Saturday, October 17, 2015

APKE DUSHMAN SE KYA RISHTA YA RASOOL ALLAH ﷺ PART 06

NAZAR BIN HAARIS K QATAL KA HUKM

Nazar bin haaris bhi badr k qaediyo me se tha, aqba bin abi ma'eet aur nazar bin haaris sirf yahi do qaedi the jinhey NABI KAREEM ﷺ k hukum k tehet qatal kiya gaya in dono k siwa kisi badri qaedi ka qatal nahi hua.
(Al Saaram, Al Maslool)

Ghazwa e Badr k tamaam qaediyo me se sirf nazar bin haris aur aqba bin abi ma'eet ko qatal karne ka sabab ye tha k wo dono apne qaol o feyl se RASOOL ALLAH ﷺ ki shaan me gustakhiyaan kiya karte the.
(Kitab Al Shifa)

KAON HAI JO KAAB BIN AL ASHRAF KO WAASIL JAHANNAM KAREY..???

IMAM BUKHARI O IMAM MUSLIM k alawa IBNE ISHAAQ, IBNE SAAD, WAAQDI AUR IBNE AL ASEER waghaera ne naqal kiya hai k bani nazeer qabeele ka yahoodi kaab bin al ashraf jo RASOOL ALLAH ﷺ aur aap sahaba k khilaaf hujuya ashaar logo ko sunakar unhey RASOOL ALLAH ﷺ k khilaaf bhadkata tha.

Ghazwa e Badr me kuffar e makkah ki shikast per isey bahot dukh hua, wo madine se makkah gaya aur waha jaakar isne badr me maqtuleen e quresh k marsiya kahe, phir waapas aakar isne ek muslim khatoon umme al afzal binte haarish aur degar muslim khwateen k mutalliq ishqiya ashaar kahe.

RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya, YA ALLAH KAAB IBNE AL ASHRAF K aelaan e shar aur sher kehne ko jis tarah chahe mujse rok de.
(AL Maghazi, Jild 1, Page 70)

Aap ﷺ ne ye bhi farmaya, Ibne al ashraf k khilaaf kaon meri madad karega?  Isne mujhe ezaa pahochayi hai.

(Al Mustadrak Ala Al Sahiheen, Jild 3, Page 492)
(Al Maghazi, Jild 1, Page 70)

Hazrat Muhammed bin Muslima رضي الله عنه ansaari ne arz kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ, main isey qatal karunga aap ﷺ ne inko kaab bin al ashraf k qatal ki ijazat dedi.

Hazrat Muhammed Bin Muslima رضي الله عنه ne is kaam ki fikr me khana peena chod diya, RASOOL ALLAH ﷺ ne inhey bulakar pucha, aye muhammed! kya tumne khaana peena tarak kardiya hai?

Unhone arz kiya, YA RASOOL ALLAH ﷺ maine aap k sath jo waada kiya hai iskey qabil hoon ya nahi, aap ﷺ ne farmaya tum per sirf koshish karna farz hai, aap ﷺ Hazrat Muhammed Bin Muslima رضي الله عنه ko is silsile me Hazrat Saad bin Maaz رضي الله عنه se mashwara karne ki naseehat farmayi.

Iskey sath Hazrat Ibaad bin Bashar رضي الله عنه, Hazrat Abu Naayela Salkaan bin Salaama رضي الله عنه, Hazrat Haaris bin oos رضي الله عنه aur Hazrat Abs bin Jabar رضي الله عنه bhi RASOOL ALLAH ﷺ ki ijazat se is mehem me shareek kaar hogaye.

Jis raat Kaab bin ashraf ko qatal kiya gaya RASOOL ALLAH ﷺ is raat haalat e qiyaam me rahe aur namaz ada farmate rahe subah jab aap ﷺ ne inkey naarey haaye takbeer ki awaazey suni k kaab ko qatal kardiya gaya hai.

Wo log waapas pahoche to unhone aapko masjid e nabawi k darwaze per khada paaya aur unhone aapko kaab k qatal me kamiyaabi ki khush khabri sunayi.

Hazrat Allama Qazi Ayaaz رحمة الله عليه likhte hain k RASOOL ALLAH ﷺ ne kaab bin ashraf ko qatal karne ki waja ye bayaan farmayi.

فانه يؤذى الله ورسوله
Isne ALLAH aur uskey RASOOL ko aziyat pahochayi hai.

Ye Hadees is baat per daleel hai k kaab ka qatal shirk nahi balke ALLAH k mehboob ko ezaa pahochane ki waja se tha.

(Al Shifa, Jild 2, Page 487)

GUSTAAKH ABU RAAFEY WAASIL JAHANNUM HUA

Ibne Hishaam k mutabiq qabeela oos ne jab GUSTAKH E RASOOL ﷺ Kaab bin al ashraf yahoodi ko qatal kiya to khazraj walo ne kaha k ye nahi ho sakta k hum oos se piche reh jaaye aur wo humse sabaqat le jaaye.

Unhone aapas me mashwara kiya k ab kaon hai jo RASOOL ALLAH ﷺ se adawat rakhta ho jaese kaab bin al ashraf tha, unhone taye kiya k AAP ﷺ se aesi adawat rakhne wala abu raafey salaam bin abi al haqeeq hai jo khaebar me rehta hai.

Qabeela khazraj walo ne RASOOL ALLAH ﷺ ki khidmat me haazir hokar isey waasil jahannum karne ki ijazat chahi aur AAP ﷺ ne ijazat dedi.

SAHIH BUKAHRI me Hazrat Baraa Bin Aazab رضي الله عنه se marwi ek riwayat k mutabiq abu raafey apne qiley waqey hijaaz me rehta tha, ye GUSTAAKH E RASOOL ﷺ tha aur aapke mukhalifeen ki madad karta tha.

Wo RASOOL ALLAH ﷺ ko ezaa pahochata aur aap ﷺ k khilaaf sharartey karta rehta tha, RASOOL ALLAH ﷺ ne abu raafey ko qatal karne k liye khazraj k qabeeley bani salma k 5 afraad ko mamoor farmaya wo ye hain...

Hazrat Abudllah Bin Ateek, Hazrat Masood bin Sannaan, Hazrat Abdullah bin Anees, Hazrat Abu Qatada Al Haaris bin Raabiy, Aur Hazrat Khazayi bin Masood رضي الله عنهم اجمعين.

Hazrat Abdullah bin Ateek رضي الله عنه ne abu raafey ko iskey qiley me daakhil hokar qatal kar diya aur RASOOL ALLAH ﷺ ko iskey qatal ki khush khabri sunayi, Abu Raafey 3 hijri me qatal kiya gaya.
(Bukhari, Kitaab Al Maghari)

AGAR KAABE K GHILAAF ME CHUPE HUYE HO TO QATAL KARDIYA JAAYE

Fateh makkah k maoqe per RASOOL ALLAH ﷺ ne "انتم الطلقاء" jao tum azaad ho ka aam aelaan muaafi farmakar hazaro kuffar ko panaah di magar chand aese dushman the jinke mutalliq farmaya k agar ye ghilaaf e kaaba me lipte huye ho to inki gardan udaa di jaaye inme chand ek ka zikr aaiye mulaheza kijiye.

ABDULLAH BIN KHATAL

Abdullah bin khatal in gustaakhaan e risaalat me se tha k jiski gustakhana harkaat per isey qatal karne ka hukum diya gaya tha, isne do laondiyaan rakhi huyi thi jinke naam faratna aur arnab the.

Wo RASOOL ALLAH ﷺ ki huju me sher kehta tha aur iski laondiyaan in hujuiyaa ashaar ko gaati thi, RASOOL ALLAH ﷺ ne fateh makkah k maoqe per hukum diya tha k agar isey kaabe k ghilaaf me chupa hua paao to bhi qatal kardo.

Wo ghilaaf e kaaba me chupaya gaya to isey wahi qatal kardiya gaya isey irtedaad me qatal kiya gaya.

Ek riwayat hai k isey Hazrat Ammaar bin Yasir رضي الله عنه k qasaas me qatal kiya gaya.
(Sunan Nisayi, Kitaab Al Mahareba)

FARTINA AUR ARNAB

Ye dono abdullah bin khatal ki laondiyaan thi, ye dono mughniya thi, RASOOL ALLAH ﷺ ki huju gaaya karti thi, in dono me se ek qatal kardi gayi.

Waaqdi ne likha hai k jisey amaan mili aur jo islam le aayi thi wo faritna thi, ye aorat Hazrat Syedna Osman Ghani رضي الله عنه k ehed me pasliyaan toot jaane ki waja se faot huyi.
(Waaqdi, Kitaab Al Maghari)

HAWIRAS BIN NAQEEZ

Hawiras bin naqeez wahab jo MAKKAH me RASOOL ALLAH ﷺ ko aziyatey diya karta aur aap ﷺ ki huju kehta tha.

Fateh Makkah k maoqe per isne apne ghar se nikal ka rmukhtalif gharo me chupte chupate bhaag jaane ki koshish ki lekin Hazrat Syedna Ali Karam ALLAH Wajha Ul Kareem رضي الله عنه ne isey pakad kar qatal kardiya.
(Ibne  Al Aseer Al Kamil, Jild 2)

SAU SALL BUDHA GUSTAAKH

Abu afak sau sall ka budha yahoodi tha, wo logo ko RASOOL ALLAH ﷺ ki mukhalifat per bad angekhta aur ash'aar kehta tha, ghazwa e badr k maoqe per jab RASOOL ALLAH ﷺ jihaad k liye tashreef le gaye aur jab aap fateh k baad waapas madina munawara tashreef laaye to abu afak ka hasad k maarey bura haal hogaya.

Is maoqe per bhi isey sher kahey, RASOOL ALLAH ﷺ ne hijrat k 26 wi mahine abu afak k qatal k liye Hazrat Salam bin Umer Al Ammari رضي الله عنه ko bheja, garmi k maosam me abu afak ek raat maedaan me soya hua tha k Hazrat Salam bin Ameer رضي الله عنه ne talwaar se isey qatal kardiya.
(Sahih Bukhari, Kitab Al Maghazi)

GUSTAKH RASOOL AUR HAMARE ASLAAF

Haroon Al Rasheed Baadshah ne Imam Malik رضي الله عنه se masle pucha gustakh e rasool ki saza kya kodey se maarna kaafi nahi isper Hazrat Imam Sahab ne farmaya, Aye Ameer ul Momineen! gustaakh e rasool gustakhi k baad bhi zinda rahe to phir ummat ko zinda rehne ka haq nahi.

RASOOL ALLAH ﷺ k gustaakh ko filfoor giraftaar karkey qatal kardiya jaye.

Rad Ul Mukhtar me Imam Muhammed bin Sahnoon ki riwayat hai k tamaam ullama ka isper ijma hai HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ki gustaakhi karne wala aapki shaan me kami karne wala kafir hai aur tamam ummat k nazdeek wo wajib al qatal hai.
(Rad Ul Mukhtar, Jild 3)

Ameer Ul Momineen Hazrat Omer bin Abdul Aziz رضي الله عنه k tarikhi alfaaz mulaheza ho, jo SHAKS HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ki gustakhi karey iska hoon halaal aur mubah hai.

SAHIH BUKHARI me hai Hazrat Ali رضي الله عنه ne ek maoqey per shaatmeen rasool ko qatal karne k baad jaladene ka hukum saadar farmaya.

Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه ne irshad farmaya jo kisi nabi ko sabb (gustakhi karna ya bura kehna) karey isey qatal kardo jo kisi sahabi ko bura bhala kahey isey kodey maaro.

AL ASHABA WAN NAZAYER me hai, kafir agar taoba karey to iski taoba qubool karli jaye lekin is kafir ki taoba qubool nahi jo NABI KAREEM ﷺ k huzoor gustakhiyaan karta hai.
(Az Maolwi Baha ul Haq Amritsari, Matbua 1357 hijri)

GUSTAKH E RASOOL RESINOLD AUR SULTAN SALAH UDDIN AYUBI رحمة الله عليه

Shaam k firangi farman rawa me Resinold sabse zyada farebkaar, fitna parwar aur musalmano ka dushman tha, shar o fasaad iski fitrat me shamil tha, zyadatar wahi salibiyo ko musalmano k khilaaf bhadkata rehte tha.

Isko islam aur musalmano se itni adawat thi k isne 578 hijri me MAKKAH MUKARRAMA aur MADINA MUNAWARA per lashkar kashi karte huye hamla karne ka napak irada kiya magar KHUDRAT E ILAHI k wo isko pura na kar saka.

Ek saal baad 579 hijri me isne dubara apni makrooh koshish ki lekin ab ki martaba isko phir nakami ka mu dekhna pada.

LAYN PAUL likhta hai, Resinold ne jazeera numa arab per faoj kashi ka qasad kiya taakey MADINA TAYYABA me HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k ROZA E MUBARAK ko munhadam aur MAKKAH MUKARRAMA me khana kaaba ko masmaar karde.

Iskey liye isne aese jahaaz tayyar karwaye the jinke tukde ho sakte the in tukdo ko wo karak se khaleej aqba k saahil per legaya aur inhey jod kar jahaazo ka ek beda tayyar kiya aur aezaab ko laotne par chala.

Aezaab beher e qulzim k afriqi saahil per waqey tha isne do jahazo ko beech me daalkar ayela ka behri raasta band kardiya, musalmano ko iski khabar huyi to inka jahazi beda eesaiyo k bedey ka taaqub me chala.

Iska ameer aljar laolu tha isne aatey hi pehle aela ka behri raasta khola aur apni faoj ko alhoora tak jo beher e qulzim ki choti bandargaah thi le aaya, resinold ne isi bandargaah se MADINA MUNAWARA per hamla ka irada kiya tha.

Firangiyo ne junhi islami faoj ko aatey dekha to wo aese ghabraye k jahazo se utar kar pahado ki jaanib bhaag gaye, laulu ne badduo se ghode lekar sipahiyo ko inper sawaar kiya aur daod kar dushman ko ghaar aur baagh me ja pakda aur inke tukdey udadiye.

RESINOLD khud bhaag gaya magar iske sath walo me bahot se log qatal kiye gaye.
(Layn Paul, Salahuddin, Page 156, Bahawala Tareekh Al Islam, Shah Moinuddin Nadwi, Jild 4)

Hazrat Shah Abdul Azeez Qudus Sarah apni tafseer FATAH UL AZEEZ qaol ta'ala ودوا لو تدهن فيدهنون ki tafseer me Hazrat Sahal bin Abdullah Tastari رحمة الله عليه se naqal farmate hain.

Haqaeq tanzeel me hai k mard sahih ul imaan aur momin khalis k liye laazim hai k gumrahi se ans na pakde aur na inkey sath majlis kare aur na meyl jool rakhey,

Aur na inkey hamraah khaaye piye aur iski zaat me se gumraho k sath nafrat aur adawat ka izhaar ho aur jo shaks bad aqeeda logo se dosti aur pyaar karta hai isse Noor e Imaan salab hojata hai yaani wo kafir margaya.

Aur aesa hi TAFSEER ROOH UL MAANI me mazkoor hia isliye k tamaam gumrah firqe dozakhi hain bajuz firqa ahle sunnat wa jamaat aur wo aaj k din mazaheb ayema arba me munhasir hai.
(Tafseer Azizi, Para 29, Afghani Dar ul Kutub, Laal Kuwaan, Dehli, Page 56)

TAHTAAWI HASHIYA DUR E MUKHTAR KITAB ZABAEH me farmaya jo shaks jamhoor ahle ilm wa fiqh sawaad e azam se juda hojaye wo aesi cheez me tanha hua jo usey dozakh me le jayegi.

To aye girwah muslimeen, tumper firqa najiya ahle sunnat wa jamaat ki paerwi laazim hai k khuda ki madad aur iska hafiz o kaarsaaz rehna muwafiqat ahle sunnat me hai.

Aur iska chod dena aur ghazab farmaa aur dushman banana sunniyo ki mukhalifat me hai aur ye nijaat dilane wala girwah ab chaar mazaheb me mujtami hai.

Hanafi, Maliki, Shafayi, Hambali ALLAH TA'ALA in sab per rehmat farmaye, is zamane me in chaar se bahar hone wala jahannami hai.

(Hashiya Al Tahtaawi Ala Al Dar Ul Mukhtar, Kitab Al Zabaeh, Jild 4, Page 153, Matbua Dar Ul Maarifat Beerut)

HAZRAT HAJI HAFIZ SYED PEER JAMAAT ALI SHAH SAHEB ALI PURI KA GUSTAKHIYO SE RAWAIYA

KOHAAT 15 APRIL 1938 chaar din se Hazrat Haji Hafiz Peer Syed Jamaat Ali Shah Saheb Ali puri yahaan raonaq afroz hain aaj namaz e juma k baad aapne ek azeem ul shaan jalse me taqreer farmayi.

Jisme aapne 17 december 1937 k kohaat wale jalse ullama k faesla wa fatwa ki tasdeeq karte huye aelaan kiya k ullama e kiraam ka fatwa lafz ba lafz durust hai.

Mashriqi kafir, murtad aur zindeeq hai jo shaks iskey aqaed ka musaddiq o maweed hua wo bhi be imaan o kafir hai farmaya main huum deta hoon k tamaam musalmaan khususan mere sath talluq rakhne waley khaaksari tehreek se alag hojaye jo log is gumrah kin tehreek se alag na ho inka boycott kiya jaaye aur agar isi haalat me marjaye to inko musalmano k qabrastaan me dafan na kiya jaye.

Aapne ye hukum diya hai k mera jo mureed khaaksaar ya khaksariyat ka maawan hai wo khaaksariyat ko chod kar hi mera mureed ho sakta hai warna isko mere sath koi talluq na hoga malum hua k aapke is hukum ka asar ye hua k taqriban 15 khaaksaro ne aapke saamne khaaksariyat se taoba ki.

Jin me se mulla shfai uddin qazi khaaksaraan, mulla osman salaar tableegh, munshi zareef khan aur muhabbat khan salaar qabil zikar hain taoba se pehle muhabbat khan salaar mazkoor ki shadi me shumuliyat se Hazrat peer sahab ne musalmano ko rok diya tha.

Chunanche kisi musalman ne iskey haan jaakar khana khana gawara na kiya, khaaksaar e karam e ilahi farosh ne taoba nahi ki isliye peer sahab ne isko is majlis se nikalwa diya.
(Kitab Al Mashriqi Ala Al Mashriqi Az Maolwi Baha ul Haq Amritsari Matbua 1357)

HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما KA JAWAAB

Sulle Kulli k marz me mubtela gustakho se mel jool karne per Syeda Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua رضي الله عنهما ki hadees pesh karte hain.

RASOOL ALLAH ﷺ ne kabhi apni zaat k liye inteqaam nahi liya lekin agar kisi ne ALLAH TA'ALA ki hurmat o izzat ki taoheen ki to phir ALLAH TA'ALA ki khatir isse inteqaam liye.
(Kitab ul Shifa, Jild 1, Page 221)

Iski tashreeh Allam Qazi Ayaaz farmate hain jaan lo k isse ye matlab nahi k aapne us shaks se inteqaam nahi liya jisne aapko gaali di ya aapko takleef di ya aapki takzeeb ki ye to sab ALLAH TA'ALA ki hurmaat me se hain aur ALLAH TA'ALA ki hurmaat ki taoheen hai.

Isliye aapne inka inteqaam liya lekin agar kisi ne aapse suye adam sulook kiya ya qaol e feyl se aapki jaan aur maal k sath koi bad maamla kiya aur aesa karne wale ka irada aapko takleef pahochana nahi tha balke aesa isne apni fitri jablat ki bina per kiya.

Jaese baddauo ne aapse jahalat aur ujadpan ki waja se aapse koi sulook kiya ya bashri takhazo aur kamzoriyo ki bina per koi amal hogaya to aapne iska inteqaam nahi liya.

Jaese ek araabi ne aapki chadar kheench li thi hata k aapki gardan mubarak per iska nishaan pad gaya tha, aesi aurto me aapka in logo se dar guzar farmana ahsan tha.
(Kitab Ul Shifa)

Magar jo apne aapko aalim kehlaye member per baeth kar RASOOL ALLAH ﷺ k ilm per aetraaz karey ya zakheem kitabey likh kar ye sabit karne ki koshish kare k namaz pe aap k khayaal aane se namaz fasid hoti hai phir aese bad bakhto se salah ka hath badhana kaesa...???

Qazi Ayaaz likhte hain RASOOL ALLAH ﷺ islam k ibtedayi zamane me logo k dilo me apni muhabbat paeda karte, unkey dilo ko apni taraf pherte, imaan ko unke liye pasandida banate aur inki khatir madarat karte the AAP ﷺ apne sababa kiraam ki farmate the.

Tum asaani paeda karne wale banakar bheje gaye ho, na k nafrat phaelane wale.

Aur AAP ﷺ ye bhi farmate, asaani paeda kiya karo aur logo ko mushkil me na daala karo.
(Kitab ul Shifa, Jild 2, Page 225)

RASOOL ALLAH ﷺ kafiro aur munafiqo se madarat karte, unse ache andaaz se pesh aate, unki ghalat baato se chashm poshi karliya karte, unki taraf se di jaane wali takaleef bardasht karte aur unke mazalim per sabar karte the.

Lekin aaj agar wo hamare NABI KAREEM ﷺ ko ezaa pahonchaye to hamare liya jayaz nahi k hum unki aesi harkato per sabar karey.
(Fatah Ul Bari, Sharah Bukhari, Jild 10, Kitab ul Adab)

ISSEY PEHLE WALEY PARTS PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY...
PART 01 PART 02 PART 03 PART 04 PART 05

PART END...

ALLAH TA'ALA SE DUA HAI K HAMEY HAQ SAMAJNE AUR AMAL KARNE KI TAOFEEQ ATA FARMAYE... AUR HAMARI JAYAZ TAMANNAO KO QUBOOL FARMAYE...


آمين بجاه شفيع المرسلين 



POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ" 
Ishq e Nabi ﷺ

JOIN WHATSAPP GROUP

SEND YOUR NAME AND CITY
+966 556 713 059

LIKE OUR FB PAGE
www.facebook.com/ishq.e.nabi1

APKE DUSHMAN SE KYA RISHTA YA RASOOL ALLAH ﷺ PART 05

ILM E MUSTAFA  PAR HAMLA KARNE WALA

Ek martaba NABI KAREEM sahaba k hamraah kahi tashreef le ja rahe the k ek jaga muqaam farmaya to aapki oontni gum hogayi sahab e kiraam is talaash me nikley darey asna Hazrat Amara bin Hazam رضي الله عنه wapas apne kheemey me tashreef laaye to irshad farmaya

Yaaro aaj ajeeb baat huyi wo ye k RASOOL ALLAH ne farmaya oontni kahaan hai? phir hukum farmaya k jaao falaan jhaadi se oontni ki rassi phans gayi hai isey chudakar laao.

CHunanche isi tarah tha jaese HUZOOR NABI KAREEM ne farmaya, inkey kheemey me se ek wo shaks bola jisne zaid bin al laseet ki baat suni thi jo keh raha tha k RASOOL ALLAH idhar to asmaani khabron k madyiii hain lekin yaha ye haal hai k oontni ka pata nahi aur kaha k yahi baat tumhare rafeeq zain bin al laseet ne kahi thi.

Hazrat Amaara رضي الله عنه ne zaid munafiq ko gardan se pakad kar thappad maarte huye kaha, mere kheeme me aaye manhoos tu aa dhamka nikal ja mere kheemey se.
(Aelaam Al Nabuwath, Page 121, Beerut)

ISEY ANDHAA KARDE

RASOOL ALLAH ne aswad bin yazeed ki ezaa rasaani aur tamsakhar k sabab se iskey liye iski binayi khatam hone ki dua farmayi thi.
(DALAEL AL NABUWAH LAABI NAYEEM, JILD 1, PAGE 234)

اللهم أعم بصرة واثكله ولدة

Aye ALLAH isey andha karde aur isey iske ladke ki maot per rula.

Waleed bin magheera aap k nazdeek se guzra, HAZRAT JIBRAEEL عليه السلام ne iskey paau k takhne ki taraf ishara kiya, ye zakham kuch arsa qabal isey laga tha.

Hazrat Jibraeel عليه السلام k ishare se wo zakham dubara kharaab hogaya aur isi se iski maot waqey huyi.

Aas bin wayel AAP k paas se guzra Hazrat Jibraeel عليه السلام ne iskey paau k talwe k darmiyani hisse ki taraf ishara kiya, wo ek gadhe per sawaar hokar ta'if gaya.

Gadha ek zehreeley khaardaar paode per baeth gaya, aas k paau k talwe k wasti hisse me kaanta chubh gaya jo iski maot ka sabab bana.

Phir haaris bin al talatala ap k paas se guzra Hazrat Jibraeel عليه السلام ne iskey sar ki taraf ishara kiya iska sar sooj gaya aur peep se bhar gaya, saara bheja gal kar peep ban gaya aur yahi iski maot ka sabab bana.
(SEERAT IBNE HISHAM, JILD 1, PAGE 410)
(SEERAT SARWAR E ALAM MAODUDI, JILD 2)

Ye waqeaat maududi ne likhe hain jabkey khud gustakhiyaan karte thakta na tha tafseel k liye "AAYINA MAUDUDI" kitaab ka mutalla karey.

ALLAH TA'ALA NE MAZAAQ UDAANE WALO K MUTALLIQ FARMAYA

TARJUMA:

Beshak in hansne walo per hum tumhe kifayat karte hain.
(Para 14, Sureh Al Hajr, Ayat 95)

Yaani aapki taraf se hum in mazaaq udaane walo ki khabar lene k liye kaafi hain.

GUSTAKH ABU LAHAB KA ANJAAM

HUZOOR NABI KAREEM k chacha abu lahab gustakh e risalat ka mujrim tha, iska naam abdul aza bin abdul mutallib tha, Ibne Saad ne likha hai k iska chehra itna surkh aur safed tha k abu lahab k laqab se pukara jaata tha.

RASOOL ALLAH ne jab koh e safa per khade hokar MAKKA walo ko islam ki daawat di to abu lahab ne majma me se aagey badhkar sabse pehle aapki mukhalifat ki aur kaha tumhari barbaadi ho.

Kya tumne isliye hamey jama kiya tha wo RASOOL ALLAH k baarey me bahot zyada jhoot bakta aap k darwaze per koda kirkat phenk deta tha.

GHAZWA E BIDR me kuffar ko shikast huyi jisme MAKKA walo k bade bade soorma waasil jahannam huye is shikast ki khabar jab MAKKA pahonchi to abu lahab ko itna dukh hua k wo saat din se zyada zinda na reh saka.

Wo "ADSA" naami bimari me mubtela hua jo ta'oon se milti julti hai is bimari k daoraan iskey ahle khaana ch'ooth k dar se iskey khareeb na aatey the, marne k baad bhi 3 din tak koi iski laash k khareeb na aaya.

Iski laash sad gayi aur isse badbo aane lagi jab logo ne iskey bete ko taane dene shuru kiye to unhone kuch habshiyo ko ijrat dekar iski laash uthwayi aur inhi habshiyo ne isey dafan kiya.

Ek riwayat me ye bhi aata hai k unhone gadha khoda aur lakdiyo se iski laash ko dhakel kar isme phenk diya aur upar se mitti aur pathar daalkar isey pur kardiya.

(SEERAT IBNE HISHAM, JILD 2)

EK SHAKS KA YAHOOD KO QATAL KARNA

Hazrat Ali رضي الله عنه se riwayat hai k RASOOL ALLAH ko ek yahudiya bura kaha karti thi wo aap ko hajubhi kehte thi, ek shaks ne iska gala ghont kar isey halaak kardiya, RASOOL ALLAH ne iska khoon muaaf kardiya.
(Sunan Abu Daood, Kitab Al Hudood)

Faeda

Is riwayat ki sehet e sanad k mutalliq baaz log aetraaz karte hain lekin imam e wahabiya ibne taymiyya ne is riwayat k mutalliq kaha hai k ye hadees jayyad hai, kyu k iskey raawi imam shaabi ne Hazrat Syedna Ali رضي الله عنه ko dekha.

Aur Aapse sharaha hamdaani ki hadees riwayat ki hai agar ye hadees mursal bhi samjhi jaati ho tab bhi bil'ittefaaq hujjat hai kyu k muhaddiseen k nazdeek imam shaabi ki hadees sahih hai.

Hazrat Syedna Ali Karam ALLAHU WAJHA Ul Kareem
رضي الله عنه aur inkey saqa ashaab ki ahadees k sabse bade aalim imam shaabi hain, ibne taymiyya mazeed kehta hai k ye hadees is yahudiya k qatal k jawaaz per nas hai kyu k isney RASOOL ALLAH ko bura kaha tha.

Ye hadees ek zimmi gustaakh ko qatal karne per daleel hai to ek musalmaan mard ya aorat agar RASOOL ALLAH ko gaali de to inka qatal badarja oola jayaz hai.
(Nisaram Al Maslool)

NABEENA SAHABI KA GUSTAAKHI KARNE WALI APNI LAONDI KO QATAL KARNA

Sunan Nisayi aur sunan abu daood waghaera me hai Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنهما se marwi hai k, ek nabeena sahabi ki ek laondi thi jiskey batan se inkey do bache the wo laondi aksar RASOOL ALLAH ko bura kehte.

Nabeena sahabi isey baar baar daant'te lekin wo baaz na aayi ek raat isney phir RASOOL ALLAH ka tazkera kiya aur aap ko bura kehne lagi nabeena sahabi se zabt na ho saka unhone takiya uthaya aur uskey pet per rakh kar daba diya yahaan tak k wo mar gayi.
(Sunan Abu Daood, Sunan Nisayi, Al Tabraani Al ajam Al Sagheer)

Ek riwayat me hai k wo haamela thi is lamhe ki takleef ki shiddat se iskey hamal ka bacha iski taango k darmiyaan ja gira, subah jab wo murda paayi gayi to logo ne iska zikar RASOOL ALLAH se kiya.

Aap ne sabko jama kiya aur farmaya main is shaks ko ALLAH ki khasam deta hu jisper mera haq hai k wo shaks jisne is laondi ko qatal kiya hai wo khada hojaye, ye sunkar nabeena sahabi darey aur khaoff se girte padte haazir huye.

Aur arz kiya YA RASOOL ALLAH , ye khoon maine kiya hai wo meri laondi thi aur mujhper intehaayi meherbaan aur meri rafeeqa thi, iskey pet se mere do bache bhi hain jo motiyo ki tarah hain.

Lekin wo aksar aapko bura kaha karti aur aapko galiyaan deti thi main isey aesa karne se mana karta tha lekin wo baaz nahi aati thi main sakhti karta to bhi wo nahi maanti thi.

Aaj raat isney aapka zikar kiya aur wo aapki shaan me gustakhi karne lagi maine takiya uthaaya aur iskey pet per rakhkar zor se dabadiya yahaan tak k wo margayi, RASOOL ALLAH ne farmaya, "الا اشهدوا ان دمها هدر" yaani tum sab gawaah rehna is laondi ka khoon ka badla nahi liya jayega.
(Majmua Al Zawayed, Jild 6, Kitaab ul Hudood)

SANAD HADEES KI TASDEEQ GHAERO NE BHI KI

Kal jo hadees aapne padhi thi uskey baarey me bataya ja raha hai k ye hadees ki sanad ko ghaer muqallideen ne bhi tasdeeq ki hai.

Wahabiya k shaikh ul islam yaani ibne taymiyya ne is riwayat per likha hai k wo aorat nabeena sahabi ki mankooha thi ya mamlooka laondi in dono surto me agar is aorat ka qatal najayaz hota to RASOOL ALLAH farmadete k iska qatal haraam tha.

Ya phir aap qatal karne per kafaara laazim karte lekin aapne aesa nahi farmaya balkey aap ne farmaya tum sab gawaah rehna is laondi k khoon ka badla nahi liya jayega.

Malum hua k wo zamiya hone k bawajood mubaah aldam thi, RASOOL ALLAH ki gustakhi karne k sabab se iska khoon mubaah hogaya tha.

RASOOL ALLAH ne jab saara waqeya sunkar gaali dene ki waja se is aorat ko qatal kiya gaya to aap ne iska khooon raayega qaraar dediya ye is baat ki daleel hai k RASOOL ALLAH ki shaan e aqdas me gustaakh ki saza sar tan se juda hai.
(Alsaaram Al Masloo Ali Shaatam Al Rasool)

Aaj wahabi gustakhi per gustakhi karte hain, aur phir bhi kehte phirte hain k hum ahle hadees hai, unhey ye sochna chahiye k kya wo is hadees per amal kar rahe hain...??? jisey inkey imam ne khud sahih kharaar diya aur kaha hai k gustaakh e rasool ka sar tan se juda.

Isiliye to kehte hain k WAHABI SIRF BOLTA HAI SAMAJTA NAHI....

BHAI KA APNI GUSTAAKH BEHEN KO QATAL KARNA

Aqziyatul Rasool aur Majmaa al zawayed me hai, Hazrat Umeyr bin Ummiya رضي الله عنه khud raawi hain k inki ek behen thi, Umeyr jab RASOOL ALLAH ki khidmat me haazir hone k liye aatey to wo aapko galiyaan deti aur ezaa pahochati.

Wo mushrika thi aakhir ek din Hazrat Umeyr رضي الله عنه ne usey talwaar se qatal kardiya, iskey bete chilla chilla kar kehne lagey k hum iskey qatil ko jaante hain tumlogo ne hamari maa ko qatal kardiya hai.

Halaankey logo k baap dada aur inki maaye sab mushrik the jab Hazrat Umeyr رضي الله عنه ko ye khatra mehsoos hua k wo log apni maa k badle me qatil k bajaye kisi aur ko qatal kardenge.

To unhone HUZOOR NABI KAREEM RAOOF UR RAHEEM ki khidmat e akhdas me haazir hokar saara waqeya arz kardiya.

Aap ne Hazrat Umeyr رضي الله عنه se pucha tumne apni behen ko qatal kyu kiya? Unhone arz kiya wo aapko bura kehkar mujhe takleef pahochati thi.

RASOOL ALLAH ne maqtula k beto ko bulakar pucha unhone asal qaatil k bajaye kisi aur shaks ka naam liya aap ne unko haqeeqat se aagah kiya aur unki maa ko mubaah al dum qaraar diya.
(Alsaaram Al Masloo Ali Shaatam Al Rasool)

GUSTAAKHI KARNE PER APNE BAAP KO QATAL KARNA

Hazrat qazi ayaaz (544 hijri) ne ibne qaaney ki riwayat naqal ki hai k RASOOL ALLAH k paas ek shaks aaya aur arz kiya YA RASOOL ALLAH ! maine aapne baap ko suna k wo aapki nisbat buri baat kehta hai to maine usey qatal kardiya.

Ye baat RASOOL ALLAH per shaaq na gusri.
(Bukhari Shareef, Kitaab al Shahadat)

Abu ishaaq k hawale se ibne taymiyya ne naqal kiya hai k ek shaks ne RASOOL ALLAH ki khidmat me haazir hokar arz kiya, YA RASOOL ALLAH ! main apne walid se mila jo mushrikeen k sath tha.

Maine suna k mera walid aapki shaan e aqdas me gustakhiyaan kar raha tha main bardaasht na kar sakta aur iskey galey me nezey ki nok jhonk kar isey qatal kardiya, ye baat RASOOL ALLAH per giraan na guzri.
(Al Musannaf Abul Razzaq, Jild 2)

GUSTAKH WAASIL JAHANNAM KARNE WALA ZIYARAT K LAYEQ HAI

GUSTAKH KO KAON WAASIL JAHANNAM KAREGA

Musannaf Abdul Razzaq me Hazrat Akram Tabey رضي الله عنه se riwayat hai k ek shaks ne RASOOL ALLAH ko bura bhala kaha yaani gaali di to Aap ne farmaya "من يكفينى عدوى"? Yaani kaon hai jo mere dushman k liye kaafi hojaye.

To Hazrat Zubair رضي الله عنه ne arz kiya main haazir hoon, chunanche unhone usey lalkaara aur qatal kardiya, RASOOL ALLAH ne maqtool ka samaan Hazrat Zubair رضي الله عنه ko dilwadiya.
(Seerat Ibne Hisham, Jild 4)

Ek Shatema aurat ne RASOOL ALLAH ko gaali di, aap ne farmaya "من يكفينى عدوى"?

Kaon hai jo mere dushman k liye kaafi hojaye?

Hazrat Khalid bin waleed رضي الله عنه ne jaakar is shatema ko qatal kardiya.
(Alsaaram Al Masool)

AQBA BIN ABI MA'EET

Imam Bukhari k ustaad Abdul Razzaq (211 hijri) ne riwayat naqal ki hai k aqb bin abi ma'eet (معيط) aur abi bin khalf al jam'yi dono dost ek martaba aapas me miley.

Aqba ne abi bin khalf se kaha main tumse is waqt tak khush nahi hunga jab tak tum MUHAMMED ko gaali nahi dogey aur inki takzeeb nahi karoge, ALLAH ki khudrat wo aesa na kar saka.

Jab wo Ghazwa e Badr k maoqey per aqba bin ma'eet ko qaediyo k hamraah laaya gaya to RASOOL ALLAH ne Hazrat Ali رضي الله عنه ko iskey qatal ka hukum diya, isne aapse pucha k mujhe kyu qatal kiya ja raha hai?

To AAP ne farmaya, ALLAH aur uskey RASOOL k khilaaf tumhare kufr o fujoor aur tumhari sarkashi ki waja se tujhe qatl kiya ja raha hai.
(Musannaf Abdul Razzaq, Jild 5, Page 355)

Hazrat Maola ALi Karam Ullah Wajha ul Kareem رضي الله عنه uthey aur uska sar qalam kardiya.
(Al Musannaf Abdul Razzaq, Kitaab Al Maghari)

Waaqdi ne likha hai k aqba bin abi ma'eet k alawa kisi ko baandh kar qatal nahi kiya gaya.
(AL Saaram Al Maslool)

ISSEY PEHLE WALEY PARTS PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY...
PART 01 PART 02 PART 03 PART 04


AAGEY K PARTS PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY...
PART 06


POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ" 
Ishq e Nabi ﷺ

JOIN WHATSAPP GROUP
SEND YOUR NAME AND CITY
+966 556 713 059

LIKE OUR FB PAGE
www.facebook.com/ishq.e.nabi1