Saturday, October 17, 2015

APKE DUSHMAN SE KYA RISHTA YA RASOOL ALLAH ﷺ PART 04

GUSTAAKH MUNAFIQEEN KA MASJID SE IKHRAAF

Gustaakho ko hum masajid se nikaalte hain hamare baaz ehbaab hamey shiddat pasandi ka taana dete hain aur kehte hain k log is amal ko acha nahi samajte lekin ye haqeeqat kisi se posheeda nahi k gustakho munafiqeen ko masjid se nikaalna NABI KAREEM ki sunnat e mubaraka hai.

Aap padh chukey hain k RASOOL ALLAH ne gustakho se dur rehne ki tayed farmayi aapne sirf hukum per iktefa nahi farmaya balkey gustaakho ko sakhti se apni masjid se nikalwadiya.

HAZRAT ABDULLAH IBNE ABBAS رضي الله عنهما farmate hain k, RASOOL ALLAH Jumua k din jab khutba k liye khadey huye to farmaya aye falaan tu munafiq hai lehaza masjid se nikal ja, aye falaan tu bhi munafiq hai lehaza masjid se nikalja.

HUZOOR NABI KAREEM ne kayi munafiqo k naam lekar nikala aur inko sabke saamne ruswa kiya is jumua ko HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه abhi masjid me haazir nahi huye thi kisi kaam ki waja se der hogayi thi.

Jab wo munafiq masjid se nikal kar ruswa hokar ja rahe the to HAZRAT SYEDNA FAROOQ E AZAM رضي الله عنه aarahe the aap sharam ki waja se chup rahe the k mujhe to der hogayi hai shayad jumua hogaya hai.

Lekin munafiq HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه se apni ruswayi ki waja se chup rahe the phir jab HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه masjid me daakhil huye to abhi jumua nahi hua tha baad me ek sahabi ne kaha k aye omer (رضي الله عنه) tujhe khushkhabri ho k aaj ALLAH TA'ALA ne munfaiqo ko ruswa kardiya hai.
(TAFSEER ROOH AL MAANI, JILD 11, PAGE 11)
(TAFSEER AL ALOOSI, JILD 7, PAGE 347)
(AL MA'AJUM AL AOSAT, JILD 1, PAGE 241, RAQAM AL HADEES 792)
(MAJM'A AL ZAWAYED, JILD 7, PAGE 111)

SEERAT IBNE HISHAAM ME EK UNWAAN HAI.

طرد المنافقين من مسجد الرسول صلى الله عليه وسلم

Aur iskey tehet farmaya k munafiq log masjid e nabawi me aatey aur musalmano ki baatey sunkar thittey karte, deen ka mazaaq udatey the, ek din kuch munafiq masjid e nabawi shareef me ikhatte baethe the.

RASOOL E AKRAM NE DEKH KAR HUKUM DIYA K MUNAFIQEEN KO SAKHTI SE NIKAAL DIYA JAAYE.
(SEERAT E IBNE HISAAM, JILD 2, PAGE 528)

SAHABA E KIRAAM NE MUNAFIQEEN KO PAKAD PAKAD KAR BAAHAR NIKALA

HAZRAT ABU AYUB KHALID BIN ZAID رضي الله عنه uth khade huye aur omer bin qaes ko taang se pakad kar ghaseet'te ghaseet'te masjid se baahar phenk diya, phir HAZRAT ABU AYUB رضي الله عنه ne raafey bin wadi'aa ko pakda.

Iskey galey me chaadar daal kar khoob kheencha iskey mu per tamancha maara aur isko masjid se nikaal diya aur sath sath abu ayub رضي الله عنه farmate hain "اف لك منافقا خبيثا" arey khabees munafiq tujhper bahot afsoos hai.

Aye munafiq RASOOL E AKRAM صلى الله عليه وسلم ne zeab bin omer ko pakad kar zor se kheencha aur kheenchte kheenchteaa masjid se nikaal diya aur phir iskey seene per dono haatho se thappad maara k wo girgaya.

Is munafiq ne kaha aye amaara tuney mujhe bahot azaab diyahai to unhone farmaya khuda tujhe dafa karey jo KHUDA TA'ALA ne tere liye azaab tayyar kiya hai wo issey bhi sakht tar hai.
(AAPKE DUSHMAN SE KYA RISHTA HAMARA YA RASOOL ALLAH , PAGE 23)

MALHIDO SE KYA MURAWAT KIJIYE

Banu najaar qabeela k do sahaba ABU MUHAMMED MASOOD رضي الله عنه jo k badri sahabi the ABU MUHAMMED MASOOD رضي اله عنه ne qais bin umro ko jo munafiqeen me se naojawaan tha gaddi per maarni shuru kiya hata k masjid se baahar nikaal diya.

Aur HAZRAT ABDULLAH BIN HAARIS رضي الله عنه ne jab suna k HUZOOR ne munafiqo ko nikaal dene ka hukum farmaya hai.

Haaris bin umro ko sar k baalo se pakad kar zameen per ghaseet'te ghaseet'te masjid se baahar nikaal diya, wo munafiq kehta tha aye ibne haaris tuney mujhper bahot sakhti ki hai.

To unhone jawaab me farmaya aye khuda k dushman tu isi layeq hai aur tu najas hai aur paleeda hai, aayinda masjid k khareeb na aana, idhar ek sahabi ne apne bhai zawi bin haaris ko sakhti se nikal kar farmaya afsoos hai k tujhper shaetaan ka tasallut hai.
(SEERAT IBNE HISHAM)

DARS E IBRAT:

Ahle insaaf ko in waqe'aat se ibrat haasil karna kaafi hai kyu k mansha ezdi aur taqazaye hubbe rasool yahi hai balkey jumla ambiya e kiraam ki bhi yahi sunnat hai.

Chunanche HAZRAT IBRAHIM عليه السلام k liye ALLAH TA'ALA ne farmaya,

TARJUMA:

Beshak tumhare liye achi paerwi thi ibrahim aur iskey saath walo me jab unhone apni qaom se kaha beshak hum bezaar hain tumse aur inse jinhey tum ALLAH k siwa poojte ho hum tumhare munkir huye ur hum me aur tum me dushmani aur adawat zaahir hogi hamesha k liye jab tak tum ek ALLAH par imaan na laao.
(PARA 28, SUREH AL MUMTAHENAH, AYAT 4)

TAFSEER ROOH AL MAANI ME HADEES E QUDUSI MANQOOL HAI

ALLAH TA'ALA  farmata hai mujhe apni izzat ki qasam jo shaks mere dosto k sath dosti nahi karta aur mere dushmano k sath dushmani nahi karta wo meri rahmat haasil nahi kar sakta.
(TAFSEER ROOH AL MAANI, JILD 28, PAGE 35)

Yun to hum bhi hazaar baar ye baat mu se kehte hain "فداك أبى و أمى يا رسول الله ﷺ"

Lekin haal ye hai k gustaakh ki gustaakhi jaanne pehchanne k bawajood gustaakh se bradarana (bhai jaesa) sulook, yaraana aur malamat o shattam boycott, hum in qudsi sifaat ki ghaerat dikhatey hain jinper islaam ko naaz hai.

HAZRAT UBAIDA BIN JIRRAH رضي الله عنه

Syedna Abu Ubaida Bin Jirrah رضي الله عنه ne apne baap k mu se apne mehboob aaqa ki shaan me koi na pasandeeda baat suni to isey mana kiya wo baaz na aaya to is baap ko qatal kar diya.

ROOH AL MAANI ME IS TARAH BAYAAN HAI K

Hazrat Anas رضي الله عنه farmate hain k Ubaida Bin Jirrah رضي الله عنه ne apne baap ko apne haath se qatal kardiya jabke wo badr k qaediyo me qaed hokar aaya, jab issey suna k wo RASOOL ALLAH ki mazammat karta hai to pehle isey roka jab wo na ruka to phir isey qatal kardiya.

HAZRAT SIDDIQUE E AKBAR رضي الله عنه KA SUNHERI DAOR E KHILAFAT AUR DUSHMAN E AHMED PER SHIDDAT

Hazrat Syedna Siddique e Akbar رضي الله عنه ka apne walid ko gustaakhi karne per thappad maarne ka waqeya to pehle hi bayaan kiya ja chuka hai.

Aap رضي الله عنه k daor e khilafat me jhutey mad'uyaan e nabuwat maloono ne sar uthaya aap رضي الله عنه ne ISHQ E RASOOL ki daolat e la zawaal k sabab inki aese sarkobi farmayi k qayamat tak koi manhoos nabuwat k jhoote daawey ki jurraat na karega agar kisi ne ye jurraat ki to Syedna Siddique Akbar رضي الله عنه k maanney walo ne isey jahannam raseed kardiya jaese rawaan sadi me dajjal kazzaab ghulam ahmed qaadyani ne jhoota daawa e nabuwat kiya to taajdaar golda Hazrat Qibla Peer Syed Meher Ali Shah Sahab Quddas Sura ne is khabees ki khoob khabar li aakhir wo waasil jahannam hua.

GUSTAKHI KARNE WALEY K DAANT NIKALWADIYE

Khalifa bila fasl Afzal ul Bashar Baad al Ambiya bil tehqeeq khalifa e Rasool Hazrat Syedna Abubakr Siddique رضي الله عنه k ehed khilafat (11 - 13 hijri) me yamama me do gaane wali aurto me se ek ne NABI KAREEM ko gaali galoch kiya.

To yamama k haakim Hazrat Muhajir bin Abi Ummiya رضي الله عنه ne iska haath kaat diya aur iskey saamne waley do daant nikalwadiye isper Hazrat Syedna Siddique e Akbar رضي الله عنه ne haakim yamama ko likha k mujhe malum hua k aap ne is aurat ko saza di hai jisne NABI KAREEM ki shaan me gustakhi ki agar aap pehle isey ye saza suna na de chukey hote to main aapko iskey qatal ka hukum deta.

KHALIFA E AWAAL SE YE ALFAAZ IS TARAH MANQOOL HAI

Agar aap mera faesla aane se pehle is khatoon ko saza na dete to main aapko isey qatal karne ka hukum deta pas musalmano me se jo is burayi (gustakh e rasool) ka murtakab hota hai, wo murtad yaani islaam se kharif hai aur agar aesa shaks kisi mu'ahede k tehet amaan ya fata hai tab aesa shaks harbi hai aur musalmano se ghaddari karne wala hai.

(TAREEKH AL KHULAFA, PAGE 18)
(TAREEKH AL TABRI, JILD 2, PAGE 305)

Hazrat Abubakr Siddique رضي الله عنه k is hukum se kuch baatey sabit hoti hain.

Aap رضي الله عنه NABI KAREEM ki shaan me gustakhi karne waley ko wajib al qatl qaraar dete hain.

Khwaah k aesa shaks muslim ho ya muaheda.

Khwaah wo mard ho ya aurat.

Aese shaks ka qatl bataor had hoga bataor tazeer nahi.

Aese shaks ki had ki saza taoba karne se pehle nafiz ki jayegi.

Kyu k Ambiya عليه السلام k hawaley se hudood ka nifaaz aam insano k liye hudood k nifaaz se mukhtalif hota hai.

Jabkey haakim yamama Muhajir bin ummiya رضي الله عنه is aurat per pehle hi apne ijtehaad se had ki saza nafiz kar chukey the, isiliye khalifa e awwal ne wo hadey qayem nahi ki.

GUSTAAKH IMAM MASJID KO QATAL KARADIYA

Surah "عبس وتولى" ka shaan e nuzool mufassireen e kiraam ne bayaan kiya hai k HUZOOR ROSA quresh ko daawat pahonchane me mashghool the aapki tamaam tar tawajja inhi ki taraf thi achanak nabeena sahabi Hazrat Abdullah رضي الله عنه bin umme maktoom bargaah e risaalat me haazir huye.

Ye aoleen muhajireen me se the amuman haazir khidmat hote rehte, taleemaat deen haasil karte, masayel daryaaft karte, hisb e mamool aaj bhi aatey hi sawalath kiya.

Nabeena hone k waja se aadaab e majlis ka khayaal na rakh sakey aagey badhkar HUZOOR NABI KAREEM ko apne taraf mutawajja o raaghib karna chaha aap is waqt chonkey ek ehem amar me mashghool o masroof the so mutawajja na huye, silsila jaari rakha.

Hazrat Abdullah رضي الله عنه apna mu aagey karte daoraan e guftagu khalal andaazi per chehra e aqdas per kuch ranj o malaal ki kaefiyat zaahir huyi isper BAARI E TA'ALA ne ye aayat naazil ki.

Jinme NABI KAREEM ko is amar ki talqeen ki gayi wo na samajh tha iski diljoyi bhi to maqsood thi aese asaar chehra e aqdas per zaahir nahi hone chahiye taakey aesa mukhlis sahabi aapki shafaqat o diljoyi se mehroom na ho.

Ab zahiran is aayat e karima me tambia ki kaefiyat paaayi jaati hai.

Is surah k nuzool k baad munafiqeen ne shor macha diya k (maaz'ALLAH) ALLAH TA'ALA NABI KAREEM par naraazgi ka izhaar farmata hai aur logo k dilo se Muhabbat e Mustafa khatam karne ki saazish k liye is surat ki tilawat baar baar karte.

Hazrat Syedna Farooq e Azam رضي الله عنه k daor e khilafat me ek munafiq imam masjid ka ye mamool tha wo amuman fajar ki namaz me yahi surat padhta aur dil me ye kaefiyat muraad leta k ye wo surat hai jisme ALLAH TA'ALA ne HUZOOR NABI KAREEM ko tambiha farmayi hai.

Ye baat Syedna Omer Farooq رضي الله عنه tak pahonchi k munafiqeen me se ek shaks apni qaom ki imamat karata hai wo ba jamaat namaz me surah "عبس وتولى" hi padhta hai aapne isey bula bheja baghaer mazeed tehqeeq k iska sar qalam karwadiya.
(Tafseer Rooh Ul Bayaan, Jild 10, Page 258)
(Tafseer Haqqi, Jild 16, Page 490)

Yaha  ye baat qabil tawajja hai Hazrat Omer Farooq رضي الله عنه per is shaks k amal se ye baat az khud mutahaqqaq hogayi aur aapko yakeen kaamil haasil hogaya k isi surat ko madawamat o hameshgi se padhne ka sabab o illat dar parda be adabi o gustakhi hai.

Kuch aur alamaat bhi gustakhaan e rasool ki aapkey pesh e nazar thi, iskey sath hi HUZOOR NABI KAREEM k sath iskey bughz o inaad, hasad o keena ki kaefiyaat bhi iskey gustaakh e rasool hone per wazeh dalalat kar rahi thi.

Ye baat layaq tawajja hai k is shaks ne zabaan se qaolan ya faalan, isharatan ya kinayatan kisi bhi surat me SHAAN E RISALAAT me tanqees o tehqeer per mushtamil koi kalma aapke saamne nahi kaha balkey mehez iskey amal aur mustaqal mamool se amar waqey aap per muhaqqiq hua.

Iskey dil me gustakh e rasool panhaan hai ya ye in logo me se hai jinka ishara HUZOOR NABI KAREEM ne farmaya hai.

So kisi mazeed tehqeeq o tafteesh aur safayi ka maoqa diye baghaer k kis niyyat se tum padhte ho, kisse nahi, niyyat kiya aetebaraat ko tark karte huye tafseelat me jaaye baghaer be adabi o gustakhe rasool k jurm per iska sar qalam kardiya.

AB BHI LIBAAS KHIZAR ME HAZARO REHZAN PHIRTE HAIN

Daor e haazir me bhi bahot saarey naam nihaad islam k thekedaar bankar dars e quran ki mehfil sajakar saada looh logo ko buto ki mazammat me naazil hone wali aayaat padhkar MEHBOOBAN E KHUDA BIL KHUSOOS SYED UL AMBIYA se dur karne ki saazish kar rahe hain.

Aese behrupiyo se khabardaar rahey jo QURAN ki aad me gustakhi o be adabi ka jaal phaela rahe hain.

WAHABI, DEOBANDI NAJDI, KHWARIJ, ki gustakhi o be adabi inki kutub me wazeh hain inse khud bhi bachey aur apni aolaad ko bhi bachaye.


Kaash aaj HAZRAT FAOOQ E AZAM رضي الله عنه hotey QURAN ki aad me gustakhi o be adabi karne walo ko sar e aam sooli latkatey, ALLAH hamare muslim hukumrano ko ghaerat imaani k jazbe se sarshaar farmaye.

ISSEY PEHLE WALEY PARTS PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY... PART 01 PART 02 PART 03

AAGEY K PARTS PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY...


POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ" 
Ishq e Nabi ﷺ

JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
+966 556 713 059

LIKE OUR FB PAGE
www.facebook.com/ishq.e.nabi1

APKE DUSHMAN SE KYA RISHTA YA RASOOL ALLAH ﷺ PART 03

GUSTAAKH MARJAYE TO ISKA JANAZA BHI NA PADHO

وَلَا تُصَلِّ عَلَى أَحَدٍ مِنْهُمْ مَاتَ أَبَدًا وَلَا تَقُمْ عَلَى قَبْرِهِ إِنَّهُمْ كَفَرُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَمَاتُوا وَهُمْ فَاسِقُونَ

TARJUMA:
Aur inme kisi ki mayyat per kabhi namaz na padhna aur na iski qabar per khade hona, beshak wo ALLAH O RASOOL se munkir huye aur fasiq hi me margaye.
(SURAH AL TAUBA, AYAT 84)

TAFSEER O SHAAN E NUZOOL:

Ye ayat HUZOOR SARWAR E ALAM  k sabse badey dushman rayees ul munafiqeen abdullah bin Ubaey k mutalliq nazil huyi thi, jab wo mara to HUZOOR  ne khulq azeem ki bina per iski namaz e janazaa padhna chahi to HAZRAT OMER رضي الله تعلى عنه ne arz kiya k ap is munafiq ka janaza na padhe.

Lekin AP  ne iski namaz e janaza padhi iske bete ne jo musalman saleh mukhlis sahabi kaseer ul ibadaat the unhone ye khwahish zahir ki SYED E ALAM  inke baap abdullah bin abi sulool ko kafan k liye apne khamees mubarak inayat farma de aur iski namaz e janaza padhadey.

Hazrat omer رضي الله تعلى عنه ki raaye iske khilaaf thi lekin chonkey is waqt mumani'at nahi huyi thi aur HUZOOR  ko malum tha k HUZOOR  ka ye amal ek hazaar admiyo k imaan laane ka baayis hoga isliye HUZOOR  ne apni khamees bhi inayat farmayi aur janaze me shirkat bhi ki.

Khamees dene ki ek waja ye bhi thi k SYED E ALAM  k chacha HAZRAT ABBAS رضي الله تعلى عنه jo badar me aseer hokar aaye the to abdullah bin abi ne apna kurta inhey pehnaya tha.

HUZOOR  ko iska badla dena bhi manzoor tha isper ye ayat nazil huyi aur iskey baad phir kabhi SYED E ALAM  ne kisi munafiq k janaze me shirkat na farmayi aur HUZOOR  ki wo maslahat bhi puri huyi chunanche kuffaar ne dekha k aesa shadeed ul adawat shaks jab SYED E ALAM  k kurte se barkat haasil karna chahta hai to iskey aqeede me bhi ap ALLAH k habeeb aur iskey sache RASOOL hain ye soch kar hazaar kafir musalmaan hogaye.

Is waqey se munkireen KALAMAAT E MUSTAFA  kehte hain k tabarrukaat ko koi faeda nahi agar kuch hota to munafiq ko faeda hota, iska jawaab NABI E PAAK  ne khamees mubarak tabarruk k liye nahi balkey apne chacha ka badla utaarne k liye diya tha.

Isse to ulta HUZOOR SARWAR E ALAM  ka tasarruf o ikhtiyaar sabit hota hai k chahe to mutabarruk ashya me barkat hone de chahey to inse barkaat salab farmaley.

Isse wo aetraaz bhi dafa hogaya k aapne munafiq k mu luaab e dahan daala to koi faeda na hua to iska bhi yahi jawaab hai k aapne luaab e dahan daalkar iske mu k andar jo zahiri taor per kalma padha aur zubaan se koi ibadat ki wo tamaam salab karli.

Hum NABI E PAK  ka tasarruf tarad o aksan har dono tarah se maante hain yaani chahe to fazal o karam se maala maal farmade chahe kisi ko kisi nemaat se mehroom farmade. باذن الله تعلى

SAHEB ROOH UL BAYAAN رحمة الله عليه ne munafiq ko tabarruk se faesa na hone ki ek misaal khayam karkey phir mutaddad dalayel khayam farmaye, aur farmaya ye aese hai jaese barish me to munafaa maojood hain lekin aagey zameen aesi ho k jisme asar qubool karne ki salahiyat nahi.

Isse ye koi nahi kahega k barish me munafaa nahi balkey yu kaha jayega k zameen kharaab hai aese wahabiya deobandiya ko samjhane k liye kaha jaye k khamees mubarak k munafey me shak na karo balkey yu kaho k munafiq ko is munafey k qubool karne k salahiyat o ahliyat nahi thi.

Agarche SAHEB ROOH UL BAYAAN k daor me wahabi, deobandi, maodoodi khisam k log nahi the lekin IBNE TAYMIYYA (JO AHLE KHADEES K IMAM HAI) jo mazkoora partiyo k guru hai iskey taaseraat maojood the isliye saheb e rooh ul bayaan ko fawayed per chand dalayel dene padey.

AHADEES E MUBARAKA

HUZOOR SARWAR E ALAM NOOR E MUJASSAM  ki seerat e paak me sabse bada wase'ey baab khalq azeem hai, ALLAH TA'ALA ne apki ye sifat quran majeed me bhi bayaan farmayi.

AP  ki adat e kareema thi k ap dushmano k liye bhi chadar bichadete lekin yaad rahe k wahi REHMATALLIL ALAMEEN SHAFEEQ RAOOF O KAREEM  dushmanan e islam k liye nahi balkey bazahir kalma e islam padhne walo k liye jahan sakhti farmayi waha narmi bhi farmayi.

Lekin اشداء على الكفار aur جاهد الكفار و المنفقين k nuzool se pehle warna yahi PYAARE RASOOL to the jo ghazwa e haneen aur badar o uhud aur ahzaab o tubook me dushmanan e islaam se barsar paekaar the, gustakho aur be adabo k liye aap k irshad e aliya ummat ki rehbari aur rehnumayi k liye kafi hain.

BEEMAR HOJAO TO AYADAT NA KARO, MARJAYE TO JANAZE ME NA JAO

RASOOL ALLAH  ne farmaya, khaza o khadar ko jhutlane waley is ummat k majoosi hain (halankey wo namaze bhi padhte hain aur roze bhi rakhte hain) farmaya k agar wo beemar hojaye to unki ayadat k liye mat jao aur agar wo marjaye to unke janaze waghaera me mat shareek hona agar tumse miley to unko salaam na karo.

Iskey alawa degar irshadat o mamulaat bad mazaheb k liye sakht se sakht tar hain, agar wazahat matloob ho to "al ahadees al nabawiyah fi alamaat al wahabiyah" ka mutalla kijiye.

Yaad rahe k HUZOOR  ka ye irshad girami bhi rab e kareem jal mujadda ul azeem ka hukum bhi hai.

KUCH AYATEY JINMEY ALLAH TA'ALA KA FARMAAN PADHIYE...

TARJUMA:
Aur zalimo ki taraf na jhuko k tumhey aag chuyegi.
(PARA 12, SURAH HOOD, AYAT 113)

TARJUMA:
Aur jo kahey tujhe shaetaan bhulade to yaad aaye par zalimo k paas na baeth.
(PARA 7, SURAH AL ANAAM, AYAT 68)

TARJUMA:
To unlogo k sath na baetho.
(PARA 5, SURAH AL NIS'A, AYAT 140)

Aesi tasrihaat k bawajood koi apni zaruriyaat k tehet ya kisi dabao se badmazahab k sath mel jool ko islaamsamajta hai to phir is jaesa shombakht kaon hoga.

GUSTAAKH SE NARAM GOYI BHI JAYAZ NAHI

Gustakho se meel jol to dur ki baat hai in badbakhto se naram goyi bhi gunah, aur ahadees e mubaraka me iski sakht mazammat farmayi gayi hai.

HADEES 01:
Jab tum kisi badmazhab ko dekho to iske saamne tarash ruyi se pesh ao isliye k ALLAH TA'ALA har bad mazhab ko dushman rakhta hai.
(KANZUL UMMAL, JILD 1, PAGE 388, HADEES 1676, IBNE ASAKIR)

Hadees e paak me wazeh farmaya ja raha hai k iskey saamne tarash ruyi se pesh ao lekin in se ittehaad karne wale SULLEKULLI kehte hain k nahi khush ruyi se pesh ao, ye RASOOL ALLAH  ki na farman hai.

GUSTAAKH KI HAR IBADAT MARDOOD HAI

Mazaheb batila ki adat hai k ahle imaan me saada logo ko apne daam fareb phasaaney k liye lambe lambe sajde, qayaam o qiraat karte hain hamare bholey bhaaley sunni unki ibadaat ko dekh kar kehte hain ye badey namazi o parhezgaar hain jabkey inki koi ibadat qubool nahi.

HUZOOR NABI KAREEM  NE FARMAYA

ALLAH TA'ALA kisi badmazhab ka na roza qubool karta hai na namaz na zakaat na haj na umrah na jihaada aur na koi farz na nafil, bad mazhab deen e islaam se aese nikal jata hai jaese gandhe huye aate se baal nikal jata hai.
(IBNE MAAJA, JILD 1, PAGE 19, HADEES 49)

Aam bad mazhabo ka ye haal hai to jo aelaniya kafiro se hazaar darjey badey kaafir ho inka kya haal hoga.

DOZAKHI KUTTE

Hum jaese ghareeb agar gustakho, bad mazhabo ko apne taqareer ya tasaneef me haqeeqat per mubni koi baat kehte hain to baaz log hamey shiddat pasandi ka shikwa dete hain magar hamey inkey shikwey ki koi parwah nahi kyu k NABI KAREEM  ne gustakho k mutalliq shiddat k alfaaz irshad farmaye.

HADEES:
Gumrah log dozakhiyo k kuttey hain.
(KANZUL UMMAL, JILD 1, PAGE 223, HADEES 1125, DAAR QUTNI)

Kuch log kehte hain k kisi ko bura na kaho lekin haqeeqat ye hai k burey ko bura kehna sunnat e nabawi hai mazkura hadees shareef me NABI E PAK  ne bad mazhabo ko dozakhi balkey dozakh k kutte farmaya.

BADMAZHAB KI TAZEEM O TAREEF KARNE WALEY K LIYE SAKHT WA'EED

Sulley kulliyat k jiraseem ki waja se baaz log kehte hain k kisi ki izzat karoge to wo tumhare khareeb hoga tumhari baat sunega jab tum uska hath milana hi gunah samajte ho wo tumhari baat kya sunega hum kehte hain kisi gustaakh ki tazeem ko le doobti hai.

Momin ka imaan ka ghaata hai na sirf uska nuqsaan balkey millat e islamiya ka nuqsaan hai.

HADEES:
Jis shaks ne bad mazhab ki izzat ki isne ISLAAM dhaane pery madad ki.
(MISHKATH SHAREEF)
(MAJMUA AL FATAWA, JILD 18, PAGE 346)

ALLAHUAKBAR

Jinki sohbat alaniya kafir se hazaar darja zyada khatarnaak hai inki jo izzat o takreem karey inse ittehaad karey wo islam ka kitna mukhalif hai aur islam ko giraney ki kitni koshish karta hai.

HADEES:
Jab faasiq ki tareef ki jati hai to ALLAH TA'ALA ghazab farmata hai.
(KANZUL UMMAAL, JILD 3, PAGE 575, HADEES 7964)
(BEHAQI)

Jo ambiya عليه السلام aur aoliya e kiraam k gustakh hain wo sabse badey faasiq aur gumrah hain to inki tareef karna inse ittehaad karne kis qadar rab e qahaar k ghazab ko dawat dena hai.

HADEES:
RASOOL ALLAH  ne mana farmaya k mushriko se musahefa kiya jaye ya inhey kunniyat se zikar kiya jaye aur na aatey waqt inhey marhaba kaha jaye.
(KANZUL UMMAL, JILD 9, PAGE 131, HADEES 25349)

Ye bahot kam darje ki izzat hai k naam lekar na pukara jaye falaan ka baap keh diya jaye ya aatey waqt jaga dene ko aaiye keh diya jaye.

DARS E IBRAT

Kuffaar k baarey me hadees isse bhi mana farmati hai alaniya kaafir se hazaar darja mazar naam o nihaad in maolviyo se ittehaad hai jo NABI KAREEM  k ilm aur aap ki zaat per hamla karte hain.

Inse ittehaad karna inkey maolviyo ko badey badey alqaab se zikar karna, inka shaan se isteqbaal karna jalso me inki taqreerey musalmano ko sunana.

Haalankey be deeno bad mazhabo ko aesa muqaam ye ohda dena jissey musalmano k dilo me inki tazeem paeda ho haraam hai, apne jalso me aezaazi ohdey dena kis qadar gumrahi aur RASOOL ALLAH ki mukhlifat hai.

MAMULAAT SAHABA E KIRAM رضي الله عنهم

Sahaba e kiraam رضي الله عنهم jo ummat e muslima k liye miyaar e haq hain jinnki iqteda ko hidayat farmaya gaya hai, jinhey quran e paak me رضي الله عنهم و رضواعنه (ALLAH UNSE RAAZI AUR WO ALLAH SE RAAZI) ka aezaaz naseeb hua ho inki mubarak zindagiyaan "APKEY DUSHMAN SE KYA RISHTA HAMARA YA RASOOL ALLAH " ka amli namuna hai.

Hazrat mulla ali qari رحمة الله عليه ne likha hai k SAHABA KIRAAM رضي الله عنهم aur inkey baad waley har zamane k imaan walo ki ye aadat rahi hai k wo ALLAH TA'ALA aur uskey RASOOL  k mukhalifo k sath boycott karte rahe.

Halankey in imaandaro ko duniyawi taor per in mukhalifo ki ehtiyaat bhi hoti thi lekin wo musalman ALLAH TA'ALA ki raza ko is per tarjeeh dete huye boycott karte the.

BOYCOTT TO MAMULI SAZA HAI LADAYI AUR MAAR PITAYI KI NAOBAT PAHOCH JATI THI.

Chunanch BUKHARI SHAREEF KITAB UL SALAH aur allama aayini k "وان طايفتن من المؤمنين اقتتلو ا فاصلحوا بينهما" k SHAAN E NUZOOL me sharah bukhari umdatul qari farmate hain.

Hazrat anas رضي الله عنه se riwayat hai k arz ki gayi YA RASOOL ALLAH  abdullah bin abyi k haan chal kar iskey sath salah ki baat kijiye, ap  gadhe per sawaar hokar maa jamaat abdullah bin abyi k haan tashreef le gaye

Usne kaha gadhe ko dur kijiye mujhe isse badbo aati hai, ek ansari mard ne kaha bakhuda hamarey nazdeek gadha tere se zyada khushbodaar hai

Isse abdullah ki party ka ek shaks naraaz hua to inki aapas me hatha paayi shuru hogayi yaha tak k ek dusrey per pathar aur jutey barsa rahe the
(SAHIH BUKHARI, JILD 3, PAGE 183, HADEES 2691)
(UMDAT UL QARI, SHARAH SAHIH BUKHARI, JILD 2, PAGE 61)

ASAAYE NABAWI  KI BE ADABI NA GAWAAR

Hazrat qazi ayaaz رحمة الله عليه "SHIFA SHAREEF" me likhte hain k, Jahjah ghaffari ne HAZRAT SYEDNA OSMAN GHANI رضي الله عنه se HUZOOR NABI KAREEM  ka aasa lekar ghutno per rakh kar todne laga to logo ki cheekhey nikal gayi itni be adabi ki waja se iskey ghutne me aakla ka marz paeda hogaya isne ghutna kaat daala aur ek saal k andar mar gaya
(AL SHIFA, JILD 1, PAGE 331)

FAWAYED O AQAYED

Aasa mubarak bataor e tabarruk mehfooz tha isse sahaba e kiraam رضي الله عنهم اجمعين ka tabarrukaat se ishq ka saboot mila

Tabarruk ki be adabi aesi nagawaar huyi k wo jango dushmano k naz'on me na cheekhey lekin aasa mubarak ki be adabi o gustakhi se cheekhey chillaye issey malum hua k inhey RASOOL ALLAH  ki mansoob ashya se kitni aqeedat aur muhabbat thi

Be adabi o gustaakhi ka anjaam bura hai agarche kisi ko jaldi se kisi ko der k baad

GUSTAKHO KI SOHBAT KI NAHOOST

Hadees e shareef me abu al tafeel se riwayat hai k

HUZOOR NABI KAREEM  k zaahiri zamane me ek ladka paeda hua aapne isko dua di iski peshani per haath rakha aur dabaya asar iska ye hua k iski peshani per khaas taor per baal ugey jo tamaam balo se mumtaaz the

Wo ladka jawaan hua aur khwarij ka zamana pahocha aur inse isko muhabbat huyi sath hi wo baal jinper dast e mubarak ka asar tha jhad gaye iskey baap ne jo ye haal dekha isko qaed kardiya k kahi inme na miljaye

Abu al tafeel kehte hain k humlog iskey paas gaye isey wa'az o naseehat ki aur kaha dekho tum jo inlogo ki taraf mayel huye RASOOL ALLAH  ki dua ki barkat tumhari peshani se jaati rahi gharz jab tak is naojawaan ne inki raaye se ruju na kiya hum iskey paas se hatey nahi

Phir jab inki muhabbat issey mitgayi to ALLAH TA'ALA ne iskey baal iski peshani per laota diye aur wo sadqe dil se tayeb hogaya
(MUSANNAF IBNE ABI SHAEBA, JILD 7, PAGE 556, HADEES 37904)

FAESLA RABBANI BARAYE GUSTAKH E RISALATH 

QURAN E KAREEM me ALLAH TA'ALA irshad farmata hai,
Tum farmao kya ALLAH aur iski ayato aur iskey rasool se hanste ho
(Para 10, Sureh Al Taoba, Aayat 65)

ISSEY PEHLE WALA PART PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY...
PART 01 PART 02

AAGEY K PARTS PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY...
PART 04 PART 05

POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ" 
Ishq e Nabi ﷺ

JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
+966 556 713 059

LIKE OUR FB PAGE
www.facebook.com/ishq.e.nabi1