Saturday, October 17, 2015

APKE DUSHMAN SE KYA RISHTA YA RASOOL ALLAH ﷺ PART 06

NAZAR BIN HAARIS K QATAL KA HUKM

Nazar bin haaris bhi badr k qaediyo me se tha, aqba bin abi ma'eet aur nazar bin haaris sirf yahi do qaedi the jinhey NABI KAREEM ﷺ k hukum k tehet qatal kiya gaya in dono k siwa kisi badri qaedi ka qatal nahi hua.
(Al Saaram, Al Maslool)

Ghazwa e Badr k tamaam qaediyo me se sirf nazar bin haris aur aqba bin abi ma'eet ko qatal karne ka sabab ye tha k wo dono apne qaol o feyl se RASOOL ALLAH ﷺ ki shaan me gustakhiyaan kiya karte the.
(Kitab Al Shifa)

KAON HAI JO KAAB BIN AL ASHRAF KO WAASIL JAHANNAM KAREY..???

IMAM BUKHARI O IMAM MUSLIM k alawa IBNE ISHAAQ, IBNE SAAD, WAAQDI AUR IBNE AL ASEER waghaera ne naqal kiya hai k bani nazeer qabeele ka yahoodi kaab bin al ashraf jo RASOOL ALLAH ﷺ aur aap sahaba k khilaaf hujuya ashaar logo ko sunakar unhey RASOOL ALLAH ﷺ k khilaaf bhadkata tha.

Ghazwa e Badr me kuffar e makkah ki shikast per isey bahot dukh hua, wo madine se makkah gaya aur waha jaakar isne badr me maqtuleen e quresh k marsiya kahe, phir waapas aakar isne ek muslim khatoon umme al afzal binte haarish aur degar muslim khwateen k mutalliq ishqiya ashaar kahe.

RASOOL ALLAH ﷺ ne farmaya, YA ALLAH KAAB IBNE AL ASHRAF K aelaan e shar aur sher kehne ko jis tarah chahe mujse rok de.
(AL Maghazi, Jild 1, Page 70)

Aap ﷺ ne ye bhi farmaya, Ibne al ashraf k khilaaf kaon meri madad karega?  Isne mujhe ezaa pahochayi hai.

(Al Mustadrak Ala Al Sahiheen, Jild 3, Page 492)
(Al Maghazi, Jild 1, Page 70)

Hazrat Muhammed bin Muslima رضي الله عنه ansaari ne arz kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ, main isey qatal karunga aap ﷺ ne inko kaab bin al ashraf k qatal ki ijazat dedi.

Hazrat Muhammed Bin Muslima رضي الله عنه ne is kaam ki fikr me khana peena chod diya, RASOOL ALLAH ﷺ ne inhey bulakar pucha, aye muhammed! kya tumne khaana peena tarak kardiya hai?

Unhone arz kiya, YA RASOOL ALLAH ﷺ maine aap k sath jo waada kiya hai iskey qabil hoon ya nahi, aap ﷺ ne farmaya tum per sirf koshish karna farz hai, aap ﷺ Hazrat Muhammed Bin Muslima رضي الله عنه ko is silsile me Hazrat Saad bin Maaz رضي الله عنه se mashwara karne ki naseehat farmayi.

Iskey sath Hazrat Ibaad bin Bashar رضي الله عنه, Hazrat Abu Naayela Salkaan bin Salaama رضي الله عنه, Hazrat Haaris bin oos رضي الله عنه aur Hazrat Abs bin Jabar رضي الله عنه bhi RASOOL ALLAH ﷺ ki ijazat se is mehem me shareek kaar hogaye.

Jis raat Kaab bin ashraf ko qatal kiya gaya RASOOL ALLAH ﷺ is raat haalat e qiyaam me rahe aur namaz ada farmate rahe subah jab aap ﷺ ne inkey naarey haaye takbeer ki awaazey suni k kaab ko qatal kardiya gaya hai.

Wo log waapas pahoche to unhone aapko masjid e nabawi k darwaze per khada paaya aur unhone aapko kaab k qatal me kamiyaabi ki khush khabri sunayi.

Hazrat Allama Qazi Ayaaz رحمة الله عليه likhte hain k RASOOL ALLAH ﷺ ne kaab bin ashraf ko qatal karne ki waja ye bayaan farmayi.

فانه يؤذى الله ورسوله
Isne ALLAH aur uskey RASOOL ko aziyat pahochayi hai.

Ye Hadees is baat per daleel hai k kaab ka qatal shirk nahi balke ALLAH k mehboob ko ezaa pahochane ki waja se tha.

(Al Shifa, Jild 2, Page 487)

GUSTAAKH ABU RAAFEY WAASIL JAHANNUM HUA

Ibne Hishaam k mutabiq qabeela oos ne jab GUSTAKH E RASOOL ﷺ Kaab bin al ashraf yahoodi ko qatal kiya to khazraj walo ne kaha k ye nahi ho sakta k hum oos se piche reh jaaye aur wo humse sabaqat le jaaye.

Unhone aapas me mashwara kiya k ab kaon hai jo RASOOL ALLAH ﷺ se adawat rakhta ho jaese kaab bin al ashraf tha, unhone taye kiya k AAP ﷺ se aesi adawat rakhne wala abu raafey salaam bin abi al haqeeq hai jo khaebar me rehta hai.

Qabeela khazraj walo ne RASOOL ALLAH ﷺ ki khidmat me haazir hokar isey waasil jahannum karne ki ijazat chahi aur AAP ﷺ ne ijazat dedi.

SAHIH BUKAHRI me Hazrat Baraa Bin Aazab رضي الله عنه se marwi ek riwayat k mutabiq abu raafey apne qiley waqey hijaaz me rehta tha, ye GUSTAAKH E RASOOL ﷺ tha aur aapke mukhalifeen ki madad karta tha.

Wo RASOOL ALLAH ﷺ ko ezaa pahochata aur aap ﷺ k khilaaf sharartey karta rehta tha, RASOOL ALLAH ﷺ ne abu raafey ko qatal karne k liye khazraj k qabeeley bani salma k 5 afraad ko mamoor farmaya wo ye hain...

Hazrat Abudllah Bin Ateek, Hazrat Masood bin Sannaan, Hazrat Abdullah bin Anees, Hazrat Abu Qatada Al Haaris bin Raabiy, Aur Hazrat Khazayi bin Masood رضي الله عنهم اجمعين.

Hazrat Abdullah bin Ateek رضي الله عنه ne abu raafey ko iskey qiley me daakhil hokar qatal kar diya aur RASOOL ALLAH ﷺ ko iskey qatal ki khush khabri sunayi, Abu Raafey 3 hijri me qatal kiya gaya.
(Bukhari, Kitaab Al Maghari)

AGAR KAABE K GHILAAF ME CHUPE HUYE HO TO QATAL KARDIYA JAAYE

Fateh makkah k maoqe per RASOOL ALLAH ﷺ ne "انتم الطلقاء" jao tum azaad ho ka aam aelaan muaafi farmakar hazaro kuffar ko panaah di magar chand aese dushman the jinke mutalliq farmaya k agar ye ghilaaf e kaaba me lipte huye ho to inki gardan udaa di jaaye inme chand ek ka zikr aaiye mulaheza kijiye.

ABDULLAH BIN KHATAL

Abdullah bin khatal in gustaakhaan e risaalat me se tha k jiski gustakhana harkaat per isey qatal karne ka hukum diya gaya tha, isne do laondiyaan rakhi huyi thi jinke naam faratna aur arnab the.

Wo RASOOL ALLAH ﷺ ki huju me sher kehta tha aur iski laondiyaan in hujuiyaa ashaar ko gaati thi, RASOOL ALLAH ﷺ ne fateh makkah k maoqe per hukum diya tha k agar isey kaabe k ghilaaf me chupa hua paao to bhi qatal kardo.

Wo ghilaaf e kaaba me chupaya gaya to isey wahi qatal kardiya gaya isey irtedaad me qatal kiya gaya.

Ek riwayat hai k isey Hazrat Ammaar bin Yasir رضي الله عنه k qasaas me qatal kiya gaya.
(Sunan Nisayi, Kitaab Al Mahareba)

FARTINA AUR ARNAB

Ye dono abdullah bin khatal ki laondiyaan thi, ye dono mughniya thi, RASOOL ALLAH ﷺ ki huju gaaya karti thi, in dono me se ek qatal kardi gayi.

Waaqdi ne likha hai k jisey amaan mili aur jo islam le aayi thi wo faritna thi, ye aorat Hazrat Syedna Osman Ghani رضي الله عنه k ehed me pasliyaan toot jaane ki waja se faot huyi.
(Waaqdi, Kitaab Al Maghari)

HAWIRAS BIN NAQEEZ

Hawiras bin naqeez wahab jo MAKKAH me RASOOL ALLAH ﷺ ko aziyatey diya karta aur aap ﷺ ki huju kehta tha.

Fateh Makkah k maoqe per isne apne ghar se nikal ka rmukhtalif gharo me chupte chupate bhaag jaane ki koshish ki lekin Hazrat Syedna Ali Karam ALLAH Wajha Ul Kareem رضي الله عنه ne isey pakad kar qatal kardiya.
(Ibne  Al Aseer Al Kamil, Jild 2)

SAU SALL BUDHA GUSTAAKH

Abu afak sau sall ka budha yahoodi tha, wo logo ko RASOOL ALLAH ﷺ ki mukhalifat per bad angekhta aur ash'aar kehta tha, ghazwa e badr k maoqe per jab RASOOL ALLAH ﷺ jihaad k liye tashreef le gaye aur jab aap fateh k baad waapas madina munawara tashreef laaye to abu afak ka hasad k maarey bura haal hogaya.

Is maoqe per bhi isey sher kahey, RASOOL ALLAH ﷺ ne hijrat k 26 wi mahine abu afak k qatal k liye Hazrat Salam bin Umer Al Ammari رضي الله عنه ko bheja, garmi k maosam me abu afak ek raat maedaan me soya hua tha k Hazrat Salam bin Ameer رضي الله عنه ne talwaar se isey qatal kardiya.
(Sahih Bukhari, Kitab Al Maghazi)

GUSTAKH RASOOL AUR HAMARE ASLAAF

Haroon Al Rasheed Baadshah ne Imam Malik رضي الله عنه se masle pucha gustakh e rasool ki saza kya kodey se maarna kaafi nahi isper Hazrat Imam Sahab ne farmaya, Aye Ameer ul Momineen! gustaakh e rasool gustakhi k baad bhi zinda rahe to phir ummat ko zinda rehne ka haq nahi.

RASOOL ALLAH ﷺ k gustaakh ko filfoor giraftaar karkey qatal kardiya jaye.

Rad Ul Mukhtar me Imam Muhammed bin Sahnoon ki riwayat hai k tamaam ullama ka isper ijma hai HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ki gustaakhi karne wala aapki shaan me kami karne wala kafir hai aur tamam ummat k nazdeek wo wajib al qatal hai.
(Rad Ul Mukhtar, Jild 3)

Ameer Ul Momineen Hazrat Omer bin Abdul Aziz رضي الله عنه k tarikhi alfaaz mulaheza ho, jo SHAKS HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ki gustakhi karey iska hoon halaal aur mubah hai.

SAHIH BUKHARI me hai Hazrat Ali رضي الله عنه ne ek maoqey per shaatmeen rasool ko qatal karne k baad jaladene ka hukum saadar farmaya.

Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه ne irshad farmaya jo kisi nabi ko sabb (gustakhi karna ya bura kehna) karey isey qatal kardo jo kisi sahabi ko bura bhala kahey isey kodey maaro.

AL ASHABA WAN NAZAYER me hai, kafir agar taoba karey to iski taoba qubool karli jaye lekin is kafir ki taoba qubool nahi jo NABI KAREEM ﷺ k huzoor gustakhiyaan karta hai.
(Az Maolwi Baha ul Haq Amritsari, Matbua 1357 hijri)

GUSTAKH E RASOOL RESINOLD AUR SULTAN SALAH UDDIN AYUBI رحمة الله عليه

Shaam k firangi farman rawa me Resinold sabse zyada farebkaar, fitna parwar aur musalmano ka dushman tha, shar o fasaad iski fitrat me shamil tha, zyadatar wahi salibiyo ko musalmano k khilaaf bhadkata rehte tha.

Isko islam aur musalmano se itni adawat thi k isne 578 hijri me MAKKAH MUKARRAMA aur MADINA MUNAWARA per lashkar kashi karte huye hamla karne ka napak irada kiya magar KHUDRAT E ILAHI k wo isko pura na kar saka.

Ek saal baad 579 hijri me isne dubara apni makrooh koshish ki lekin ab ki martaba isko phir nakami ka mu dekhna pada.

LAYN PAUL likhta hai, Resinold ne jazeera numa arab per faoj kashi ka qasad kiya taakey MADINA TAYYABA me HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k ROZA E MUBARAK ko munhadam aur MAKKAH MUKARRAMA me khana kaaba ko masmaar karde.

Iskey liye isne aese jahaaz tayyar karwaye the jinke tukde ho sakte the in tukdo ko wo karak se khaleej aqba k saahil per legaya aur inhey jod kar jahaazo ka ek beda tayyar kiya aur aezaab ko laotne par chala.

Aezaab beher e qulzim k afriqi saahil per waqey tha isne do jahazo ko beech me daalkar ayela ka behri raasta band kardiya, musalmano ko iski khabar huyi to inka jahazi beda eesaiyo k bedey ka taaqub me chala.

Iska ameer aljar laolu tha isne aatey hi pehle aela ka behri raasta khola aur apni faoj ko alhoora tak jo beher e qulzim ki choti bandargaah thi le aaya, resinold ne isi bandargaah se MADINA MUNAWARA per hamla ka irada kiya tha.

Firangiyo ne junhi islami faoj ko aatey dekha to wo aese ghabraye k jahazo se utar kar pahado ki jaanib bhaag gaye, laulu ne badduo se ghode lekar sipahiyo ko inper sawaar kiya aur daod kar dushman ko ghaar aur baagh me ja pakda aur inke tukdey udadiye.

RESINOLD khud bhaag gaya magar iske sath walo me bahot se log qatal kiye gaye.
(Layn Paul, Salahuddin, Page 156, Bahawala Tareekh Al Islam, Shah Moinuddin Nadwi, Jild 4)

Hazrat Shah Abdul Azeez Qudus Sarah apni tafseer FATAH UL AZEEZ qaol ta'ala ودوا لو تدهن فيدهنون ki tafseer me Hazrat Sahal bin Abdullah Tastari رحمة الله عليه se naqal farmate hain.

Haqaeq tanzeel me hai k mard sahih ul imaan aur momin khalis k liye laazim hai k gumrahi se ans na pakde aur na inkey sath majlis kare aur na meyl jool rakhey,

Aur na inkey hamraah khaaye piye aur iski zaat me se gumraho k sath nafrat aur adawat ka izhaar ho aur jo shaks bad aqeeda logo se dosti aur pyaar karta hai isse Noor e Imaan salab hojata hai yaani wo kafir margaya.

Aur aesa hi TAFSEER ROOH UL MAANI me mazkoor hia isliye k tamaam gumrah firqe dozakhi hain bajuz firqa ahle sunnat wa jamaat aur wo aaj k din mazaheb ayema arba me munhasir hai.
(Tafseer Azizi, Para 29, Afghani Dar ul Kutub, Laal Kuwaan, Dehli, Page 56)

TAHTAAWI HASHIYA DUR E MUKHTAR KITAB ZABAEH me farmaya jo shaks jamhoor ahle ilm wa fiqh sawaad e azam se juda hojaye wo aesi cheez me tanha hua jo usey dozakh me le jayegi.

To aye girwah muslimeen, tumper firqa najiya ahle sunnat wa jamaat ki paerwi laazim hai k khuda ki madad aur iska hafiz o kaarsaaz rehna muwafiqat ahle sunnat me hai.

Aur iska chod dena aur ghazab farmaa aur dushman banana sunniyo ki mukhalifat me hai aur ye nijaat dilane wala girwah ab chaar mazaheb me mujtami hai.

Hanafi, Maliki, Shafayi, Hambali ALLAH TA'ALA in sab per rehmat farmaye, is zamane me in chaar se bahar hone wala jahannami hai.

(Hashiya Al Tahtaawi Ala Al Dar Ul Mukhtar, Kitab Al Zabaeh, Jild 4, Page 153, Matbua Dar Ul Maarifat Beerut)

HAZRAT HAJI HAFIZ SYED PEER JAMAAT ALI SHAH SAHEB ALI PURI KA GUSTAKHIYO SE RAWAIYA

KOHAAT 15 APRIL 1938 chaar din se Hazrat Haji Hafiz Peer Syed Jamaat Ali Shah Saheb Ali puri yahaan raonaq afroz hain aaj namaz e juma k baad aapne ek azeem ul shaan jalse me taqreer farmayi.

Jisme aapne 17 december 1937 k kohaat wale jalse ullama k faesla wa fatwa ki tasdeeq karte huye aelaan kiya k ullama e kiraam ka fatwa lafz ba lafz durust hai.

Mashriqi kafir, murtad aur zindeeq hai jo shaks iskey aqaed ka musaddiq o maweed hua wo bhi be imaan o kafir hai farmaya main huum deta hoon k tamaam musalmaan khususan mere sath talluq rakhne waley khaaksari tehreek se alag hojaye jo log is gumrah kin tehreek se alag na ho inka boycott kiya jaaye aur agar isi haalat me marjaye to inko musalmano k qabrastaan me dafan na kiya jaye.

Aapne ye hukum diya hai k mera jo mureed khaaksaar ya khaksariyat ka maawan hai wo khaaksariyat ko chod kar hi mera mureed ho sakta hai warna isko mere sath koi talluq na hoga malum hua k aapke is hukum ka asar ye hua k taqriban 15 khaaksaro ne aapke saamne khaaksariyat se taoba ki.

Jin me se mulla shfai uddin qazi khaaksaraan, mulla osman salaar tableegh, munshi zareef khan aur muhabbat khan salaar qabil zikar hain taoba se pehle muhabbat khan salaar mazkoor ki shadi me shumuliyat se Hazrat peer sahab ne musalmano ko rok diya tha.

Chunanche kisi musalman ne iskey haan jaakar khana khana gawara na kiya, khaaksaar e karam e ilahi farosh ne taoba nahi ki isliye peer sahab ne isko is majlis se nikalwa diya.
(Kitab Al Mashriqi Ala Al Mashriqi Az Maolwi Baha ul Haq Amritsari Matbua 1357)

HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما KA JAWAAB

Sulle Kulli k marz me mubtela gustakho se mel jool karne per Syeda Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua رضي الله عنهما ki hadees pesh karte hain.

RASOOL ALLAH ﷺ ne kabhi apni zaat k liye inteqaam nahi liya lekin agar kisi ne ALLAH TA'ALA ki hurmat o izzat ki taoheen ki to phir ALLAH TA'ALA ki khatir isse inteqaam liye.
(Kitab ul Shifa, Jild 1, Page 221)

Iski tashreeh Allam Qazi Ayaaz farmate hain jaan lo k isse ye matlab nahi k aapne us shaks se inteqaam nahi liya jisne aapko gaali di ya aapko takleef di ya aapki takzeeb ki ye to sab ALLAH TA'ALA ki hurmaat me se hain aur ALLAH TA'ALA ki hurmaat ki taoheen hai.

Isliye aapne inka inteqaam liya lekin agar kisi ne aapse suye adam sulook kiya ya qaol e feyl se aapki jaan aur maal k sath koi bad maamla kiya aur aesa karne wale ka irada aapko takleef pahochana nahi tha balke aesa isne apni fitri jablat ki bina per kiya.

Jaese baddauo ne aapse jahalat aur ujadpan ki waja se aapse koi sulook kiya ya bashri takhazo aur kamzoriyo ki bina per koi amal hogaya to aapne iska inteqaam nahi liya.

Jaese ek araabi ne aapki chadar kheench li thi hata k aapki gardan mubarak per iska nishaan pad gaya tha, aesi aurto me aapka in logo se dar guzar farmana ahsan tha.
(Kitab Ul Shifa)

Magar jo apne aapko aalim kehlaye member per baeth kar RASOOL ALLAH ﷺ k ilm per aetraaz karey ya zakheem kitabey likh kar ye sabit karne ki koshish kare k namaz pe aap k khayaal aane se namaz fasid hoti hai phir aese bad bakhto se salah ka hath badhana kaesa...???

Qazi Ayaaz likhte hain RASOOL ALLAH ﷺ islam k ibtedayi zamane me logo k dilo me apni muhabbat paeda karte, unkey dilo ko apni taraf pherte, imaan ko unke liye pasandida banate aur inki khatir madarat karte the AAP ﷺ apne sababa kiraam ki farmate the.

Tum asaani paeda karne wale banakar bheje gaye ho, na k nafrat phaelane wale.

Aur AAP ﷺ ye bhi farmate, asaani paeda kiya karo aur logo ko mushkil me na daala karo.
(Kitab ul Shifa, Jild 2, Page 225)

RASOOL ALLAH ﷺ kafiro aur munafiqo se madarat karte, unse ache andaaz se pesh aate, unki ghalat baato se chashm poshi karliya karte, unki taraf se di jaane wali takaleef bardasht karte aur unke mazalim per sabar karte the.

Lekin aaj agar wo hamare NABI KAREEM ﷺ ko ezaa pahonchaye to hamare liya jayaz nahi k hum unki aesi harkato per sabar karey.
(Fatah Ul Bari, Sharah Bukhari, Jild 10, Kitab ul Adab)

ISSEY PEHLE WALEY PARTS PADHNE K LIYE NICHE DIYE GAYE LINKS PER CLICK KAREY...
PART 01 PART 02 PART 03 PART 04 PART 05

PART END...

ALLAH TA'ALA SE DUA HAI K HAMEY HAQ SAMAJNE AUR AMAL KARNE KI TAOFEEQ ATA FARMAYE... AUR HAMARI JAYAZ TAMANNAO KO QUBOOL FARMAYE...


آمين بجاه شفيع المرسلين 



POST WRITTEN BY:-
"عشقِ نبي ﷺ" 
Ishq e Nabi ﷺ

JOIN WHATSAPP GROUP

SEND YOUR NAME AND CITY
+966 556 713 059

LIKE OUR FB PAGE
www.facebook.com/ishq.e.nabi1

No comments:

Post a Comment