ILM E MUSTAFA ﷺ PAR HAMLA KARNE WALA
Ek martaba NABI KAREEM ﷺ sahaba k hamraah kahi tashreef le ja rahe the k ek jaga muqaam farmaya to aapki oontni gum hogayi sahab e kiraam is talaash me nikley darey asna Hazrat Amara bin Hazam رضي الله عنه wapas apne kheemey me tashreef laaye to irshad farmaya
Ek martaba NABI KAREEM ﷺ sahaba k hamraah kahi tashreef le ja rahe the k ek jaga muqaam farmaya to aapki oontni gum hogayi sahab e kiraam is talaash me nikley darey asna Hazrat Amara bin Hazam رضي الله عنه wapas apne kheemey me tashreef laaye to irshad farmaya
Yaaro aaj ajeeb baat huyi wo ye k RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya oontni kahaan hai? phir
hukum farmaya k jaao falaan jhaadi se oontni ki rassi phans gayi hai isey
chudakar laao.
CHunanche isi tarah tha jaese HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne farmaya, inkey kheemey me se ek wo
shaks bola jisne zaid bin al laseet ki baat suni thi jo keh raha tha k RASOOL
ALLAH ﷺ idhar to asmaani khabron k madyiii hain
lekin yaha ye haal hai k oontni ka pata nahi aur kaha k yahi baat tumhare
rafeeq zain bin al laseet ne kahi thi.
Hazrat Amaara رضي الله عنه ne zaid munafiq ko gardan se pakad kar thappad maarte huye
kaha, mere kheeme me aaye manhoos tu aa dhamka nikal ja mere kheemey se.
(Aelaam Al Nabuwath, Page 121, Beerut)
ISEY ANDHAA KARDE
RASOOL ALLAH ﷺ ne aswad bin yazeed ki ezaa rasaani aur tamsakhar k sabab se
iskey liye iski binayi khatam hone ki dua farmayi thi.
(DALAEL AL NABUWAH LAABI NAYEEM, JILD 1, PAGE 234)
اللهم
أعم بصرة واثكله ولدة
Aye ALLAH isey andha karde aur isey iske ladke ki maot per
rula.
Waleed bin magheera aap ﷺ k nazdeek se guzra, HAZRAT JIBRAEEL عليه السلام ne iskey paau k takhne ki taraf ishara kiya, ye zakham kuch
arsa qabal isey laga tha.
Hazrat Jibraeel عليه السلام k ishare se wo zakham dubara kharaab hogaya aur isi se iski
maot waqey huyi.
Aas bin wayel AAP ﷺ k paas se guzra Hazrat Jibraeel عليه السلام ne iskey paau k talwe k darmiyani hisse ki taraf ishara kiya,
wo ek gadhe per sawaar hokar ta'if gaya.
Gadha ek zehreeley khaardaar paode per baeth gaya, aas k paau
k talwe k wasti hisse me kaanta chubh gaya jo iski maot ka sabab bana.
Phir haaris bin al talatala ap k paas se guzra Hazrat
Jibraeel عليه
السلام ne iskey sar ki taraf
ishara kiya iska sar sooj gaya aur peep se bhar gaya, saara bheja gal kar peep
ban gaya aur yahi iski maot ka sabab bana.
(SEERAT IBNE HISHAM, JILD 1, PAGE 410)
(SEERAT SARWAR E ALAM MAODUDI, JILD 2)
Ye waqeaat maududi ne likhe hain jabkey khud gustakhiyaan
karte thakta na tha tafseel k liye "AAYINA MAUDUDI" kitaab ka mutalla
karey.
ALLAH TA'ALA NE MAZAAQ UDAANE WALO K MUTALLIQ FARMAYA
TARJUMA:
Beshak in hansne walo per hum tumhe kifayat karte hain.
(Para 14, Sureh Al Hajr, Ayat 95)
Yaani aapki taraf se hum in mazaaq udaane walo ki khabar lene
k liye kaafi hain.
GUSTAKH ABU LAHAB KA ANJAAM
HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k chacha abu lahab gustakh e risalat ﷺ ka mujrim tha, iska naam abdul aza bin abdul mutallib tha, Ibne
Saad ne likha hai k iska chehra itna surkh aur safed tha k abu lahab k laqab se
pukara jaata tha.
RASOOL ALLAH ﷺ ne jab koh e safa per khade hokar MAKKA walo ko islam ki
daawat di to abu lahab ne majma me se aagey badhkar sabse pehle aapki
mukhalifat ki aur kaha tumhari barbaadi ho.
Kya tumne isliye hamey jama kiya tha wo RASOOL ALLAH ﷺ k baarey me bahot zyada jhoot bakta aap
ﷺ k darwaze per koda kirkat phenk deta
tha.
GHAZWA E BIDR me kuffar ko shikast huyi jisme MAKKA walo k
bade bade soorma waasil jahannam huye is shikast ki khabar jab MAKKA pahonchi
to abu lahab ko itna dukh hua k wo saat din se zyada zinda na reh saka.
Wo "ADSA" naami bimari me mubtela hua jo ta'oon se
milti julti hai is bimari k daoraan iskey ahle khaana ch'ooth k dar se iskey
khareeb na aatey the, marne k baad bhi 3 din tak koi iski laash k khareeb na
aaya.
Iski laash sad gayi aur isse badbo aane lagi jab logo ne
iskey bete ko taane dene shuru kiye to unhone kuch habshiyo ko ijrat dekar iski
laash uthwayi aur inhi habshiyo ne isey dafan kiya.
Ek riwayat me ye bhi aata hai k unhone gadha khoda aur
lakdiyo se iski laash ko dhakel kar isme phenk diya aur upar se mitti aur
pathar daalkar isey pur kardiya.
(SEERAT IBNE HISHAM, JILD 2)
EK SHAKS KA YAHOOD KO QATAL KARNA
Hazrat Ali رضي الله عنه se riwayat hai k RASOOL ALLAH ﷺ ko ek yahudiya bura kaha karti thi wo aap ﷺ ko hajubhi kehte thi, ek shaks ne iska
gala ghont kar isey halaak kardiya, RASOOL ALLAH ﷺ ne iska khoon muaaf kardiya.
(Sunan Abu Daood, Kitab Al Hudood)
Faeda
Is riwayat ki sehet e sanad k mutalliq baaz log aetraaz karte
hain lekin imam e wahabiya ibne taymiyya ne is riwayat k mutalliq kaha hai k ye
hadees jayyad hai, kyu k iskey raawi imam shaabi ne Hazrat Syedna Ali رضي الله عنه ko dekha.
Aur Aapse sharaha hamdaani ki hadees riwayat ki hai agar ye
hadees mursal bhi samjhi jaati ho tab bhi bil'ittefaaq hujjat hai kyu k
muhaddiseen k nazdeek imam shaabi ki hadees sahih hai.
Hazrat Syedna Ali Karam ALLAHU WAJHA Ul Kareem رضي الله عنه aur inkey saqa ashaab ki ahadees k sabse bade aalim imam shaabi hain, ibne taymiyya mazeed kehta hai k ye hadees is yahudiya k qatal k jawaaz per nas hai kyu k isney RASOOL ALLAH ﷺ ko bura kaha tha.
Ye hadees ek zimmi gustaakh ko qatal karne per daleel hai to
ek musalmaan mard ya aorat agar RASOOL ALLAH ﷺ ko gaali de to inka qatal badarja oola jayaz hai.
(Nisaram Al Maslool)
NABEENA SAHABI KA GUSTAAKHI KARNE WALI APNI LAONDI KO QATAL
KARNA
Sunan Nisayi aur sunan abu daood waghaera me hai Hazrat
Abdullah Ibne Abbas رضي
الله عنهما se marwi hai k, ek
nabeena sahabi ki ek laondi thi jiskey batan se inkey do bache the wo laondi
aksar RASOOL ALLAH ﷺ ko bura kehte.
Nabeena sahabi isey baar baar daant'te lekin wo baaz na aayi
ek raat isney phir RASOOL ALLAH ﷺ ka tazkera kiya aur aap ﷺ ko bura kehne lagi nabeena sahabi se zabt na ho saka unhone
takiya uthaya aur uskey pet per rakh kar daba diya yahaan tak k wo mar gayi.
(Sunan Abu Daood, Sunan Nisayi, Al Tabraani Al ajam Al
Sagheer)
Ek riwayat me hai k wo haamela thi is lamhe ki takleef ki
shiddat se iskey hamal ka bacha iski taango k darmiyaan ja gira, subah jab wo
murda paayi gayi to logo ne iska zikar RASOOL ALLAH ﷺ se kiya.
Aap ﷺ ne sabko jama kiya aur farmaya main is
shaks ko ALLAH ki khasam deta hu jisper mera haq hai k wo shaks jisne is laondi
ko qatal kiya hai wo khada hojaye, ye sunkar nabeena sahabi darey aur khaoff se
girte padte haazir huye.
Aur arz kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ, ye khoon maine kiya hai wo meri laondi thi aur mujhper
intehaayi meherbaan aur meri rafeeqa thi, iskey pet se mere do bache bhi hain
jo motiyo ki tarah hain.
Lekin wo aksar aapko bura kaha karti aur aapko galiyaan deti
thi main isey aesa karne se mana karta tha lekin wo baaz nahi aati thi main
sakhti karta to bhi wo nahi maanti thi.
Aaj raat isney aapka zikar kiya aur wo aapki shaan me
gustakhi karne lagi maine takiya uthaaya aur iskey pet per rakhkar zor se
dabadiya yahaan tak k wo margayi, RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya, "الا
اشهدوا ان دمها هدر" yaani tum sab
gawaah rehna is laondi ka khoon ka badla nahi liya jayega.
(Majmua Al Zawayed, Jild 6, Kitaab ul Hudood)
SANAD HADEES KI TASDEEQ GHAERO NE BHI KI
Kal jo hadees aapne padhi thi uskey baarey me bataya ja raha
hai k ye hadees ki sanad ko ghaer muqallideen ne bhi tasdeeq ki hai.
Wahabiya k shaikh ul islam yaani ibne taymiyya ne is riwayat
per likha hai k wo aorat nabeena sahabi ki mankooha thi ya mamlooka laondi in
dono surto me agar is aorat ka qatal najayaz hota to RASOOL ALLAH ﷺ farmadete k iska qatal haraam tha.
Ya phir aap ﷺ qatal karne per kafaara laazim karte lekin aapne aesa nahi
farmaya balkey aap ﷺ ne farmaya tum sab gawaah rehna is
laondi k khoon ka badla nahi liya jayega.
Malum hua k wo zamiya hone k bawajood mubaah aldam thi,
RASOOL ALLAH ﷺ ki gustakhi karne k sabab se iska khoon
mubaah hogaya tha.
RASOOL ALLAH ﷺ ne jab saara waqeya sunkar gaali dene ki waja se is aorat ko
qatal kiya gaya to aap ﷺ ne iska khooon raayega qaraar dediya ye
is baat ki daleel hai k RASOOL ALLAH ﷺ ki shaan e aqdas me gustaakh ki saza sar tan se juda hai.
(Alsaaram Al Masloo Ali Shaatam Al Rasool)
Aaj wahabi gustakhi per gustakhi karte hain, aur phir bhi
kehte phirte hain k hum ahle hadees hai, unhey ye sochna chahiye k kya wo is
hadees per amal kar rahe hain...??? jisey inkey imam ne khud sahih kharaar diya
aur kaha hai k gustaakh e rasool ﷺ ka sar tan se juda.
Isiliye to kehte hain k WAHABI SIRF BOLTA HAI SAMAJTA
NAHI....
BHAI KA APNI GUSTAAKH BEHEN KO QATAL KARNA
Aqziyatul Rasool ﷺ aur Majmaa al zawayed me hai, Hazrat Umeyr bin Ummiya رضي الله عنه khud raawi hain k inki ek behen thi,
Umeyr jab RASOOL ALLAH ﷺ ki khidmat me haazir hone k liye aatey
to wo aapko galiyaan deti aur ezaa pahochati.
Wo mushrika thi aakhir ek din Hazrat Umeyr رضي الله عنه ne usey talwaar se qatal kardiya, iskey
bete chilla chilla kar kehne lagey k hum iskey qatil ko jaante hain tumlogo ne
hamari maa ko qatal kardiya hai.
Halaankey logo k baap dada aur inki maaye sab mushrik the jab
Hazrat Umeyr رضي
الله عنه ko ye khatra mehsoos hua
k wo log apni maa k badle me qatil k bajaye kisi aur ko qatal kardenge.
To unhone HUZOOR NABI KAREEM RAOOF UR RAHEEM ﷺ ki khidmat e akhdas me haazir hokar
saara waqeya arz kardiya.
Aap ﷺ ne Hazrat Umeyr رضي الله عنه se pucha tumne apni behen ko qatal kyu
kiya? Unhone arz kiya wo aapko bura kehkar mujhe takleef pahochati thi.
RASOOL ALLAH ﷺ ne maqtula k beto ko bulakar pucha unhone asal qaatil k bajaye
kisi aur shaks ka naam liya aap ﷺ ne unko haqeeqat se aagah kiya aur unki maa ko mubaah al dum
qaraar diya.
(Alsaaram Al Masloo Ali Shaatam Al Rasool)
GUSTAAKHI KARNE PER APNE BAAP KO QATAL KARNA
Hazrat qazi ayaaz (544 hijri) ne ibne qaaney ki riwayat naqal
ki hai k RASOOL ALLAH ﷺ k paas ek shaks aaya aur arz kiya YA
RASOOL ALLAH ﷺ! maine aapne baap ko suna k wo aapki
nisbat buri baat kehta hai to maine usey qatal kardiya.
Ye baat RASOOL ALLAH ﷺ per shaaq na gusri.
(Bukhari Shareef, Kitaab al Shahadat)
Abu ishaaq k hawale se ibne taymiyya ne naqal kiya hai k ek
shaks ne RASOOL ALLAH ﷺ ki khidmat me haazir hokar arz kiya, YA
RASOOL ALLAH ﷺ! main apne walid se mila jo mushrikeen
k sath tha.
Maine suna k mera walid aapki shaan e aqdas me gustakhiyaan
kar raha tha main bardaasht na kar sakta aur iskey galey me nezey ki nok jhonk
kar isey qatal kardiya, ye baat RASOOL ALLAH ﷺ per giraan na guzri.
(Al Musannaf Abul Razzaq, Jild 2)
GUSTAKH WAASIL JAHANNAM KARNE WALA ZIYARAT K LAYEQ HAI
GUSTAKH KO KAON WAASIL JAHANNAM KAREGA
Musannaf Abdul Razzaq me Hazrat Akram Tabey رضي الله عنه se riwayat hai k ek shaks ne RASOOL
ALLAH ﷺ ko bura bhala kaha yaani gaali di to
Aap ne farmaya "من
يكفينى عدوى"? Yaani kaon hai
jo mere dushman k liye kaafi hojaye.
To Hazrat Zubair رضي الله عنه ne arz kiya main haazir hoon, chunanche unhone usey lalkaara
aur qatal kardiya, RASOOL ALLAH ﷺ ne maqtool ka samaan Hazrat Zubair رضي الله عنه ko dilwadiya.
(Seerat Ibne Hisham, Jild 4)
Ek Shatema aurat ne RASOOL ALLAH ﷺ ko gaali di, aap ﷺ ne farmaya "من
يكفينى عدوى"?
Kaon hai jo mere dushman k liye kaafi hojaye?
Hazrat Khalid bin waleed رضي الله عنه ne jaakar is shatema ko qatal kardiya.
(Alsaaram Al Masool)
AQBA BIN ABI MA'EET
Imam Bukhari k ustaad Abdul Razzaq (211 hijri) ne riwayat
naqal ki hai k aqb bin abi ma'eet (معيط) aur abi bin khalf al jam'yi dono dost
ek martaba aapas me miley.
Aqba ne abi bin khalf se kaha main tumse is waqt tak khush
nahi hunga jab tak tum MUHAMMED ﷺ ko gaali nahi dogey aur inki takzeeb nahi karoge, ALLAH ki
khudrat wo aesa na kar saka.
Jab wo Ghazwa e Badr k maoqey per aqba bin ma'eet ko qaediyo
k hamraah laaya gaya to RASOOL ALLAH ﷺ ne Hazrat Ali رضي الله عنه ko iskey qatal ka hukum diya, isne aapse pucha k mujhe kyu
qatal kiya ja raha hai?
To AAP ﷺ ne farmaya, ALLAH aur uskey RASOOL k khilaaf tumhare kufr o
fujoor aur tumhari sarkashi ki waja se tujhe qatl kiya ja raha hai.
(Musannaf Abdul Razzaq, Jild 5, Page 355)
Hazrat Maola ALi Karam Ullah Wajha ul Kareem رضي الله عنه uthey aur uska sar qalam kardiya.
(Al Musannaf Abdul Razzaq, Kitaab Al Maghari)
Waaqdi ne likha hai k aqba bin abi ma'eet k alawa kisi ko
baandh kar qatal nahi kiya gaya.
(AL Saaram Al Maslool)
Wynn & Encore Hotel Las Vegas - Mapyro
ReplyDeleteWynn and 제주도 출장샵 Encore Las Vegas 삼척 출장안마 Hotel. Find 목포 출장마사지 reviews and 청주 출장마사지 discounts 광명 출장마사지 for AAA/AARP members, seniors, long stays & government.