن شمائلهم ولا تجد أكثرهم شاكرين

TARJUMA:

Bola to qasam iski k tuney mujhe gumrah kiya main zaroor tere sidhe raaste par inki taak me baethunga, phir zaroor main unkey paas aaunga unkey aagey aur unkey piche aur unkey dahney aur unkey baaye se aur tu unme se aksar ko shukar guzaar na payega.
(SUREH AL'ARAAF, AYAT 16 & 17)

Imam ahmed رحمة الله علي ne salam bin abi alja'ad aur sabda bin abi faaka se riwayat karte hain k HUZOOR NABI KAREEM صلى الله عليه وسلم ne farmaya,
"ان الشيطان قعد لا بن آدم باطرقه" aur aagey puri hadees zikar ki.
Beshak shaetaan ibne aadam ki ghaat me iskey tamaam raasto per baetha hua hai.

Mufassireen e kiraam ne sajde per mamoor malayeka k baarey me mukhtalif aqwaal bayaan kiya hain.

1. Kya tamaam farishto ne sajda kiya? Jaesa k amoom se wazeh hai, ye jamhoor ka qaol hai.

2. Ya issey muraad farishte hain jo zameen per mamoor hain, jaesa k ibne jareer ne zahaak k waaste se hazrat ibne abbas رضي الله عنه ka qaol naqal kiya hai, agarche baaz ullamaye mutakhireen ne is qaol ko tarjeeh di hai lekin iski sanad munqata hai aur iskey siyaaq kalaam me bhi kamzori hai.

Agar ayaat k siyaaq ko dekha jaye to pehle qaol hi sahih malum hota hai aur hadees bhi isi ki tayed karti hai kyu k "واسجد لم الملائكة" k alfaaz me bhi amoom hai, ALLAH TA'ALA behtar jaanta hai.

HAZRAT HAW'WA رضي الله عنهما KI TAKHLEEQ KAHA HUYI

ALLAH TA'ALA ne iblees ko jannat se nikala aur HAZRAT ADAM عليه السلام ko ismey muqeem farma diya, HAZRAT ADAM عليه السلام jannat me chalte to inhey tanhayi mehsoos hoti kyu k wo akele the aur inki biwi abhi paeda nahi huyi thi k inse tanhayi ka ye ehsaas jata rehta.

Ek din wo soye aur jab uthey to dekha inkey sirhaaney ek aorat baethi huyi hai jo inki pasli se paeda ki gayi thi, HAZRAT ADAM عليه السلام ne pucha, kaon ho?

Aorat ne jawaab diya, main aorat hoon, HAZRAT ADAM عليه السلام ne phir pucha tujhe kisliye paeda kiya gaya? Usne bataya taakey meri waja se aapko raahat o araam naseeb ho.

Phir farishto ne HAZRAT ADAM عليه السلام ki wasa'at ilmi ka andaza lagane k liye pucha, aye adam (عليه السلام) is aorat ka naam kya hai?

HAZRAT ADAM عليه السلام ne bataya k iska naam hawwa hai, farishto ne phir sawaal kiya, iska naam hawwa kyu rakha gaya hai, HAZRAT ADAM عليه السلام ne farmaya isliye k isey ek zinda jism se paeda kiya gaya.

Muhammed bin ishaaq رحمة الله عليه hazrat ibne abbas رضي الله عنه se riwayat karte hain k hazwat hawwa رضي الله عنهما ki takhleeq pasli se huyi, jab HAZRAT ADAM عليه السلام soye the o inki baaye pasli nikaal kar hawwa ko takhleeq kiya gaya aur iski jaga gosht bhar diya gaya.

AORTO SE NARMI KA HUKUM

Sahiheen me hazrat abu huraera رضي الله عنه se riwayat hai k NABI KAREEM صلى الله عليه وسلم ne farmaya,
Tum aorto k sath narmi kiya karo, kyu k aorat pasli se paeda ki gayi hai aur upar wali pasli zyada tedhi hoti hai, agar tum usey sidha karne ki koshish karoge to wo toot jayegi aur agar isey apne haal per chod doge to wo tedhi hi rahegi, isliye tum aorto se narmi ka bartao kiya karo.

MAMNO'A DARAKHT KAONSA THA

"ولا تقر با هذه الشجره" ki tafseer me ullama e kiraam o mufassireen ka ikhtelaaf hai.

Hazrat ibne abbas, syeed bin jabeer, shaabi, رضي الله عنهم se riwayat hai aur muhammed bin qaes ek dusri hadees hazrat ibne abbas aur hazrat ibne masood رضي الله عنهم aur degar kayi sahaba se riwayat karte hain k aapne farmaya

Yahood kehte hain k ye gandam ka paoda tha aur ye israeeli riwayat hazrat abdullah bin abbas, hassan busiri, wahab bin mun'ba, atiya aofi, abu malik, muharib bin dasaar aur abdul rehman bin abi se li gayi hai.

Abu al aliya kehte hain k wo aesa darkht tha jiskey khaane se bol o braaz ki zarurat ho jati thi aur jannat aur jannat ki nafasatey is cheez ki muthamal nahi hosakti thi.

JANNAT KAHA HAI?

Ayema kiraam ka iskey baarey me ikhtelaaf hai k jannat kaha hai? Jisme HAZRAT ADAM عليه السلام ko qiyaam ka hukum diya gaya, wo asmaan per hai ya zameen per.

Zaruri hai k is silsile me mukhtalif aqwaal ki jaanch padtaal karkey ikhtelaaf se nikalne ki koshish ki jaye aur koi qabil aetemaad aur sahih faesla diya jaya.

 Jamhoor ullama ka maoqaf ye hai k ye wahi jannat hai jo asmaan per waqey hai aur jiska zikar quran e paak me aaya hai, jisey jannat ul maawa ka naam bhi diya jaya hai, qurani ayaat o ahadees k zahiri alfaaz se yahi baat sabit hoti hai.

ALLAH TA'ALA IRSHAD FARMATA HAI

قلنا يا ادم اسكن انت وزوجك الجنه

TARJUMA:

Aur humne farmata aye adam (عليه السلام) tu aur teri biwi is jannat me raho.
(SUREH BAQARA, AYAT 35)

"الجنة" ka alif, ا aur laam ل na to amoom k liye hai aur na ehed lafzi k liye hai, ye alif laam ehed zehni ka hai, isse muraad sharaan wo muqaam hai jahaan JANNAT UL MAAWA mein HAZRAT ADAM عليه السلام ko qiyaam karne ka hukum diya gaya tha.

Jaesa k HAZRAT MOOSA عليه السلام ne HAZRAT ADAM عليه السلام se kaha tha,
"علام اكر جتنا و نفسك من الجنة"

SAHIH MUSLIM me hazrat abu huraera aur hazrat hazeefa رضي الله عنهم se riwayat hai k HUZOOR NABI KAREEM ne farmaya,

ALLAH TA’ALA jab logo ko jama farmayega to ahle imaan ko jannat k khareeb laaya jayega to wok hade hojayenge aur phir HAZRAT ADAM عليه السلام k paas haazir honge aur kahenge, aye hamare baap, hamare liye jannat ko kholiye, to HAZRAT ADAM عليه السلام farmayenge k tum sirf apne baap ki lagh’zish ki waja se jannat se nikle ho.

Is hadees se ye zahir hota hai k HAZRAT ADAM عليه السلام ko jis jannat me thaeraya gaya wo JANNAT UL MAAWA hi hai lekin ye hatmi faesla nahi hai kyu k is hadees per tanqeed ho sakti hai.

Ek raaye ye hai k jis jannat me HAZRAT ADAM عليه السلام qayaam pazeer the wo dayimi jannat nahi kyu k inhey hokum diya gaya tha k wo ek khaas darakht ka phal na khaaye aur dusri waja ye hai k is jannat me to HAZRAT ADAM عليه السلام per neend bhi taari huyi.

Inhey waha se nikala bhi gaya, isme iblees dakhil hua, ye tamaam chizey is baat ka sabot zahir karti hain k wo JANNAT UL MAAWA me qayaam pazeer nahi rahey.

Ye qaol ibne abi kaab, hazrat Abdullah bin abbas, wahab ibne mam’ba, sufiyaan bin ayeniya رضي الله عنهم ka bayaan karda hai, ibne qatiba ne “ALMAARRAF” me isi qaol ko pasand kiya hai, qazi maqzar bin sayeed albaluti ne bhi apni tafseer me isey naqal kiya hai aur isper ek mustaqil kitaab tasneef ki hai.

Isi riwayat ko hazrat imam e azam abu haneefa رحمة الله عليه aur inkey ashaab e azam رضي الله عنهم k hawaley se bayaan kiya gaya hai.

Isey abu Abdullah muhammed bin omer raazi bin khateeb ne apni tafsser me abu al qasim balkhi aur abu muslim asfahani k hawale se naqal kiya hai aur imam qartabi ne bhi apni tafseer me matazla aur qadriya k hawale se is qaol ko naqal farmaya hai.

Dar’asal ye qaol maojuda turaat se liya gaya hai aur is masle me jin logo ne ikhtelaaf kiya hai inmey abu muhammed bin hazam ne apni kitaab AL AMAL WAL NAHAL me aur abu muhammed bin atiya aur abu eesa zumani ne apni apni tafaseer me el alag raaye pesh ki hai.

Abu al qasim raghib aur qaazi maa'wardi ne apni tafseer me ek aur raaye pesh ki hai.

Qaazi maa'wardi farmate hain k jis jannat me HAZRAT ADAM عليه السلام aur HAZRAT HAWWA رضي الله عنهما ko tehraya gaya iskey baarey me ullama ka ikhtelaaf hai.

Ek qaol to ye hai k wo JANNAT UL KHALD hai aur dusra qaol ye hai k wo JANNAT UL KHALD nahi balkey ek aesi jannat thi jisey khaas inhi k liye ALLAH TA'ALA ne tayyaar kiya tha aur isey inkey liye azmayishgaah banaya tha.

Aur jannat ul khald daaar ibtelaa nahi balkey daar ul jaza hai, phir isme bhi ullama ka ikhtelaaf hai k aaya ye jannat zameen per hai ya asmaan per.

Hazrat hassan busiri رحمة الله عليه ka qaol ye hai k wo jannat asmaan me thi kyu k ALLAH TA'ALA ne HAZRAT ADAM عليه السلام o HAZRAT HAWWA رضي الله عنهما ko utar jaane ka hukum diya tha.

Ibe yahiya ka qaol ye hai k wo jannat zameen per thi kyu k ALLAH TA'ALA ne jab HAZRAT ADAM عليه السلام aur HAZRAT HAWWA رضي الله عنهما ko is jannat me dakhil farmaya to inhey mana farmaya k wo is khaas darakht k khareeb na jaye.

Aur ye hukum in dono k liye ek azmayish tha aur daar ul khald azmayish gaah nahi aur dakhool e jannat aur azmayish is waqt k baad waqey hua jab iblees ko sajde ka hukum diya gaya tha.
(WALLAHU ALAM)

Is ayat k baarey me yahi guftagu ullama ne bayaan ki hai to goya ye ayat k baarey me 3 nazariye huye hain.

Pehla ye k wo JANNAT UL KHALD hai.

Dusra ye k wo ek alag jannat thi jo zameen per azmayishgaah qaraar payi.

Teesra ye k is silsile me khamushi ikhtiyaar ki jaye.

Isiliye abu abdullah raazi apni tafseer me is masley me 4 aqwaal laaye hain 3 to wahi hain jinhey maa'wardi ne naqal kiya hai aur chaota qaol taoqaf ka hai is silsiley me ek paanchwa qaol bhi bayaan kiya jata hai k agarche wo jannat hai to asmaan me lekin JANNAT UL MAAWA nahi hai, Ye abu al jabayi se naqal kiya jata hai.

Jin logo ne dusre qaol ko ikhtiyaar kiya hai wo dusro per ye aeteraaz karte hain k ismey to koi shak nahi k jab iblees ne hukum aduli ki aur sajda karne se inkaar kar baetha to ALLAH TA'ALA ne isey apne hareem qudus se dur kardiya, yaqeenan ye ek aesa atal hukum tha jiski kisi surat mukhalifat nahi ho sakti thi.

ISILIYE ALLAH TA'ALA IRSHAD FARMATA HAI

قال اخرج منها مذءومامد حورا لمن تبعك منهم لامائن جهنم منكم اجمعين

Farmaya yaha se nikal radd kiya gaya raanda hua zaroor jo unmey se tere kahey per chala main tum sabse jahannam bhardunga.
(SUREH AL ARAAF, AYAT 18)

ALLAH TA'ALA IRSHAD FARMATA HAI

TARJUMA:

BOLA TUMHEY TUMHARE RAB NE IS PED SE ISI LIYE MANA FARMAYA HAI K KAHI TUM DO FARISHTE HO JAO YA HAMESHA JEENE WALEY.
(SUREH AL ARAAF, AYAT 20)

Aur zahir hai k ye guftagu iblees ne HAZRAT ADAM عليه السلام OR HAZRAT HAWWA رضي الله عنهم se is waqt ki jab wo jannat me inkey sath tha.

Is sawaal ka jawaab ye diya jaya hai k,

Iblees ka HAZRAT ADAM عليه السلام OR HAZRAT HAWWA رضي الله عنهم k sath jannat me hona mutmana nahi hai kyu k isey jannat me rihayish pazeer hone se roka gaya tha na k guzarne per bhi pabandi lagadi gayithi.

Aur ye bhi mumkin hai k shaetaan ne jannat k darwaze per pahoch kar mehez waswasa andaazi se inhey behka diya ho.

Aur bhi mumkin hai k wo jannat tak na pahocha ho balkey asmaan k niche se waswasa andaazi karkey inki laghzish ka sabab ban gaya ho.

Ye 3 a'ara e nazar o fikar ki mohtaaj hai.
(WALLAHU AALAM)

Jo hazraat kehte hain k jis jannat me HAZRAT ADAM عليه السلام qiyaam pazeer rahey wo zameeen per thi inki daleel wo riwayat hai jisey abdullah bin ahmed ne ziyadaat me hadba bin khalid, himaan bin salma, hassan busiri, yahiya bin zamra saadi aur hazrat abi bin kaab se riwayat hai k,

Jab HAZRAT ADAM عليه السلام k wisaal ka waqt qareeb aaya to aapko jannat k anguro k khaane ki khwahish huyi.

Aapke bete iski talaash me nikal khade huye, raaste me inki farishto se mulaqaat hogayi, fraishto ne insey pucha k kahaan ka irada hai? Inhone bataya k hamare walid HAZRAT ADAM عليه السلام ki dili tamanna hai k jannat k angoor khaaye.

Farishto ne kaha, waapas aao, pas tum apne maqsad tak pahonch gaye, wo HAZRAT ADAM عليه السلام ki aolaad ko lekar HAZRAT ADAM عليه السلام ki khidmat me ja pahonche, inki rooh qabz ki.

Inhey ghusul diya, khushbo lagayi, kafn pehnaya aur HAZRAT JIBRAEEL عليه السلام ki iqteda me sabne namaz janaza ada ki aur farishto ne HAZRAT ADAM عليه السلام k beto ko bataya k jab tum me se koi insaan faot hojaye to iski tajheez o tadfeen ka ye tariqa hai.

Ye hadees apni sanad aur tamaam alfaaz k sath baad me is waqt zikar hogi jab HAZRAT ADAM عليه السلام ki wafaat ka tazkera hoga.

Ye log kehte hain k agar wo jannat duniya per na hoti aur is tak pahoncha mumkin na hota to HAZRAT ADAM عليه السلام angoor khaane ki khwahish kyu karte aur inkey bete jannat ki talash me kyu nikalte.

Issey andaza hota hai k jis jannat me takhleeq k baad aap qiyaam pazeer hai wo asmaano per nahi balkey zameen per thi.

(WALLAHU AALAM)

Aur ek daleel ye bhi hai k "و يآدم اسكن انت و زوجك الجنة" me lafz "الجنة" ka alif ا laam ل noon ن to amoom k liye na ma'hood lafzi k liye hai balkey yaqeeni taor per ma'hood zehni k liye hai lehaza jannat se muraad asmaani jannat lena sahih nahi, agarche الجنة ka alif laam maahood zehni hai.

Lekin siyaaq kalaam batata hai k الجنة se muraad jannat arzi hai, kyu k HAZRAT ADAM عليه السلام zameen se paeda kiye gaye aur ye kahi bhi nahi kaha gaya k paedayish k baad inhey asmaan ki taraf uthaya gyaa.

Chonkey aap zameen k khameer se paeda kiye gaya isliye ALLAH TA'ALA ne farishto ko bataya k "انى جائل فى الارض خليفة" kehte hain k "انا بلونا هم كما بلونا اصحاب الجنة" ki ayat e karima me lafz الجنة ka ا alif ل laam na amoom k liye hai na maahood lafzi k liye.

Balkey yaqeeni taor per maahood zehni k liye hai jisper k siyaaq kalaam dalalat karta hai aur yaha isse muraad ek zameeni baagh hai.

قيل يانوح اهبط بسلام منا وبركات عليك و على امم ممن معك

Sureh Hood ki ayat no 49 me agarche "اهبط" k alfaaz aaye hain lekin yahaan asmaan se utarna muraad nahi balkey ye irshad is waqt hua jab HAZRAT NOOH عليه السلام ki kashti jodi pahaad per khadi huyi aur zameen se paani khashk hogaya k ab kashti se zameen per aao aur apne sath dusro ko bhi le aao.

Is tarah QURAN MAJEED me ek aur jaga IRSHAD E RABBANI HAI.

اهبطوا مصرا فان لكم ما سأالتم
(Sureh Baqara)

وان منها لما يهبط من خشية الله
(Sureh Baqara)

Isi tarah ahadees aur lughat ki kitabo se bahot saari misaley pesh ki ja sakti hain.

Kehte hain ye kehne me koi baak nahi balkey qareen qiyaas yahi baat hai k jis jannat me HAZRAT ADAM عليه السلام ko tehraya gaya wo thi to zameen per lekin baqi zameen ki nisbat qadrey buland jaga per thi.

Aus ismey anwaa o iqsaam k darakht, phal, saaye, sabza aur dusri kayi nematey maojood thi.

Jis tarah k FARMAAN E KHUDAWANDI hai,

ان لك الا تجوع فيها ولا تعرى

TARJUMA:

Beshak tere liye jannat me ye hai k na tu bhooka ho na nanga ho.
(Sureh Ta'ha, Ayat 118)

Yaani na to waha pyaas ka khaof hoga aur na jism ko suraj ki tapish se waasta hoga, balkey maosam nihayat hi khushgawaar hoga, na zyada sardi hogi aur na garmi.

HAZRAT ADAM عليه السلام is arzi jannat me rahe, yaha tak k unhone mamnoo phal khaaliya to inhey utaardiya agaya, ek aesi zameen ki taraf jahaan shaqawat o bad bakhti kheemey gadhey huye thi.

Jahaan thakawat aur darmaandgi thi, jahaan sa'yi o koshish aur ibtela o azmayish thi, jahaan ka har lamha imtehaan tha, jahaan k rehne waley deen, akhlaaq, amaal, tamannao aur irado aur aqwaal o afwaal me ek dusrey se mukhtalif the.

ALLAH TA'ALA IRSHAD FARMATA HAI

TARJUMA:

Aur iskey baad humne bani israeel se farmaya is zameen me baso phir jab aakhirat ka waada aayega hum tum sabko ghaal meel le aayenge.
(Sureh Al Asraa, Aayat 104)

Issey to kisi ko ikhtelaaf nahi k bani israeel zameen per the na k asmaan per, jo ullama jannat arzi k qayel hain wo kehte hain k hamare nazariye k mutabiq kisi surat me ye baat sabit nahi ki ja sakti k aaj jannat aur dozakh ka wajood hi nahi aur na inhey laazim o malzoom thaeraya ja sakta hai.

Ullama salf aur aksar ullama khalf me se jis kisi ne bhi ye nazariya apnaya hai, isne jannat aur dozakh k wajood ka inkaar nahi kiya aur inkey wajood per to QURAN E PAAK ki saenkdo ayaat aur saha sitta ki kayi ahadees shahed adal hain.
(WALLAHU ALAM)

QASSAS UL AMBIYA KI PEHLI POST K LIYE POST 01 PER CLICK KAREY

POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ" 
Ishq e Nabi ﷺ

JOIN WHATSAPP GROUP

SEND YOUR NAME AND CITY
+966 556 713 059

LIKE OUR FB PAGE

No comments:

Post a Comment