GUSTAAKH MUNAFIQEEN KA MASJID SE IKHRAAF
Gustaakho ko hum masajid se nikaalte hain hamare baaz ehbaab
hamey shiddat pasandi ka taana dete hain aur kehte hain k log is amal ko acha
nahi samajte lekin ye haqeeqat kisi se posheeda nahi k gustakho munafiqeen ko
masjid se nikaalna NABI KAREEM ﷺ ki sunnat e mubaraka hai.
Aap padh chukey hain k RASOOL ALLAH ﷺ ne gustakho se dur rehne ki tayed farmayi aapne sirf hukum per
iktefa nahi farmaya balkey gustaakho ko sakhti se apni masjid se nikalwadiya.
HAZRAT ABDULLAH IBNE ABBAS رضي الله عنهما farmate hain k, RASOOL ALLAH ﷺ Jumua k din jab khutba k liye khadey huye to farmaya aye falaan
tu munafiq hai lehaza masjid se nikal ja, aye falaan tu bhi munafiq hai lehaza
masjid se nikalja.
HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne kayi munafiqo k naam lekar nikala aur inko sabke saamne
ruswa kiya is jumua ko HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه abhi masjid me haazir nahi huye thi kisi kaam ki waja se der
hogayi thi.
Jab wo munafiq masjid se nikal kar ruswa hokar ja rahe the to
HAZRAT SYEDNA FAROOQ E AZAM رضي الله عنه aarahe the aap sharam ki waja se chup rahe the k mujhe to der
hogayi hai shayad jumua hogaya hai.
Lekin munafiq HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه se apni ruswayi ki waja se chup rahe the phir jab HAZRAT FAROOQ
E AZAM رضي
الله عنه masjid me daakhil huye to
abhi jumua nahi hua tha baad me ek sahabi ne kaha k aye omer (رضي الله عنه) tujhe khushkhabri ho k aaj ALLAH TA'ALA ne munfaiqo ko ruswa
kardiya hai.
(TAFSEER ROOH AL MAANI, JILD 11, PAGE 11)
(TAFSEER AL ALOOSI, JILD 7, PAGE 347)
(AL MA'AJUM AL AOSAT, JILD 1, PAGE 241, RAQAM AL HADEES 792)
(MAJM'A AL ZAWAYED, JILD 7, PAGE 111)
SEERAT IBNE HISHAAM ME EK UNWAAN HAI.
طرد
المنافقين من مسجد الرسول صلى الله عليه وسلم
Aur iskey tehet farmaya k munafiq log masjid e nabawi me
aatey aur musalmano ki baatey sunkar thittey karte, deen ka mazaaq udatey the,
ek din kuch munafiq masjid e nabawi shareef me ikhatte baethe the.
RASOOL E AKRAM ﷺ NE DEKH KAR HUKUM DIYA K MUNAFIQEEN KO SAKHTI SE NIKAAL DIYA
JAAYE.
(SEERAT E IBNE HISAAM, JILD 2, PAGE 528)
SAHABA E KIRAAM NE MUNAFIQEEN KO PAKAD PAKAD KAR BAAHAR
NIKALA
HAZRAT ABU AYUB KHALID BIN ZAID رضي الله عنه uth khade huye aur omer bin qaes ko taang se pakad kar
ghaseet'te ghaseet'te masjid se baahar phenk diya, phir HAZRAT ABU AYUB رضي الله عنه ne raafey bin wadi'aa ko pakda.
Iskey galey me chaadar daal kar khoob kheencha iskey mu per
tamancha maara aur isko masjid se nikaal diya aur sath sath abu ayub رضي الله عنه farmate hain "اف
لك منافقا خبيثا" arey khabees
munafiq tujhper bahot afsoos hai.
Aye munafiq RASOOL E AKRAM صلى الله عليه وسلم ne zeab bin omer ko pakad kar zor se
kheencha aur kheenchte kheenchteaa masjid se nikaal diya aur phir iskey seene
per dono haatho se thappad maara k wo girgaya.
Is munafiq ne kaha aye amaara tuney mujhe bahot azaab diyahai
to unhone farmaya khuda tujhe dafa karey jo KHUDA TA'ALA ne tere liye azaab
tayyar kiya hai wo issey bhi sakht tar hai.
(AAPKE DUSHMAN SE KYA RISHTA HAMARA YA RASOOL ALLAH ﷺ, PAGE 23)
MALHIDO SE KYA MURAWAT KIJIYE
Banu najaar qabeela k do sahaba ABU MUHAMMED MASOOD رضي الله عنه jo k badri sahabi the ABU MUHAMMED
MASOOD رضي
اله عنه ne qais bin umro ko jo
munafiqeen me se naojawaan tha gaddi per maarni shuru kiya hata k masjid se
baahar nikaal diya.
Aur HAZRAT ABDULLAH BIN HAARIS رضي الله عنه ne jab suna k HUZOOR ﷺ ne munafiqo ko nikaal dene ka hukum farmaya hai.
Haaris bin umro ko sar k baalo se pakad kar zameen per
ghaseet'te ghaseet'te masjid se baahar nikaal diya, wo munafiq kehta tha aye
ibne haaris tuney mujhper bahot sakhti ki hai.
To unhone jawaab me farmaya aye khuda k dushman tu isi layeq
hai aur tu najas hai aur paleeda hai, aayinda masjid k khareeb na aana, idhar
ek sahabi ne apne bhai zawi bin haaris ko sakhti se nikal kar farmaya afsoos
hai k tujhper shaetaan ka tasallut hai.
(SEERAT IBNE HISHAM)
DARS E IBRAT:
Ahle insaaf ko in waqe'aat se ibrat haasil karna kaafi hai
kyu k mansha ezdi aur taqazaye hubbe rasool ﷺ yahi hai balkey jumla ambiya e kiraam ki bhi yahi sunnat hai.
Chunanche HAZRAT IBRAHIM عليه السلام k liye ALLAH TA'ALA ne farmaya,
TARJUMA:
Beshak tumhare liye achi paerwi thi ibrahim aur iskey saath
walo me jab unhone apni qaom se kaha beshak hum bezaar hain tumse aur inse
jinhey tum ALLAH k siwa poojte ho hum tumhare munkir huye ur hum me aur tum me
dushmani aur adawat zaahir hogi hamesha k liye jab tak tum ek ALLAH par imaan
na laao.
(PARA 28, SUREH AL MUMTAHENAH, AYAT 4)
TAFSEER ROOH AL MAANI ME HADEES E QUDUSI MANQOOL HAI
ALLAH TA'ALA farmata
hai mujhe apni izzat ki qasam jo shaks mere dosto k sath dosti nahi karta aur
mere dushmano k sath dushmani nahi karta wo meri rahmat haasil nahi kar sakta.
(TAFSEER ROOH AL MAANI, JILD 28, PAGE 35)
Yun to hum bhi hazaar baar ye baat mu se kehte hain "فداك أبى و أمى يا رسول الله ﷺ"
Lekin haal ye hai k gustaakh ki gustaakhi jaanne pehchanne k
bawajood gustaakh se bradarana (bhai jaesa) sulook, yaraana aur malamat o
shattam boycott, hum in qudsi sifaat ki ghaerat dikhatey hain jinper islaam ko
naaz hai.
HAZRAT UBAIDA BIN JIRRAH رضي الله عنه
Syedna Abu Ubaida Bin Jirrah رضي الله عنه ne apne baap k mu se apne mehboob aaqa ki shaan me koi na
pasandeeda baat suni to isey mana kiya wo baaz na aaya to is baap ko qatal kar
diya.
ROOH AL MAANI ME IS TARAH BAYAAN HAI K
Hazrat Anas رضي الله عنه farmate hain k Ubaida Bin Jirrah رضي الله عنه ne apne baap ko apne haath se qatal kardiya jabke wo badr k
qaediyo me qaed hokar aaya, jab issey suna k wo RASOOL ALLAH ﷺ ki mazammat karta hai to pehle isey
roka jab wo na ruka to phir isey qatal kardiya.
HAZRAT SIDDIQUE E AKBAR رضي الله عنه KA SUNHERI DAOR E KHILAFAT AUR DUSHMAN E AHMED PER SHIDDAT
Hazrat Syedna Siddique e Akbar رضي الله عنه ka apne walid ko gustaakhi karne per thappad maarne ka waqeya
to pehle hi bayaan kiya ja chuka hai.
Aap رضي
الله عنه k daor e khilafat me
jhutey mad'uyaan e nabuwat maloono ne sar uthaya aap رضي الله عنه ne ISHQ E RASOOL ﷺ ki daolat e la zawaal k sabab inki aese sarkobi farmayi k
qayamat tak koi manhoos nabuwat k jhoote daawey ki jurraat na karega agar kisi
ne ye jurraat ki to Syedna Siddique Akbar رضي الله عنه k maanney walo ne isey jahannam raseed kardiya jaese rawaan
sadi me dajjal kazzaab ghulam ahmed qaadyani ne jhoota daawa e nabuwat kiya to
taajdaar golda Hazrat Qibla Peer Syed Meher Ali Shah Sahab Quddas Sura ne is
khabees ki khoob khabar li aakhir wo waasil jahannam hua.
GUSTAKHI KARNE WALEY K DAANT NIKALWADIYE
Khalifa bila fasl Afzal ul Bashar Baad al Ambiya bil tehqeeq
khalifa e Rasool Hazrat Syedna Abubakr Siddique رضي الله عنه k ehed khilafat (11 - 13 hijri) me yamama me do gaane wali
aurto me se ek ne NABI KAREEM ﷺ ko gaali galoch kiya.
To yamama k haakim Hazrat Muhajir bin Abi Ummiya رضي الله عنه ne iska haath kaat diya aur iskey
saamne waley do daant nikalwadiye isper Hazrat Syedna Siddique e Akbar رضي الله عنه ne haakim yamama ko likha k mujhe malum
hua k aap ne is aurat ko saza di hai jisne NABI KAREEM ﷺ ki shaan me gustakhi ki agar aap pehle isey ye saza suna na de
chukey hote to main aapko iskey qatal ka hukum deta.
KHALIFA E AWAAL SE YE ALFAAZ IS TARAH MANQOOL HAI
Agar aap mera faesla aane se pehle is khatoon ko saza na dete
to main aapko isey qatal karne ka hukum deta pas musalmano me se jo is burayi
(gustakh e rasool) ka murtakab hota hai, wo murtad yaani islaam se kharif hai
aur agar aesa shaks kisi mu'ahede k tehet amaan ya fata hai tab aesa shaks
harbi hai aur musalmano se ghaddari karne wala hai.
(TAREEKH AL KHULAFA, PAGE 18)
(TAREEKH AL TABRI, JILD 2, PAGE 305)
Hazrat Abubakr Siddique رضي الله عنه k is hukum se kuch baatey sabit hoti hain.
Aap رضي
الله عنه NABI KAREEM ﷺ ki shaan me gustakhi karne waley ko
wajib al qatl qaraar dete hain.
Khwaah k aesa shaks muslim ho ya muaheda.
Khwaah wo mard ho ya aurat.
Aese shaks ka qatl bataor had hoga bataor tazeer nahi.
Aese shaks ki had ki saza taoba karne se pehle nafiz ki
jayegi.
Kyu k Ambiya عليه السلام k hawaley se hudood ka nifaaz aam insano k liye hudood k nifaaz
se mukhtalif hota hai.
Jabkey haakim yamama Muhajir bin ummiya رضي الله عنه is aurat per pehle hi apne ijtehaad se
had ki saza nafiz kar chukey the, isiliye khalifa e awwal ne wo hadey qayem
nahi ki.
GUSTAAKH IMAM MASJID KO QATAL KARADIYA
Surah "عبس
وتولى" ka shaan e nuzool
mufassireen e kiraam ne bayaan kiya hai k HUZOOR ﷺ ROSA quresh ko daawat pahonchane me mashghool the aapki
tamaam tar tawajja inhi ki taraf thi achanak nabeena sahabi Hazrat Abdullah رضي الله عنه bin umme maktoom bargaah e risaalat ﷺ me haazir huye.
Ye aoleen muhajireen me se the amuman haazir khidmat hote
rehte, taleemaat deen haasil karte, masayel daryaaft karte, hisb e mamool aaj
bhi aatey hi sawalath kiya.
Nabeena hone k waja se aadaab e majlis ka khayaal na rakh
sakey aagey badhkar HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ko apne taraf mutawajja o raaghib karna chaha aap is waqt
chonkey ek ehem amar me mashghool o masroof the so mutawajja na huye, silsila
jaari rakha.
Hazrat Abdullah رضي الله عنه apna mu aagey karte daoraan e guftagu khalal andaazi per chehra
e aqdas per kuch ranj o malaal ki kaefiyat zaahir huyi isper BAARI E TA'ALA ne
ye aayat naazil ki.
Jinme NABI KAREEM ﷺ ko is amar ki talqeen ki gayi wo na samajh tha iski diljoyi bhi
to maqsood thi aese asaar chehra e aqdas per zaahir nahi hone chahiye taakey
aesa mukhlis sahabi aapki shafaqat o diljoyi se mehroom na ho.
Ab zahiran is aayat e karima me tambia ki kaefiyat paaayi
jaati hai.
Is surah k nuzool k baad munafiqeen ne shor macha diya k
(maaz'ALLAH) ALLAH TA'ALA NABI KAREEM ﷺ par naraazgi ka izhaar farmata hai aur logo k dilo se Muhabbat
e Mustafa ﷺ khatam karne ki saazish k liye is surat
ki tilawat baar baar karte.
Hazrat Syedna Farooq e Azam رضي الله عنه k daor e khilafat me ek munafiq imam masjid ka ye mamool tha wo
amuman fajar ki namaz me yahi surat padhta aur dil me ye kaefiyat muraad leta k
ye wo surat hai jisme ALLAH TA'ALA ne HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ko tambiha farmayi hai.
Ye baat Syedna Omer Farooq رضي الله عنه tak pahonchi k munafiqeen me se ek shaks apni qaom ki imamat
karata hai wo ba jamaat namaz me surah "عبس
وتولى" hi padhta hai aapne isey
bula bheja baghaer mazeed tehqeeq k iska sar qalam karwadiya.
(Tafseer Rooh Ul Bayaan, Jild 10, Page 258)
(Tafseer Haqqi, Jild 16, Page 490)
Yaha ye baat qabil
tawajja hai Hazrat Omer Farooq رضي الله عنه per is shaks k amal se ye baat az khud mutahaqqaq hogayi aur
aapko yakeen kaamil haasil hogaya k isi surat ko madawamat o hameshgi se padhne
ka sabab o illat dar parda be adabi o gustakhi hai.
Kuch aur alamaat bhi gustakhaan e rasool ki aapkey pesh e
nazar thi, iskey sath hi HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k sath iskey bughz o inaad, hasad o keena ki kaefiyaat bhi
iskey gustaakh e rasool ﷺ hone per wazeh
dalalat kar rahi thi.
Ye baat layaq tawajja hai k is shaks ne zabaan se qaolan
ya faalan, isharatan ya kinayatan kisi bhi surat me SHAAN E RISALAAT ﷺ me tanqees o tehqeer per mushtamil koi
kalma aapke saamne nahi kaha balkey mehez iskey amal aur mustaqal mamool se
amar waqey aap per muhaqqiq hua.
Iskey dil me gustakh e rasool ﷺ panhaan hai ya ye in logo me se hai jinka ishara HUZOOR NABI
KAREEM ﷺ ne farmaya hai.
So kisi mazeed tehqeeq o tafteesh aur safayi ka maoqa diye
baghaer k kis niyyat se tum padhte ho, kisse nahi, niyyat kiya aetebaraat ko
tark karte huye tafseelat me jaaye baghaer be adabi o gustakhe rasool ﷺ k jurm per iska sar qalam kardiya.
AB BHI LIBAAS KHIZAR ME HAZARO REHZAN PHIRTE HAIN
Daor e haazir me bhi bahot saarey naam nihaad islam k
thekedaar bankar dars e quran ki mehfil sajakar saada looh logo ko buto ki
mazammat me naazil hone wali aayaat padhkar MEHBOOBAN E KHUDA BIL KHUSOOS SYED
UL AMBIYA ﷺ se dur karne ki saazish kar rahe hain.
Aese behrupiyo se khabardaar rahey jo QURAN ki aad me
gustakhi o be adabi ka jaal phaela rahe hain.
WAHABI, DEOBANDI NAJDI, KHWARIJ, ki gustakhi o be adabi inki
kutub me wazeh hain inse khud bhi bachey aur apni aolaad ko bhi bachaye.
Kaash aaj HAZRAT FAOOQ E AZAM رضي الله عنه hotey QURAN ki aad me gustakhi o be adabi karne walo ko sar e
aam sooli latkatey, ALLAH hamare muslim hukumrano ko ghaerat imaani k jazbe se
sarshaar farmaye.
AAGEY K PARTS PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY...
POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ"
Ishq e Nabi ﷺ
JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
No comments:
Post a Comment