HAEZ O NIFAAS KA BAYAAN
HAEZ KI TAREEF:
Baligha ladki k aagey k muqaam se jo khoon aadi taor per
nikalta hai aur bimari ya bacha hone ki waja se na hawa se hua HAEZ kehte hain
aur bimari se hua to istehaaza aur bacha hone k baad ho to nifaas kehte hain.
MASAYEL
HAEZ ki muddat kam se kam 3 din aur 3 raate hain yaani
purey 72 ghante se zara bhi pehle khatam hojaye to HAEZ nahi balkey istehaaza
hai, haan agar subah ko kiran chamakte hi shuru hua aur 3 din 3 raatey puri
hokar kiran chamakne hi k waqt khatam hua to HAEZ hai aur is surat me 72 ghante
pura hona zaruri nahi.
ALbatta kisi aur waqt shuru ho to ghanto hi se shumaar
hoga aur 24 ghante ka ek din raat liya jayega.
(BAHARE SHARIYAT)
10 raat din se kuch bhi zyada khoon aaya to agar ye HAEZ
pehli martaba isey aaya hai to 10 din tak HAEZ hai baad ka istehaaza aur agar
pehle isey HAEZ aa chukey hain aur aadat 10 din se kam kit hi to aadat se jitna
zyada hua istehaaza hai isey yu samjho k paanch din ki aadat thi ab aaya 10 din
se kam to kul HAEZ hai aur 12 din aaya to 5 din HAEZ k, baaqi 7 din istehaazar
k.
Aur agar ek haalat muqarrar na thi balkey kabhi 4 din
aaya kabhi 5 din aaya to pichli baar jitney din aaya itne hi din HAEZ k samjhe
jaye baaqi istehaaza hai.
Ye zaruri nahi k muddat me har waqt khoon jaari rahey
jabhi HAEZ ho balkey agar baaz waqt aaye jab bhi HAEZ hai.
HAEZ AANEY KI UMAR
Kam se kam 9 baras se HAEZ shuru hoga aur intehaayi umar HAEZ
ki 55 saal ki umar hai, is umar wali ko aayisa aur is umar ko san ayaas kehte
hain.
(ALAMGIRI)
MASAYEL
9 baras ki umar se pehle jo khoon aaya wo istehaaza hai,
yun hi 55 saal ki umar k baad jo khoon aaye wo istehaaza hai, albatta agar 55
baras ki umar k baad khaalis khoon aaye ya jaesa pehle aata tha isi rang ka
aaya to HAEZ hai.
(ALAMGIRI)
Hamal wali ko jo khoon aaya istehaaza hai, yu hai bacha
hote waqt jo khoon aaya aur abhi bacha aadhe se zyada baahar nahi nikla to wo
istehaaza hai.
Do HAEZo k darmiyaan kam se kam purey 15 din ka faasla
zaruri hai yun hi nifaas o HAEZ k darmiyaan bhi 15 din ka faasla zaruri hai to
agar nifaas khatam hone k baad 15 din purey na huye the k khoon aaya to ye
istehaaza hai.
HAEZ is waqt shumaar kiya jayega jab k khoon firf kharij
me aagaya to agar koi kapda rakhliya hai jiski waja se khoon firj kharij me
nahi aaya dakhil hi me ruka raha to jab tak kapda na nikalegi HAEZ wali na hogi
namaazey padheygi, roza rakhegi.
HAEZ K RANG
MASAYEL
HAEZ k 6 rang hain, siyaah, surkh, sabz, zard, gadla,
mateela, safed rang ki ratobat HAEZ nahi.
10 din k andar ratubat me zara bhi ma’elapan hai to wo HAEZ
hai aur agar 10 din raat k baad bhi maelapan hai to adat wali k liye jo din
adat k hain itne din haez k aur adat k baad wale istehaaza aur agar kuch aadat
nahi to 10 din raat tak HAEZ baqi istehaaza hai.
Jis aurat ko umar bhar khoon aaya hi nahi yam agar 3 din
se kam aaya to umar bhar wo paak hi rahi aur agar ek baar 3 din raat khoon aaya
phir kabhi na aaya to wo faqat 3 din raat HAEZ k hain baqi hamesha k liye paak.
NIFAAS KA BAYAAN
NIFAAS KI TAREEF AUR MUDDAT
Nifaas yaani wo khoon jo bacha janne k baad aata hai
(matoon) iski kami ki jaanib koi muddat muqarrar nahi aadhe se zyada bacha
nikalne k baad ek aan bhi khoon aata to nifaas hai aur zyada se zyada nifaas ka
zamana chalees din raat hai.
MASAYEL
Nifaas ka shumaar is waqt se hoga jab k aadey se zyada
bacha nikal aaya.
Tambi’aa
Is bayaan me jahaan bacha hone ka lafz aayega aur iska
matlab aade se zyada bacha baahar aa jaana hai.
Kisi ko 40 din se zyada khoon aaya to agar iskey pehli
baar bacha paeda hua hai ya ye yaad nahi k issey pehle bacha paeda hone me
kitne din khoon aaya tha to in dono surto me 40 din raat nifaas hai baqi
istehaaza aur jo pehli aadat malum hai to aadat k dino tak nifaas hai aur jitna
din zyada aaya to istehaaza aur jo pehli adat malum hai to adat k dino tak
nifaas hai aur jitna din zyada aaya wo istehaaza hai jaese aadat 30 din kit hi.
Is baar 45 din aaya to 30 din nifaas k aur 15 istehaaza k
hain.
Bacha paeda hone se pehle jo khoon aaya wo nifaas nahi
balkey istehaaza hai agarche bacha aadha baahar agaya ho.
Hamal saaqat hone se pehle kuch khoon aaya kuch baad ko
to pehle wala istehaaza hai baad wala nifaas hai lekin ye is surat me hai jab
koi azu ban chukka ho warna pehle wala agar HAEZ ho sakta hai to HAEZ hai nahi
to istehaaza hai.
40 din k andar kabhi khoon aaya kabhi nahi to sab nifaas
hi hai, agarche 15 din ka faasla hojaye.
Is rang k baarey me wahi ehkaam hain jo HAEZ me bayaan
huye.
HAEZ O NIFAAS K EHKAAM
MASAYEL
HAEZ o nifaas ki haalat me namaz padhna roza rakhna haraam
hai.
In dino me namazey muaaf hain, inki qaza bhi nahi albatta
rozo ki qaza in dino k baad rakhna farz hai.
Namaz k waqt me wazu karkey itni der tak zikr e ilahi
durood e shareef aur dusrey wazeefey padhliya karey jitni der namaz padha karti
thi taakey aadat rahey.
HAEZ o nifaas wlai ko QURAN MAJEED padhna dekhkar ho ya
zubani aur iska choona agarche jild ya choli ya hashiya ko ungli ki nok ya
badan ka koi hissa lagey ye sab haraam hain.
Kaaghaz k parche per koi aayat likhi ho iska choona bhi
haraam hai.
QURAN MAJEED jizdaan me ho to is jizdaan k chooney me
harj nahi.
Is haalat me QURAN MAJEED aur deeni kitabo k chooney k
sab ehkaam wahi hain jo be ghusul waley k hain jiska bayaan ghusul me guzra.
Muaallama ko HAEZ o nifaas ho to eke k kalma saans to d
tod kar padhadey aur hijje karane me koi harj nahi.
Is haalat me dua e qunoot padhna makrooh hai.
QURAN MAJEED k alawa aur tamaam azkaar, kalmia shareef,
durood e shareef waghaera padhna bila karahat jayaz hai, balkey mustahib hai
wazu ya kulli karkey padhna behtar hai aur waese bhi harj nahi, aur inkey
chooney me bhi harj nahi.
Jimaa is halaat me haraam hai albatta letne baethne sath
khaaney peeney aur bosa lene me harj nahi.
ISTEHAAZA KA BAYAAN
ISTEHAAZA KI TAREEF AUR HUKUM
Wo khoon jo aurat k aagey k muqaam se nikley aur haez o
nifaas ka na ho wo istehaaza hai.
MASAYEL
Istehaaza me na namaz muaaf hai na roza muaaf hai na aesi
aurat se jimaa haraam hai.
Istehaaza agar is had tak pahoch gaya k itni mohlat nahi
milti k wazu karkey farz namaz ada kar sakey to namaz ka pura ek waqt shuru se
aakhir tak isi haalat me guzar jaane per isko maazoor kaha jayega, Ek wazu se
is waqt me jitni namazey chahey padhe khoon aaney se is ek purey waqt k andar
tak wazu na jayega.
Agar kapda waghaera rakh kar itni der tak khoon rok saki
hai k wazu karkey namaz padhley to maazoor nahi.
(QANOON E SHARIAT)
POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ"
Ishq e Nabi ﷺ
JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
No comments:
Post a Comment