APKE DUSHMAN SE KYA RISHTA YA RASOOL ALLAH ﷺ
Bad qismati se hamare daor me sulle kulliyath ka marz badhta ja raha hai, mazaheb batila se meyl jol ko ma'ashirati samajkar ya koi aur waja se zaruri samjha ja raha hai.
Agar koi banda khuda e dushman ahmed pe shiddat karta hai to apno ki taraf se mukhalifat o mukhasimat ka na khatam hone wala silsila shuru hojata hai, mehez raza e ilahi k liye gustakho, be adabo se ta'allukhat khatam karna ba'zahir mushkil to zaroor hai magar iskey deeni, dunyavi faede bahot zyada hai aur akhirat me khurb e habeeb, raoof ur raheem ﷺ naseeb hoga.
IMAM AHMED RAZA KHAN ALAEHI REHMA FARMATE HAIN:
INHEY MAANA INHEY JAANA NA RAKHA GHA'IR SE KAAM
LILLAH ALHAMD K DUNIYA SE MUSALMAN HOGAYA
Gustakho, be adabo aur bad mazhabo se har tarah ka rishta o naata todna daor e hazira me khud ko aag ki bhatti me daalna hai isliye k hukumat ki kursi khatre me pad jati hai isey mazboot rakhne k liye bahot badey jubba o dastaar waley maolvi, peer, naam nihaad mazhabi scholar sath milane padte hain aur phir bad mazaheb o dushmanan e rasool ﷺ hukumat se bahot zyada wabasta hotey hain lekin mardan e khuda ghaerat ka daaman hath se nahi chodte apne taor per jitna ho sakta hai ilmi karwayi me lage rehte hain.
QURAN E MAJEED ME ALLAH TA'ALA FARMATA HAI:
TARJUMA:
Musalman kafiro ko apna dost na banaley musalmano k siwa aur jo aesa karega usey ALLAH TA'ALA se kuch ilaqa (waasta) na raha magar ye k tum insey kuch daro.
(PARA 3, SURAH AL-IMRAN, AYAT 28)
SHAAN E NUZOOL:
Hazrat ubada ibne saamat رضي الله عنه ne jung e ahzaab k din huzoor ﷺ se arz kiya k paanch sau (500) yahoodi mere humdard aur haleef hain main chahta hu k dushman k muqable me insey madad hasil karu is per ye ayat e karima nazil huyi aur ALLAH TA'ALA o rasool allah ﷺ k dushmano ko dost o madadgaar bananey ki mumani'ath farmayi gayi aur unhe raazdaar banana aur unse dosti o muhabbat karna najayaz kharaar diya gaya.
Haan agar jaan o maal k nukhsaan ka andesha ho to aese waqt me sirf zahiri bartao karna jayaz hai.
(ASBAAB UL NUZOOL LIL WA'HDI)
Agar gustakho aur be adabo ko sath milakar kursi mazboot karna aur apni wah wah karana maqsood ho to iqtedaar ka nasha to pura hojayega magar duniya me hi aesa anjaam e bad hoga k ibrat ka nishan banna padega jabke akhirat ka azaab alag hai.
Sabko sath milakar chalne waley quran e pak k is hukum se sabaq hasil karey.
ALLAH TA'ALA FARMATA HAI:
TARJUMA:
Aye imaan walo! apne baap aur apne bhaiyo ko dost na samjho agar wo imaan per kufr pasand karey aur tum me jo koi inse dosti karega to wahi zalim hai.
(PARA 10, SURAH AL-TAOBA, AYAT 23)
SHAAN E NUZOOL:
Hua yu k jab musalmano ko kafiro se qata (tarak karna) taalluq karne ka hukum diya gaya to kuch logo ne kaha k ye kaese hosakta hai k admi apne baap, bhai aur rishtedaar waghaera se ta'alluq khatam karde to is per ye ayat e karima nazil huyi aur bataya k kafiro se dosti o muhabbat jayaz nahi chahe insey koi bhi rishta ho.
AAGEY FARMAYA:
TARJUMA:
Tum farmao agar tumhare baap aur tumhare bete aur tumhare bhai or aurtey or tumhara kum'ba aur tumhari kamayi k maal aur wo saoda jiske nuqsaan ka tumhe dar hai aur tumhare pasand k makaan ye chize ALLAH aur iskey rasool ﷺ aur iski raah me ladne se zyada pyaari ho to raasta dekho yaha tak k ALLAH apna hukum laye aur ALLAH fasiqo ko raah nahi deta.
(PARA 10, SURAH AL-TAOBA, AYAT 24)
Is ayat e karima se sabit hua k apne deen o imaan ko bachane k liye duniya ki mashaqat bardasht karna musalmano per laazim hai.
INAMAAT KI BARISH:
Gustakho, be adabo, be imano se raza e ilahi ki khatir rishta todne walo per inamaat ki barish hoti hai ALLAH TA'ALA inhey apni ne'mato ki naweed irshad farmata hai. Chunanche ALLAH TA'ALA ka farmaan padhey aur gustakho se bezari kijiye.
TARJUMA:
Tum na paogey un logo ko jo yakeen rakhte hain ALLAH aur pichle din per k dosti karey unse jinhone ALLAH aur uskey rasool ﷺ se mukhalifat ki agarche wo inkey baap ya bete ya bhai ya kumbe waley ho. Ye hai jinke dilo me ALLAH ne imaan naqsh farmadiya aur apni taraf ki rooh se unki madad ki aur inhey bagho me le jayega jinkey niche nehrey bahey inme hamesha rahey. ALLAH unsey raazi aur wo ALLAH se raazi, ye ALLAH ki jamaat hai sunta hai ALLAH hi ki jamaat kamiyab hai.
(PARA 28, SURAH AL-MUJADILA, AYATH 22)
SHAAN E NUZOOL:
HAZRAT SYEDNA SIDDIQ E AKBAR رضي الله عنه NE APNE WALID KO THAPPAD MARA:
Hazrat imam suyuti رحمة الله علبه ne labaab al nuqool me farmaya k ye ayat syedna abubakar siddiq رضي الله عنه k haq me nazil huyi jab unhone apne baap se huzoor ﷺ ki gustakhi ka kalma suna to thappad mara.
Hazrat allama ismail haqqi hanafi رحمة الله عليه ne rooh ul bayaan me isi ayat k tehet likha k "thappad itna zor se mara k wo zameen per gir padey".
(ROOH UL BAYAAN, SURAH AL-MUJADILA, JILD 9, PAGE 335, DAR E HAYA AL TIRAAS AL ARABI)
SAWAAL:
Isper aetraaz hota hai k ye ayat madani hai aur waqeya mecca ka malum hota hai.
JAWAAB:
Saheb rooh ul bayaan ne jawaab diya k surah ka pehla ashra madhina hai baqi makkiya hai.
INTEBAH:
Is ayat me in hazraat k liye daras e ibrat hai k deeni maamla milkhusoos huzoor sarwar e alam ﷺ k gustakho aur be adabiyo k baarey me be ghaerti ka muzahera karte hain.
Sahib e ruh ul bayaan ye tamaam waqeyat likh kar aakhir me likhte hain:
TARJUMA:
Ye sab kuch ghaerat aur deen ki mazbooti ki waja se tha.
Akhir me farman e nabi ﷺ bhi sunley.
Huzoor nabi kareem ﷺ ne farmaya:
Ghaerat imaan se hai aur maqsad e birari (bhai chargi ya dosti) munafiqat hai jisey ghaerat nahi isey imaan nahi.
(TAFSEER ROOH UL BAYAAN, SURAH AL-MUJADILA, JILD 9, PAGE 335)
Haqeeqat ye hai k huzoor sarwar e alam ﷺ ka har sahabi رضي الله عنه ap k ishq me sarshaar the aur phir inkey baad ta'haal aese ghuyoor ashiqo ki koi kami nahi. Har zamane me huzoor sarwar e alam ﷺ ka har ummati ap k ishq me yu arz karte.
APKE DUSHMAN SE KYA RISHTA HAMARA YA RASOOL ALLAH ﷺ
Malum hua k momin ki ye shaan hi nahi aur iska imaan ye gawara hi nahi kar sakta k ALLAH aur iskey pyaare rasool ﷺ k dushmano, be deeno, bad mazhabo aur inki shaan me gustaakhi aur be adabi karne walo se muhammat karey aur khwah wo gustakh is momin ka baap dada hi kyu na ho aur jime ye sifat paayi jayegi ALLAH TA'ALA isey saat nemato se nawazega.
ALLAH TA'ALA imaan ko dil me naqsh kardega.
Ismey imaan per khatima ki basharat hai kyu k ALLAH TA'ALA ka likha hua mit'ta nahi hai.
ALLAH TA'ALA ruh al khudas se madad farmayega.
Hamesha k liye aesi jannato me jayega jiske liye nichey nehrey jaari hain.
ALLAH wala hojayega.
Mu maangi muraadey payega.
ALLAH TA'ALA issey raazi hoga aur bande k liye ALLAH ki raza bas hai.
Afsoos aaj kal k musalman kehlane waley apne murtad aur be deen rishtedaro aur dosto se qat'aa taalluq karne se bhi majburi zahir karte hain.
YAHOOD O HUNOOD (nasara) TUMHARE DOST NAHI
Aaj kal to islam dushman yahood nahood se dosti rasam o raabtha badhane k liye ghalat tavilaat ki ja rahi hain jabkey ALLAH TA'ALA ne wa'azeh taor farmaya k wo tumhare dost nahi ho sakte.
TARJUMA:
Aye imaan walo! yahood o nasara ko dost na banao, wo apas me ek dusrey k dost hain aur tum me se jo koi unsey dosti rakhega to wo unhi me se hai beshak ALLAH be insafo ko raah nahi deta.
(PARA 6, SURAH AL-MAYEDA, AYAT 51)
SHAAN E NUZOOL:
Jaleel al qadr sahabi e rasool ﷺ hazrat ubada bin saamat رضي الله عنه ne rayees ul munafiqeen abdullah bin ubaye se farmaya k yahood me mere bahot dost hain jo badi shaan o shaokat waley hain lekin ab main unki dosti se bezaar hu ALLAH o rasool ﷺ k siwa mere dil me kisi ki muhabbat ki gunjayish nahi.
Is per abdullah bin ubaye ne kaha k main yahood ki dosti khatam nahi kar sakta isliye mujhe pesh aane waley haadsaath ka andesha hai, mujhe unkey sath rasam o raah rakhni zaruri hai taakey waqt aane per wo hamari madad karey.
To huzoor ﷺ ne abdullah bin ubaye se farmaya k yahood ki dosti ka dum bharna tera hi kaam hai ubada ka ye kaam nahi, isper ALLAH TA'ALA ne farmaya k yahood o nasara se muhabbat o dosti khayam rakhna musalmano ki shaan nahi.
(TAFSEER SAADI, JILD 1)
GAOR O FIKHAR:
Afsoos aj bhi log isi abdullah bin ubaye ki tarah azar pesh karte hain k agar hum be deeno, bad mazhabo, gustakho, be adabo se dosti o muhabbat na rakhey aur unsey nafrat karey to hamare bahot se kaam ruk jayenge magar ye azar unkey nafs ka dhoka hai, khabardaar aese behrupiyo se dur rahey ye duniya o akhirat me nuqsaan ka ba'yis hai.
HAZRAT SYEDNA OMER FAROOQ رصي الله عنه NE KHOOB JAWAAB DIYA:
Ameer ul momineen hazrat farooq e azam رصي الله عنه ne hazrat moosa ash'ari رصي الله عنه se farmaya k tum ne apna munshi nasrani rakh liya hai halankey tum ko ussey koi waasta nahi hona chahiye kya tumne ye ayath nahi suni,
TARJUMA:
Aye imaan walo! yahood o nasara ko dost na banao, wo apas me ek dusrey k dost hain aur tum me se jo koi unsey dosti rakhega to wo unhi me se hai beshak ALLAH be insafo ko raah nahi deta.
(PARA 6, SURAH AL-MAYEDA, AYAT 51)
Hazrat moosa ash'ari رصي الله عنه arz kiya nasrani ka deen uskey sath hai mujhe to uskey likhne padhne se gharz hai. Ameer ul momineen ne farmaya k ALLAH ne inhey zaleel kiya tum inhey izzat na do ALLAH ne inhey dur kiya tum inhey khareeb na karo.
Hazrath moosa ash'ari رصي الله عنه ne arz kiya k baghaer iskey basra ki hukumat ka kaam chalana dushwaar hai maine majburan isko rakh liya hai kyu k is qabiliyat ka aadmi musalmano me nahi milta. Isper ameer ul momineen farooq e azam رصي الله عنه ne farmaya k agar nasrani marjaye to kya karoge jo intezaam us waqt karoge wo ab karlo aur us dushman e islam se kaam lekar uski izzat hargiz na badhao.
(TAFSEER KHAZAYEN UL IRFAN)
Kuffar se dost o muhabbat chonkey murtad aur be deen hone ka sabab hai isliye uski mumani'at k baad farmaya ab bhi baaz log bad mazaheb ko apne karobar me munshi mukhtar rakh kar yahi azar karte hain, unhey ameer ul momineen k jawaab per ghaor karna chahiye aur apni akhirat kamiyaab karni chahiye.
AAGEY K PARTS PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY...
PART 02 PART 03 PART 04 PART 05
ALLAH TA'ALA FARMATA HAI:
TARJUMA:
Aye imaan walo! tum me jo koi apne deen se phirega (yaani
murtad hojayega) to ankhareeb ALLAH aese log layega k wo ALLAH k pyaare aur
ALLAH inka pyaara. Musalmano per naram aur kafiro per sakht, ALLAH ki raah me
ladenge aur kisi malamat karne waley ki malamat ka andesha na karenge, ye ALLAH
ka fazal hai jisey chahe de aur ALLAH wasa'ath wala ilm wala hai.
(PARA 6, SURAH AL-MAYEDA, AYATH 54)
ZINDABAD ULLAMA E HAQ
ALLAH TA'ALA ne is ayath e karima me musalmano me ba'az
logo k murtad hone ki khabar di aur sath hi ye bhi farmadiya k kuch log aese
bhi honge jo ALLAH k mehboob honge aur ALLAH inka mehboob hoga aur inki pehchan
ye hogi k wo musalmano k liye naram honge lekin kafiro aur murtado k liye sakht
rahenge, Wo ALLAH ki raah me hathyaar, qalam, aur zuban se ladenge magar
duniyadar inhey fasadi aur jhagdalu samjhenge, galiyan denge aur bura bhala
kahenge lekin inhey iska koi gham na hoga wo bila khaof kalam e haq ko
phaelaney ki paasdari hi karte rahenge.
NOTE:
Maojuda zamana ye alamatey sirf wahi ullama me hai jo
badmazhab ka khullam khulla rad karte hain aur logo ki malamat aur laan taan ko
khatir me nahi laatey aur daor e hazir me tamaam bad mazaheb se deobandi aur
wahabi mazhab bahot zyada khatarnaak hai yahi log har tarah ka bhes badal kar
awaam ko behkatey hain, inko andar se dekha jaye to huzoor ﷺ k badtareen dushman hai aur inki adavat o dushmani ka saboot
inki tehreerey hain aur saheban e ilm o fazal hazraath in tehreero ko khoob
jaante hain tafseelath k liye SYEDI IMAM AHMED RAZA KHAN عليه رحمة
والرضوان ki tasaneef mubaraka ka
mutaleba karey.
GUSTAKH E RASOOL WALD AL ZANA
ALLAH TA'ALA ne apne mehboob ﷺ k mutalliq majnoon (pagal) kehne waley ka yu mu kala farmaya
SURAH AL QALAM ki ibtedayi ayat ka mulaheza kariye.
TARJUMA:
Aur har aese ki baat na sunna jo bada qasmey khane wala
zaleel, bahot taaney dene wala, bahot idhar ki udhar ki lagata phirne wala,
bhalayi se bada rokne wala, had se badhne wala, gunehgaar, darasht kho, is sab
per turra y k iski asal me khata.
(PARA 29, SURAH AL-QALAM, AYATH 10-13)
SHAAN E NUZOOL:
In ayath ka shaan e nuzool ye hai k waleed bin mughaera ne
huzoor ﷺ ki shaan me gustakhi ki ap ﷺ ko majnoon (pagal) kaha jissey huzoor ﷺ ko dukh hua to ALLAH TA'ALA ne chand
ayaath e mubaraka nazil farmakar apne mehboob ﷺ ko tasalli o tashaffi di aur ayath mazkoora bala me is gustakh
k nau 9 ayebo ko bayan farmaya hata k ye bhi zahir kardiya k iski asal wald ul
haraam hai.
Jab ye ayath nazil huyi to waleed bin mughaera ne apni maa se
jaakar kaha k muhammed ﷺ ne mere mutalliq dus batey bayaan ki
hain in me 9 ko to main jaanta hu lekin dusvi baat yaani meri asal me khata hona
tujhi ko maloom hoga to mujhe sach batade warna main teri gardan maardunga,
Iski maa ne jawaab diya k haan tera baap na mard tha mujhe andesha hua k wo
marjayega to iska maal dusrey log l jayenge to maine ek charwahe ko bulaliya
aur tu usi k nutfey se hai.
(TAFSEER SAAVI, JILD 4)
KISI KO BURA NA KAHO
Ye bimari musalmano me aj phaelti ja rahi hai k hum jaese
ghareeb agar wahabiyo or deobandiyo waghera ki kufriya ibaraat awaam o khawaas
ko dikhaye unki gustakhiyaan jo unki kitabo me musalsil saal o saal se chap kar
aam taqseem ho rahi hai to hamey shiddat pasand ka taana diya jata hai aur apne
bhi sakht geyr kehte hain magar hamey kuch afsoos nahi hota kyu k pyaare aqa o
malo huzoor ﷺ ki shaan me gustakhi karne waley ko
bura bhala kehna aur uskey ayebo ko khullam khulla bayaan karna sunnat e
ilahiya hai.
AAGEY K PARTS PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY...
PART 02 PART 03 PART 04 PART 05
POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ"
Ishq e Nabi ﷺ
JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
No comments:
Post a Comment